Makeup mai sabse mahatvapurn sthan rakhne wali Lipstick har mahilao ki priya hoti hai. Agar aap apne makeup mai lipstick ko shamil nahi karte hai to kahi na kahi aapka makeup adhura sa lagega. Makeup karte wakt, hontho ke makeup par dhyan dena bhi utna hi jaruri hai, jitna ki ham chehre ke makeup par dete hai. Agar hamare honth khubsurat dikh rahe ho to yeh bhi hamari khubsurti mai char chand laga dete hai.
Vaise ab bahut jald thandi ka mousam aane wala hai. To ham aapko bata de ki thandi ke season mai orange, red, burgundy aur dark purple shades kaafi pasand kiye jate hai. Iske alawa cheery red, blood red, mehroon, plum har wakt trend mai rehte hai. Lekin iss baat ka khayal rahe ki jo shade aap par suit kare aapko wahi shade lagana hai. Konsa shade kab aur kese lagana hai uske liye yaha padiye Lips Makeup Tips in Hindi.
Janiye Konsa Lip Color Aapke Liye Sahi Hai
- Kai log din ke wakt bhi lipstick ke dark shades ka istemal karte hai. Jiske chalte wo acche dikhne ke bajay aur bure dikhne lagte hai. Isliye aap jab bhi din ki party mai jate hai to halke lipstick ka prayog kare. Aese time ke liye chocolaty aur pitch shades thik rahenge.
- Jab bhi aap raat ki party ke liye taiyar ho rahi hai to bold colors ka prayog kiya ja sakta hai. Party mai bahut sari lightings hoti hai. Aese mai bold colors ki lipstick aapko bahut attractive look deti hai. Aese time ke liye pop art red, dark chocolate, metallic crimson ka istemal karna behtar hoga.
- In shades ke alawa agar aap orange lipstick ka prayog karna chahti hai to uske sath mascara ke tin coat lagaye. Eyemakeup natural ya minimal rakhe.
- Lip pencil ya lip liner ke bajay hotho par lipstick ke do coat lagaye. Lekin agar aap eye makeup par jyada focus karna chahti hai to lipstick ka ek coat lagane ke baad usse ek shade halke lip gloss ko hontho ke bich mai lagakar halka blend kare.
- Hamesha dhyan rahe ki wahi rang pasansd kare jo aapki twacha aur chehre se mel khate ho. Agar aap gori hai to koi bhi rang aap par suit karega. Par agar aapka rang thoda daba hua hai. To aapko rang pasand karne mai thodi si savdhani rakhni padegi.
Iss Tarah se Jyada Der Tak Tikegi Lipstick
Upar aapne lipstick ke shades ke bare mai to jaan liya. Lekin kai mahilao ko hamesha yahi sikayat aati hai ki, lipstick unke hontho par jyada der tak nahi rehti. Yadi aapko lipstick ko jyada samay tak ke liye tika kar rakhna hai to use honth par lagane se pehle petroleum jelly laga le. Iss tarah wo jyada der tak hontho par tiki rahegi. Iske alawa hamare paas kuch aur bhi tips hai, jisse aapke hontho par lipstick jyada samay tak tiki rahegi. Aaiye jante hai kya hai wo tips.
- Agar aap chahti hai ki aapki lipstick jyada der tak ke liye tiki rahe to, lagane ke ek rat pehle use freeze mai rakh de. Expert ka manna hai ki aesa karne se lipstick lambe samay tak hontho par tiki rehti hai.
- Sahi tarah ka base lagane ke liye aapko honth par halka sa powder lagana chahiye. Powder lage honth par lipstick lagaye. Aesa karne ke baad yadi aap coffee bhi piti hai to bhi aapki lipstick nahi chutegi.
Lip Gloss Bhi Hai Jaruri
Agar aap lipstick ko lagati hai. To lip gloss ko lagana na bhule. Yeh aapke hontho ko dohri suruksha deta hai. Uchit honth ke rang ka chunav accha hoga. Antim nirnay lene se pehle apni hatheli ke pichle bhag par iska parikshan kare.
You may also like: Lip Blister: Hontho ke Pimple ke Liye Gharelu Nuskhe
Janiye Lipstick Lagane Ka Sahi Tarika
- Agar aap apne hontho ko khubsurat rakhna chahte hai, to nimn charno ko apnana aapke liye labhkari hoga.
- Sabse pehle lip pencil ki madad se hontho ki outer line khiche, jisse ki lipstick bahar naa aaye.
- Hontho par lipstick lagane se pehle lip balm lagaye.
- Ab pehle niche ke hontho par, fir upar ke hontho par lipstick ko laga de.
- Lip gloss ko lagakar ise aur adhik ubhar sakte hai.
- Aap makeup karke apne hontho ko khubsuat to dikha lengi, par agar honth sukhe aur fate huye ho to un par makeup bhi accha nahi dikhta. Isliye inn tariko ko apnakar aap hontho ka khayal rakh sakte hai.
Shahad:
Shahad(Honey) ek prakratik padhart hai. Jisme jivanu virodhi gun paya jata hai. Yeh aapke hontho par allergy ka sankraman rokta hai aur nami ko rokkar aapke hontho ko mulayam aur khubsurat banata hai.
Jaintun Ke Tel Se Upchar:
Jaitun ke tel mai vitamin E hota hai. Yeh aapki twacha ki satah se sabhi prakar ke oxidant ko bahar nikal deta hai aur unhe prakratik aur swasthyawardhak antioxidant se badal deta hai. Iss din ke samay kisi bhi wakt laga sakte hai. 15 min lagan eke baad ise thande pani se dho le.