Laser hair removal ek nayi taknik hai jiske dwara anchahe baalo ko hataya jata hai. Aajkal kai log iss taknik ka upyog kar rahe hai. Khaskar mahilaye iss taknik ka bahut istemal kar rahi hai. Kyoki har mahila ki chahat hoti hai ki wo khubsurat dikhe. Lekin chehre, hatho aadi par aane wale anchahe baal unki khubsurti mai daag laga dete hai.
Baalo ko hatane ke liye mahilaye kai tarah ki chije karati hai jaise waxing, bleaching, aadi. Lekin yeh tarike kuch hi dino tak kaam karte hai. Aese mai bar bar beauty parlor ke chakkar katna padte hai.
Aese mai laser taknik baalo ko sthayi roop se hatane ka sabse accha kintu mehanga tarika hai. Iss prakriya ko pura karne mai kam se kam 4 se 5 sitting lagti hai aur anchahe baalo se hamesha ke liye chhutkara mil jata hai.
Iski process mai laser kirno ko baalo ki jado par kendrit kiya jata hai aur yeh kirne baalo ko puri tarah se khatam kar deti hai. Ise dermatologist dwara kiya jata hai aur jab bhi aap ise karwate hai to yaad rakhe ki yeh treatment expert dwara hi ho. Aaiye isse judi puri jankari ke liye padhe Laser Hair Removal in Hindi.
Laser Hair Removal in Hindi: Jane Iske Fayde aur Nuksan
Sundar dikhne ke liye keval chehre ka sundar hona hi kafi nahi hai. Iske liye aapke pure sharir ka sundar hona aavyashak hai. Ham aapko batana chahte hai ki Laser taknik ki madad se aap na keval chehre ke balki bajuo, pairo, bikini area aadi jagah ke anchahe baal aasani se hatwa sakti hai. Yeh Permanent Hair Removal ka sabse aasan aur prabhavi tarika hai.
Janiye Laser Hair Removal Treatment Ke Fayde:-
Aapki Twacha Ko Hani Se Bachaye
Aap jab bhi baalo ko hatane ke liye hair removal, wax, ya razor blade ka istemal karte hai to isse aapki twacha kabhikabar kat jati hai ya to chhil jati hai. Aur inke nishan bhi aapki twacha par rah jate hai. Lekin jab aap laser hair removal ka istemal karenge to inn sab pareshaniyo ka samna nahi karna padega. Iss treatment mai sirf baalo ko jado se hataya jata hai aur twacha par kisi tarah ki koi hani nahi pahuchti hai.
Samay Ki Bachat Hoti Hai
Hair laser removal mai parlor ki tarah har thode din mai jakar time nahi waste karna padta hai. Kyuki laser ki ek kiran aapke kai baalo par ek saath asar dalti hai matlab aap kuch hi second mai kai baalo ko hata sakti hai.
Iski madad se upper lips ke baal hatane mai 1 minute ka samay lagta hai. Sharir ke bade hisse jaise pair, hath, pet ke baal aadi hatane mai karib 1 ghante ka samy lagta hai.
You may also like:- Office Beauty Tips in Hindi: Working Mahilao Ke Liye
Permanent Ilaj
Laser treatment se baalo ko bar bar hatane ki samasya khatam ho jati hai. Aapko bar bar wax ya fir kuch aur karne ki jarurat nahi padegi. Iss treatment ko lene ke liye kam se kam 3 se 4 sitting ko lene ke bad 90% baal puri tarah se khatam ho jate hai.
Iss Taknik Se Hone Wale Nuksan:-
Jaisa ki aap jante hai har technology ke bahut sare fayde hai to kai saare nuksaan bhi hai aur jaruri hai ki hum dono se parichit hai. Upar aapne jana laser treatment ke fayde aur ab hum aapko bata rahe he isse hone wale nuksaan ke bare mai.
Chhale Hone Ka Khatra Ho Sakta Hai
Jin logo ka rang thoda jyada gehra hota hai unn logo ko isse chhale hone ki sambhavna hoti hai. Vaise to iske mamle bahut durlabh hai. Iske atirikt sujan aur lalima bhi ho sakti hai. Bahut kam mamlo mai twacha ki rangat mai sthyai badlav bhi dekhne ko milta hai.
Treatment ke baad aapko sunburn jaisa bhi ehsas hota hai. Aese mai aap moisturizer ki madad le sakte hai.
Inn Baato Ka Rakhe Dhyan:-
Laser hair removal ki prakriya sirf anchahe baalo hatane ka tarika hi nahi baaki yah ek chikitsak kriya bhi hai. Yadi isme thodi si bhi galti hoti hai to yeh aapke liye nuksan dayak ho sakta hai.
You may also like:- Wrinkle Treatment in Hindi: Chehre Ki Jhurriyo Ke Liye Upay
Hairs Nikalne Band Kar De
Agar aap laser hair removal karwane ki soch rahe hai to karib 1-2 month pehle se waxing ya koi aur baal nikalne wale tarike band karde. Kyoki yeh sab tarike baalo ko jad se hata dete hai aur laser ki kirne baalo ki jado ko hi nishana banati hai.
Sath hi yeh bhi dhyaan rakhe ki kam se kam 6 mahine tak suraj ki roshni ke sidhe samprak main na aaye kyoki suraj ki kirne laser kirno ke asar ko kam kar deti hai aur ho sakta hai iss treatment ke bad aapko pareshani ka samna bhi karna pad jaye.
Moisturizer Lagaye
Laser removal lene ke bad aapki twacha dhup mai jhulsi hui twacha ki tarah mehsus hogi. Isliye ise thanda rakhne ke liye moisturizer lagaye, jisse aapki twacha ko raahat milegi .Aap chahe to iske agle din makeup bhi kar sakti hai lekin dhyaan rakhna ki chhale na huye ho.
Jab twcha ke baal nikal liye jaye to sunscreen ka istemal kare taaki aapki twcha ka dhup ki wajah se kali na pad jaye. Yadi aapki twcha ke rang mai badlav aaya to yeh aapki illaj ko kam kar sakta hai.
Twacha Ka Rakhe Dhyaan
Upar aapne jana Laser Hair Removal in Hindi. Laser removal ka ilaaj lene se pehle yeh acche janch karva kar jaan le ki yah illaj aapke liye sahi hai ya nahi aur aapko kitni sitting lene ki aavshyakta hai. Iss janch se aapko pata chal jayega ki aapki twacha iss treatment ke liye upyukt hai ya nahi aur iske bad aapko kis tarah aapki dekhbhal karna hai.