Ham Bhartiya aksar subah aur sham ko chai ki chuski lagana pasand karte hai. To kyu na ab ham chuski to lagaye lekin sehat ki chuski. Sadi dudh ki chai jaha aapke sharir mai gas banati hai wahi yadi aap lemon grass tea piyenge to isse aapko na keval urja milegi balki sehat ko bhi kai fayde milenge.
Yeh ek refreshing pey padarth hai jo sehat ke liye bahut faydemand hota hai. lemon grass ko fever grass bhi kehte hai. Iski pattiya lambi aur patli hoti hai. Aap naam se hi samajh gaye honge ki iski khusbu nimbu ki tarah hoti hai. Bahut sare Asian vyanjan mai iska istemal flavor ke liye kiya jata hai.
Ise ek herbal tea ki tarah piya jate hai. Isme kai sare aushdhiya gun hote hai. Kuch giye gaye sodho mai yeh baat samne aayi hai ki lemon grass mai aesa compound hota hai, jo aapke sharir mai cancer ke cell ko badhne nahi deta hai.
Darahsal Fundamentals of Clinical Pharmacology dwara October 2009 mai kiye gaye ek survey mai yeh baat samne aayi thi ki; lemon grass mai moujud citral breast cancer ke cell ko badhne se rokta hai aur to aur apoptosis naam ki aesi prakriya karta hai jisse cancer cell mar jate hai. Aaiye vistar se jante hai Lemongrass Tea Benefits in Hindi.
Lemongrass Tea Benefits in Hindi: Kai Guno Se Bharpur Chai
Apni sharir ko ek healthy boost dena chahte hai? to lemon tea grass ka ek pyala banta hai. Aur pareshan mat hoiye aapko lemon grass lakar ise banane ki jarurat nahi hai. Aapko market mai iske tea bags easily mil jayenge.
Yeh ek herbal tea hai jisme caffeine nahi hota hai, isliye yadi aap apne swasthya ke liye wakai kuch karna chahte hai to rojana ek cup iske chai ka ek pyala jarur piye. Kam se kam yeh vitamins pills lene se kai guna behtar hai. To chaliye dekhte hai kuch Lemongrass Health Benefits:-
Antioxidant se Bharpur
- Aapko antioxidant lene ke liye kai tarah ke phal khane ke liye kaha jata hai.
- lekin yadi aapki lifestyle bahut hectic hai aur aapko iske liye wakt nahi mil pata hai to koi baat nahi aap roj subah ki shuruwat ek cup lemon grass chai ke sath karle.
- Isme acchi matra mai antioxidant hota hai sath hi sath isme sharir ko detox karne ke bhi gun bhi hote hai. Yeh aapke sharir se toxins nikalkar ise andar se saaf karti hai.
Vajan Ghatane mai Aapki Madad Kare
- Vajan ghatana aaj ke wakt mai aesa topic hai jiske bare mai char mai har do vyakti baat karte mil jayenge.
- Badha hua vajan naa aapko dikhne mai bedhol bana deta hai balki apne sath kai bimariya bhi lekar aata hai.
- Yadi aap bhi apna vajan ghatana chahte hai to apne weight loss diet mai green tea ko bhi shamil kar de, yeh aapke metabolism rate ko badhakar, calorie ko burn karne mai madad karti hai.
Hajama Ko Thik Rakhe
- Lemon grass aapke pachan ko thik karti hai. Apne hajma ko thik rakhne ke liye lemongrass tea ko roj peena chahiye.
- Isme antiseptic compound hota hai jo pachan tantra se bacteria ko hatate hai aur pet mai acche bacteria ko pahuchata hai.
- Isse apachan, kabj, dast, sine mai jalan, gas, pet mai aethan jaisi samasya nahi hoti hai.
- Ise baccho ko pine ke liye nahi dena chahiye.
Bad Cholesterol Ko Kam Kare
- Niyamit lemongrass pine se bad cholesterol khatam hota hai aur accha cholesterol badhta hai.
- Sun 1989 mai University of Wisconsin dwara kiye gaye sodh mai, high cholesterol ke marijo ko 140 miligram ke lemongrass ke capsule diye aur dekha gaya hai ki unka cholesterol aascharyajanak roop se kam hua.
- Lemongrass Herb mai moujud potassium nimn raktchaap ko bhi kam karta hai aur rakt ka pravah sudharta hai.
- Roj lemongrass chai ka ek cup pijiye isse aapka cholesterol leval aur ucch raktchaap dono kam hoga.
Lemongrass Tea | Who can take | Whom to avoid |
---|---|---|
Ucch rakt chaap ke marij | Yes | ~ |
Dudh pilane wali maa | Yes(Doctor ke paramarsh se) | ~ |
Bukhar hone par | Yes | ~ |
Madhumeh ke marij | Yes | ~ |
Kideny ki bimari hone par | ~ | No |
Upar aapne jana Lemongrass Tea Benefits in Hindi. Yeh aapko sehat ke sath sath aapki twacha ko bhi kai fayde deti hai. Aap iss chai ko kisi bhi grocery store se kharid sakte ho. Iss chai ko peena safe hai aur iska koi side effects nahi hai. Lekin kuch dawao ke sath ise peena sahi nahi hai. Yadi aap kisi tarah ki dawai le rahe hai to pehle apne doctors se ise lene ka paramarsh kar le.