Sirf 2 minutes mai banane wali Nestle Maggi bacche hi nahi bado ki bhi pasandida vyanjan mai se ek hai. Lekin haal hi mai UP (Uttar Pradesh) mai iss par huye ek jaanch ke baad ise health ke lihaj se bahut hi unhealthy paya gaya hai. Aaiye jante hai aise hi kuch Maggi Noodles Side Effects ke baare mai.
Kya aap jante hai maggi tatha uske anya vikalpo mai MSG ki matra 8 guna adhik paya gaya hai. MSG ko sadharan bhasha mai lead yani sesa kah sakte hai. Iska pura naam Monosodium Glutamate ke naam se bhi jana jata hai, jise swad badane ke liye istemaal kiya jata hai. Iska jyada sevan karne se vajan badne ke saath dimaag aur kidney ko bhi nuksaan pahuch sakta hai.
Doctors ke anusar bhi MSG ek taste badane wala food product hai, jise khane mai uppar se dala jata hai. Ye aapki body ke liye bahut hi khatarnak hota hai.
Yaha Hum Aapko Bata Rahe Hai ki Experts Kya Kahte Hai Maggi ke Baare Mai:-
Times of India ke mutabit, Lucknow Food Safety and Drug Administration ne Food Safety and Standard Authority of India ko likha hai ki company ke khilaaf shakt karwai ki jaye.
UP ke niyamak ne kaha hai ki desh bhar se sample lekar janch ki jaye. Taki khadya padarth ki gunvatta ki sacchai samne aa sake. FSDA ke sahayak Commissioner Vijay Bahadur ne kaha ki humne maggi ki sample ki kolkata ki lab mai janch karai hai. Isme kai haanikarak chemical mile hai jo sehat ko bahut se nuksaan pahuchahte hai.
Ek aur jankari ke mutabit, bite dino UP ke vibhinn ilako mai maggi ke sample liye haye the. Prayog shala mai janch par paya gaya hai ki iss fast food mai bhari matra mai MSG aur lead hai. Lead ki matra 17 parts prati million hai, jabki iski anubhuti mahaj 0.01 PPM hai.
Maggi Noodles Side Effects: Janiye Maggi se Hone Wale Nuksaan
Agar aap bhi apne baccho ko bhukh lagne par Maggi hi dena chahti hai to pade iss article mai di gayi puri jankari ko aur savdhan ho jaiye. Aaiye jante hai Maggi Noodles Side Effects aur isse judi kuch jaruri baate, jinko aapko khane se pahale jarur dhyan rakhna chahiye.
-
Sodium ki Matra Adhik:
Maggi ke 1 cup (90 mg) mai lagbhag 1090 mg sodium hota hai, jo ki rozana ki sodium ki avashyakta ka 50% hai. Iska yeh matlab hai ki aapko apne baaki khane mai se sirf aadha chammach hi namak dalna hoga. Hypertension aur dil ki bimariyo wale vyaktiyo ko ise nahi khana chahiye.
-
Fat aur Carbohydrate ki Jyada Matra:
Maggi maida se banti hai jo ki jatil carbohydrate hai. Maggi ki har kism (Variety) mai saturated fat ki matra jyada hoti hai. Maggi aata noodles mai 84.% aata aur maggi oats mai 78.% multi grain aata hota hai. Jisme se 52% oats flour hai. Maggi ki har variety mai ye sabhi tatva saman roop se hai.
You may also like:- Janiye Cancer Causing Foods se Jude Kuch Tathaye
-
Fiber aur Protein ki Kami:
Yadi aap sochte hai ki maggi ki dry sabjiya aapko healthy banate hai to aap galat sochte hai. Vastav mai maggi mai poshak tatvo, fiber aadi ke saath hi protein ki bhi kami hoti hai.
-
Pachane Mai Mushkil:
Chuki maggi mai jatil carbohydrate ki adhikta hai isliye yeh pet par bhari hoti hai aur pachane mai bhi mushkil hoti hai. Yadi aapko lagta hai ki aapko rozana pet dard hota hai to dhyan de ki aap maggi kitni khate hai.
-
Aam Samasya:
Maggi khane se kuch aam samasya hoti hai, jese muh mai jalan, sar dard, pet dard, twacha ka laal hona, aur iska sabse bada nuksaan baccho ko hota hai. Isko khane se baccho mai asthma hone ka khatra bad jata hai.
-
Presevative ki Adhikta:
Kya aapko pata hai ki maggi mai preservative ki adhikta hoti hai? Inme namak ki jyada matra hoti hai jo ki hypertension, dil aur kidney ki bimariya paida karta hai.
Upar aapne jane Maggi Noodles Side Effects. To bas der kis baat ki jab aap jaan hi gaye hai ki ye aapki sehat ke liye bahut nuksaan dayak hai to aaj se hi iska sevan nahi kare aur apne aap ko swasth banaye.
Maggi (Noodles) se judi jaruri jankari ke liye yaha dekhiye Food.