Leukorrhea Yoni marg se aane wala safed aur chipchipa gade discharge hota hai. Blennenteria ya leukorrhea ek bimari hai, jo ki nazarandaaj karne par gambhir roop le sakti hai. Bharat me hi nahi balki sabhi desho me har age ki mahilaye is bimari se grasit hai.
Leukorrhea mahilao ki aam problem hai, jo ki mahilao ko period se pahle aur baad me hoti hai. Alag-alag mahilao me iska rang, color, time limit, ithirhi sab alag hoti hai. Saath hi iske hone ke karan bhi alag-alag hote hai.
Leukorrhea Causes: Janiye Iske Karan
• Unmarried girl me iski shikayat ho jati hai. Iska karan poshan me kami aur yoni me upastith kharab bacteria ke karan hota hai.
• Yoni ki saaf-safai na hone par.
• Galat tarike se sex karne par.
• Jayada upvas karne par.
• Tej masaledar bhojan karne se.
• Bar- Bar garbh paat hone Ya karane se.
• Mutra isthan me sankraman hone par
• Sharir me kamjori, diabetes hone par.
You may also like: Miscarriage Symptoms: Janiye Garbh Paat Ke Lakshan
Leukorrhea Symptoms
• Haath-pair aur kamar me dard.
• Kamjori ka anubhav.
• Bhuk na lagna.
• Pindaliyo me khicha.
• Sharir bhari hona.
• Bar- bar urine aana.
• Yoni me khujli.
• Jee machalna.
• Ankho ke samne andhera aana.
• Rogi ka chehra pila ho jata hai.
• Menstruation periods se pahle aur baad me white discharge hona.
Leukorrhea problem sabse badi tab ban jati hai, jab javan mahila bhi is problem ke hone ke karan dheere-dheere buddhi dikhne lagti hai.
Leukorrhea Types
Leukorrhea 5 prakar ke hote hai.
• 1st prakar sadhara jo period se pahle aata hai.
• 2nd Youn samabandh hone vale infection ke karan hota hai.
• 3rd bacche dani me hone vale dane ke karan hota hai.
• 4th bacche dani me cancer ke karan hota hai.
• 5th bacche dani ke nikal jane ke baad, bacche dani ke muh me hone vali lali ke karan hota hai.
Leukorrhea Ka Checkup
• To mahilao ko 30 ki umar ke baad har panch saal me iska checkup karte rahna chahiye, jisse ki yeh samany bimari gambhir bimari ka roop na lele.
• Saath hi agar aap iska ilaaj karva rahi hai to sharirik sambandh na banye.
Leucorrhea Treatment: Is Problem se Nijat Pane Ke Liye
• Sharir ki swacchta ka dhyan rakhe.
• Nahate samay yoni ki acche se saaf-safai kare.
• Mutra tyag karne ke baad bhi yoni ko pani se dhoiye.
• Apne inner wear ko din me do bar badaliye.
• Menstruation period me saaf aur sterilized pad ka use kare.
Leukorrhea Ki Roktham
• Leukorrhea ki roktham ke liye apne sharir ko nirog rakhne ka prayas kare.
• Poshtik bhojan bhi le, saath hi samay-samay par bhojan ka grahan kare.
• Tej mirch masale ke khane se bache.
• Apne aahar me iron, salad aur hari sabji ka sevan bharpur matra me kare.
Leukorrhea Precautions- Savdhaniya
• Garbh paat ke liye jayada dawaiyo ka sevan na kare.
• Bina doctor ki salah ke koi bhi dawa na le.
• Yoni rog se pidit purusho se youn sambhandh na banaye.
• Yadi aapke pati youn problem se grasit hai to, pahle iska upchar karvaye, saath upchar hone aur theek na hone tak sex relationship na banaye.
Upar humne aapko Leukorrhea ke causes, symptoms, treatment aur precaution ke bare me bataya hai. To agar aap bhi is problem se grasit hai to iss article ki tips ko apnaiye, saath hi jyada problem hone par turant doctor se contact kare.
Get more updates about Leukorrhea from Diet And Fitness.