Kokum Goa aur Gujarat me paya jane wala phal hai, yeh ek juicy plum ki tarah hota hai jo sharir ko shitalta ke saath anya swasthya Laabh deta hai. Isse hone wale swasth laabho ke bare me aapko bhi janana chahiye. To chaliye jante hai Kokum Benefits aur banate hai apne sharir ko swasth aur majboot.
Kokum ki growth kokan prant me ki hai. Iska vanaspati vigyani naam Garcinia Indica hai, aur yeh mangosteen parivaar ka sadasya hai. Yeh phal gahara baingani (Purple) pankhudiyo wala hota hai, iska istemaal karne se pahale ise sukhakar sanrakshit kiya jata hai. Ek baat yaad rakhe ki kokum ko kata nahi jata hai balki pani me bhigoya jata hai aur usse jo saar nikalta hai wah khatta-mitha swad lata hai.
Kokum Benefits in Hindi: Aneko Laabho se Bharpur Garcinia Indica
-
Dil ko Swasth Rakhta Hai:
Garcinia Indica fiber se bharpur hota hai aur isme naamatra ki calorie payi jati hai. Isme cholesterol aur saturated fat bilkul bhi nahi paya jata hai. Isme Vitamin C ki ucch matra hoti hai isliye ye anti oxidants ka bhi kaam karta hai. Isme moujud magnesium, potassium, aur manganese paya jata hai jo dil ko swasth rakhta hai aur blood pressure ko samanya rakhta hai.
-
Vajan Kam Karta Hai:
Kokum Benefits ki baat kare to Weight Loss iska sabse accha fayda hai. Kokum ek juice se bhari huyi berry hai, jisme HCA paya jata hai jo Hypocholesterolemic agend ki tarah kaam karti hai. Ye calories ko fat me badalne wale enzyme ki kriyashilta ko kam karti hai. 400 gm kokum ke phal daal kar 4 liter pani me ubale. Jab isme 1 liter pani bach jaye to use chann kar subah-sham 100 ml sevan kare. Isse aapka vajan kam hota hai.
You may also like:- Health Benefits of Plums: Aloo Bukhara ke Behatrin Laabh
-
Dust Hone Par Laabhdayak:
Dust hone par kokum ke phalo ka churna (10 gm) ek gilaas thande pani me mila kar pine se jaldi aaram milta hai. Gujarat ke herbal jankaro ka kahana hai ki kokum ke saath dudh hamesha thanda hi lena chahiye, kyuki garm hone par dudh kharab ho sakta haia ur isi vajah se yeh dustkarak bhi ho sakta hai.
-
Loo (Heat Stroke) Lagne se Bachata Hai:
Garmi ke paiy me kokum ke saar ke saath bana mishrit paiy, kokum ka sharbat sabka priya hota hai. Iss sharbat me aap chini, thanda pani, kuch bhuna huya jeera aur kala namak mila sakta hai. Isko pine se aapko bahut se Laabh honge.
-
Dimagi Shakti Badaye:
Garcinia Indica ka sevan neuronal vikaas ki kriya ki madad se dimag me sakaratmak prabhavo ko bharta hai. Saath hi yeh free radicals ko nishkriya karke dimaag ko damage hone se rokta hai.
-
Immunity Badata Hai:
Kokum anti oxidants aur anti inflammatory agent ki tarah kaam karke humare sharir ke immune system ko majboot karta hai. Kokum em moujud anticarcinogenic tatva garnical, cancer ke pratikriya shil oxygen jeens ke utpadan ko kam karta hai aur immunity badata hai.
-
Anya Laabh:
Sardi me aksar honth fat jate hai isse bachne ke liye kokum ka tel lagane se aaram milta hai. Mahua ke phal ka tel lagakar sikai karne se athwa kokum ka tel lagane se Laabh hota hai.
Upar aapne jana Kokum Benefits in Hindi taki aap apne sharir ko majboot bana sakte hai aur dhero bimari se bach sakte hai. Iska sevan aapke swasth ke liye laabhkari sabit hoga.
Kokum se sambhandhit jankari ke liye yaha jaye Food.