Laptop Se Nikalne Wala Radiation Banata Hai Aapko Bimar

Aajkal laptop aur mobile ke bina koi kaam nahi kar sakta hai aur iska prayog log office ke alawa ghar mai bhi kar rahe hai. Lekin shayad yeh aapko nahi pata hai ki isse nikalne wala radiation aapko bimar bana raha hai. Aaiye jante hai Laptop Radiation ke bare mai kuch jaruri jaankari.

Ungliyo ne ishara kiya nahi ki duniyabhar ki jankariya turant aap laptop ke screen par paa sakte hai. Lekin jitni tezi se laptop logo ki jarurat ka pramukh hissa ban gaya hai utni tezi se yeh bimari bhi faila raha hai.

Laptop mai lead yani sesa hota hai, iske alawa isme polyvinyl chloride, chromium, bromine aur BFR yani Brominated Flame Retardant jese chemical hote hai. Yeh chemicals sehat ke liye bahut nuksaadayak hai.

Laptop ke screen par moujud sesa aapke nervous system ko prabhavit karta hai. Isse khoon aur dimaagi vikaar hone ka khatra rehta hai. Laptop mai moujud PVC aur Chromium jaharila hota hai. Isse nikalne wala radiation se prajann kshamta par bhi asar padta hai.

You may also like:- Male Infertility: Napunsak Hone ke Karan aur Lakshan

Laptop Radiation: Janiye Iske Baare Mai Kuch Jaruri Jaankari

Wireless Laptop se Adhik Khatra

Yadi aap wireless laptop ka prayog adhik karte hai to yeh aapke liye aur bhi jyada khatarnak sabit ho sakta hai. Wireless laptop se electromagnetic radiation se adhik garmi aur vibration ka asar bhi aapki sehat par padta hai. Iske alawa WiFi network ke jariye hone wala wireless radiation bhi aapki sehat par kafi bura asar dalta hai. Iss radiation ko lekar ab bhi research jari hai.

Prajann Kshamta Par Bura Asar

Laptop ko goud mai rakhkar kaam karne se prajann kshamta prabhavit hoti hai, iske karan napunsakta bhi ho sakti hai. Iss par New York mai kiye gaye shodh ke mutabit laptop se nikalne wale radiation se purush ke sharir ke taapman lagatar badta hai aur isse Fertility ghatati hai. Laptop ko lapel mai rakhkar kaam karne se isse nikalne wale vikaran se andakosh ki sanrachna par viprit asar padta hai.

Mansik Rog Failta Hai

Laptop radiation se memory par bahut jyada asar padta hai aur iske karan aapki memory kam ho sakti hai. Laptop ka lagatar istemaal aur iske radiation se humari smaran shakti kamjor hoti hai aur Alzheimer jesi bimari saamne aa sakti hai. Laptop par head phone ke saath der tak kaam karne se har samay lagta hai ki kaano mai kuch sunai de raha hai. Neend aane mai bhi pareshani hoti hai.

Aankho ko Nuksaan

Laptop ki screen se lagatar soft radiation kirne nikalti rehti hai, jinka aankho par bura asar padta hai. Aankho ke bahari hisse par pani jesa ek dravya paya jata hai, jisse humara drashya saagf hota hai. Iski kami se drashti dosh aur aankho mai dard jesi samasyaye hoti hai. Isse bachne ke liye aankho ko aaram dena hota hai, jo palko ke jhapakne se unhe milta hai. Lekin laptop screen se nikalne wala radiation iss drav ko prabhavit karta hai. Inn radiation kirano se vyakti ko dur drashti dosh hone ki ashanka bad jati hai.

Carpenter Syndrome

Laptop ke radiation ke karan yuvao mai yeh samasya tezi se bad rahi hai. Der tak laptop par type karne aur iske radiation ke sampark mai aane ke karan ungliya sunn pad jati hai, kalai aur baaju ke hisse mai sujan aur dard hota hai.

Laptop Radiation se Bachne ke Aasan Tarike

  • Lagatar adhik der tak laptop par kaam na kare, thode-thode samay par break lijiye.
  • Laptop ko goud mai rakhkar kaam na kijiye, ise table par rakhkar kaam kare.
  • Laptop prayog karte samay anti clear chasme ka istemaal kijiye, isse radiation aankho ke dravya ko sukha nahi pata hai.
  • Wireless laptop ki jagah internet cable ka prayog kare.

Upar aapne jane Laptop Radiation se hone wale khatro kai bare mai kuch jankari. To bachiye iss tarah ki chizo se aur rahiye swasth.

Loading...

This website uses cookies.