Low Carb Diet in Hindi: Jane Shahir Ke liye Kyo Hai Jaruri

Manushya ko jivit rehne ke liye bhojan ki avashyakata hoti hai. Bhojan ke dwara sharir mai vasa, sharkara, protein, jal, aadi ki purti hoti hai, jisse sharir mai urja bani rehti hai. Inn sabhi tatvo ke dwara sharir ka vikas hota hai aur antrik shakti bhi prapt hoti hai.

Carbon, hydrogen aur oxygen se bane huye yogik hi carbohydrate kehlate hai. Yadi aap rojana ki diet mai kam carbohydrate ka sevan karenge to yeh aapke sharir ke liye bahut faydemand hoga. Ek vyakti ko samanyatah 225 se 335 carb ki rojana jarurat hoti hai, Kyuki sharir ko sabse jyada urja isi se milti hai.

Iske alawa yadi aap low carb diet ka sevan karte hai to isse vajan kam karne mai bhi madad milegi. Ek adhyan ke dwara pata chala hai ki kam carbohydrate aahar ka sevan karne wale logo ko na to dil ki bimari hoti hai aur na hi madumeh ki samasya hoti hai. Iske aur bhi fayde jannne ke liye padhe Low Carb Diet in Hindi.
 

Low Carb Diet in Hindi: Swasthya Ke liye Hai Avashyak

 

 

Source of Carbohydrate – Jane Iske Strot

Wese to carbohydrate adhiktar anajo mai mil jate hai, lekin kam carb wale aahar ka sevan karna aapke liye accha hota hai aur Low Carb Foods hai gehu, makka, jwar, chukandar, khajur, aadi iske alawa yeh carb aasani se aur jaldi pach jate hai.

Inke alawa kuch anya low carbohydrate ke strot hai jaise meat, machli, anda, badam, dahi, chesse, nariyal ka tel, jaitun ka tel, cod fish liver oil aadi ko apne aahra mai shamil kar sevan kar sakte hai.
 

Low Carb Benefits – Jane Ise Lene Ke Fayde

 

Motape Ko Ghatane mai Sahayak

Bada hua vajan ya sharir mai jami atirikt charbi kai bimariyo ko janm deti hai. Kai log motapa badte wakt to dhyan nahi dete kintu motapa badne ke bad unka iss bat par dhyan jata hai. Iss bade huye motape ko kam kare ke liye kuch log pasina bahate hai, lekin vyayam karne ke sath aapko aapki diet par bhi dhyan dena bahut jaruri hai.

  • Aese aahar ka sevan kare jisme kam carb ho.
  • Low carb wale khadya padharth Lose Weight Fast mai madad karti hai.

 

Sharir mai Urja Banye

Carbohydrate urja prapt karne ka sabse saral upay hai, kyuki sharir ko chalane ke liye urja bahut jaruri hai aur iski purti carbohydrate ke madhyam se ki ja sakti hai. Jab aap ek gram carbohydrate ka sevan karte to tab aapko 4 calorie milti hai. Glucose ke dwara sharir urja ko grahan karta hai aur sharir carbohydrate ko glucose mai badal leta hai, taki iska upyog kiya ja sake. Iska kuch bhag yakrat manspehsiyo mai tatha kuch bhaag uttako mai vasa ke rup mai sangrahit kar liya jata hai.
 

Pachane mai Sahayak

  • Aap jitna bhi bhojan karte hai usme carbohydrate ka hona bahut jaruri hai kyuki isse vasa ka pachan samanya rup se hota hai.
  • Jab aap sahi tarah ka fiber yukt kam carbhohydrate le rahe hai hai to yeh aapke pachan sambandhi samsyao ko dur kar deta hai.
  • Iske alawa yeh kabj se bhi rahat dilate hai.

 

Dil Ki Bimari Ko Dur Kare

Kam carbohydrate yukt bhojan ka sevan karne se dil se jude rogo ko dur karne mai madad milti hai. Iss low carb diet ke dwara hriday rog aur stroke hone ki sambhavana kam ho jati hai. Inn bimariyo ko dur banaye rakhne ke liye taje phal, sabjiya, sabut anaj jaise choker, jau aadi ka sevan kare kyuki inme fiber yukt carbohydrate hote hai jo aapke sharir ko sanrakhshan pradan karte hai.
 

Madhumeh Ki Bimari Ke Liye

  • Madhumeh ke rogiyo ke liye carbohydrate bahut jaruri hai, kyuki isse glucose ke star ko niyantrit rakhne mai madad milti hai. Isliye aise fiber yukt aahar ka sevan kare jo rakt mai mojud sharkara ko niyantrit kare.
  • Madhumeh ke rogiyo ke liye doctor beans, matar, daal, badam aur anya fiber yukt aahar khane ki salah dete hai. Sath hi medical nutrition therapy lene ki bhi salah di jati hai.

 

Anidra Ki Samasya Dur Kare

Yadi aapko anidra ki samsya hai to kam carbohydrate ka sevan iss samasya se nijaat dilayega. Kuch aise kam carb wale aahar hai jinka sevan karne se nind acchi aati hai jaise daliya, kaddu, kele aur bhure rang ke chawal. Iske alawa inka sevan karne se bhukh bhi kam lagti hai.
 
Upar aapne jana Low Carb Diet in Hindi. Yadi aap bhi urja se bharpur jivan chahte hai to ise apne aahar mai jarur shamil kare.

Loading...

This website uses cookies.