Chikitsa Visheshagyo ke anusar lymphoma mai shwet rakt kanikaye (lymphocyte) aniyantrit roop se kam hoti jati hai. Yeh sharir ki pratiraksha pranali se shuru hota hai. Yeh lasica, tilli (Pliha), asthi-majja, rakt ya anya ango mai ho sakta hai, kyoki lymphocyte sharir ke sabhi bhago mai hota hai. Jo ant mai tumor ban jata hai. Yeh alag-alag tarah ke cancer ke liye ek samagra naam hai.
Sharir ko sankraman se bachane ke liye humare sharir mai lymphatic system hota hai. Yeh pure sharir mai jaal ki tarah faila hua hota hai. Jisse ki sharir kisi bahari jiv jaise virus ya asamanya sales ko ektra kar sake. Yeh virus limph nodes mai chale jate hai aur shwet rakt kanikao dwara tod diye jate hai. Lymphocyte(shwet rakt kanika). Shwet rakt kanikao ko lymphocyte bhi kahte hai. Lymphocyte (shwet rakt kanika) do prakar ke hote hai – T aur B.
Lymphoma tab hota hai, jab lymphocyte T aur B adhik guna bad jaye. Asamanya lymphocyte ek ya adhik matra mai lymh nodes mai tilli ke roop mai jama hokar, sales ka dravyaman badate hai. Jisse ek tarah ka tumor banta hai. Tumor bad kar aaspas ke utko aur ango ko prabhavit karta hai.
Yadi aapko bhukhar, saans lene mai samsya ya kamjori si lag rahi hai to sachet ho jayiye. Yeh Lakshan Lymphoma ke ho sakte hai. Lakin chikitsako ka kahna hai ki jaldi pata lag jane par Lymphoma ka illaj sambhav hai. To aaiye jane Lymphoma Symptoms in Hindi.
Janiye Lymphoma Symptoms in Hindi, Iske Prakar aur Upchar
Types of Lymphoma: Lymphoma Ke Prakar
Lymphoma 2 prakar ka hota hai Hodgkin aur Non-Hodgkin. Aaiye jante hai inke bare mai-
Hodgkin Lymphoma
Hodgkin Lymphoma, shwat rakt kanikao (lymphocyte) ka eke prakar ka cancer hai. Jo adhiktar baccho aur vyasko mai hota hai, jo 15 se 35 ya 55 se adhik aayu ke hai. Lymph nodes mai dard ya sujan, Sine mai dard, bukhar, vajan kam hona ya bhook na lagna aadi Hodgkin Lymphoma Symptoms hai.
Non-Hodgkin Lymphoma
Non-Hodgkin Lymphoma lasica pranali se shuru hota hai aur pure sharir mai failkar ek prakar ke cancer ko janm deta hai. Sharir mai asamanya dard, twacha mai khujli, raat mai pasina aur bukar aana yeh sabhi Non-Hodgkin Lymphoma Symptoms hai.
You May Also Like: Osteoporosis Treatment in Hindi: Haddiyo ki Kamjori ko Dur Kare
Chikitsako Ki Rai
Chikitsako ke anusar Lymphoma bahut aam rakt cancer hai. Bharat mai aant ka lymphoma cancer bahut aam hai. Rajiv Gandhi cancer sansthan aur shodh-kendra mai karkrog vigyan ke varishtha shri vinit talwar ke anusar samanya lakshno mai behtar illaj aur antibiotic khurak ke baad bhi lakshan dikhai dete hai, to isss bimari ka sandeh aur bad jata hai. Unhone bataya ki prati 1,00,000 logo mai 20 se 22 logo mai lymphoma cancer hota hai.
En aankado ke baad bhi swastha visheshagyo ka kahna hai ki, agar samay rahte pata chal jaye to lymphoma ka illaj ho sakta hai. Iske safal illaj ki dar 90 se 95 fisadi tak hoti hai. Lakin yeh nirbhar karta hai ki rog kis avastha mai hai.
Lymphoma Ke Lakshan
Gardan ke lymph node mai dard sujan, kamar mai dard, adhik bukhar, pet mai dard, raat ko pasina aana, twacha mai jalan ya khujli hona, nigalne mai pareshani hona, lagatar sankraman hona aur bina karan vajan kam hona yeh sabhi Lymphoma ke samanya lakshan hai.
Aaiye jante hai Lymphoma ke mukhya lakshan –
Age: Lymphoma ek vishith aayu wale vyaktiyo ko hota hai. Jo vyakti NHL se pidit hai tatha unki aayu 60-64 hai, unko lymphoma hone ki sambhavna bad jati hai. Sath hi 15 se 35 ya 55 se adhik aayu ke vyaktiyo mai bhi lymphoma ke lakshan paye jate hai.
Infection: Kisi tarah ka infection bhi lymphoma ko humare sharir mai janm de sakta hai jaise HIV, Hepatitis B aur C, EBV aadi.
Genetically: Agar aapke pariwar mai yeh bimari purvajo se chali aa rahi ho, aisi paristhiti mai bhi lymphoma ho sakta hai. Lakin yeh humesha ho aisa jaruri nahi hai.
Rasayan Se: Agar aap kheti karte hai ya kisi tarah ki kitnashak dawa aapke sharir se sparsh kar jaye ya kisi tarah aapke sharir me chali jaye, aisi sthiti mai bhi apko lymphoma ka sankraman ho sakta hai.
Treatment for Lymphoma: Lymphoma Ka Upchar
Lymphoma ke upchar ki prakriya ek saral nirikshan se shuru hoti hai. Phir sharir ke vibhinn ango ki janch ki jati hai. Sath hi rakt aur aasthi majja ka parikshan kiya jata hai tatha chati ka X-ray bhi hota hai. Yeh Treatment for Lymphoma ka samanya nirikshan tha iske pashchatya chikitsak lymphoma upchar shuru karte hai.