Sawli Twacha wali mahilao ko humesha iss baat ki shikayat rehti hai ki wah apne twacha ki rangat nikhar nahi sakti hai. Iske liye wah bazar mai uplabdh bahut sare utpado ka prayog karti hai. Kabhi-kabhi iski wajah se wah hin bhavna ka shikar bhi hoti hai. To aaiye jante hai Makeup For Dark Skin Women aur banate hai apne aap ko sundar.
Sawli twacha yani dark skin wali mahilaye bhi makeup ke jariye apni twacha ki rangat ko nikhar sakti hai aur kisi bhi samaroh mai alag dikh sakti hai. Sawli twacha wali mahilao ko makeup ke douran apni skin tone ka dhyan rakhna chahiye. Iske alawa apne chehre se milta-julta color, lipliner aur blusher ka istemaal kijiye. Aaiye hum isme aapki madad karte hai.
You may also like:- Makeup Tips in Hindi: Minto Mai Khubsurti Paaye
Makeup Tips For Dark Skin Women: Sawli Mahilao ke Liye Makeup Tips
Liquid Foundation:
Sawli mahilaye makeup ke liye liquid foundation ka prayog kare, yeh taral hoti hai na ki powder paste. Yadi aapko apni skin tone se mel khata huya foundation nahi milta hai to aap 2 rango ke foundation ko milakar ek accha rang bana sakti hai. Foundation lagane se pehle chehre par mosturizer lagaiye, jisse twacha komal ho jaye.
Twacha ko Sukhaiye:
Twacha par liquid foundation lagane ke baad use sukhaiye. Iske liye aap powder ka istemaal kar sakti hai. Yadi aapki twacha oily hai to apne paas har waqt face powder rakhe. Isse twacha par gilapan nahi aayega aur wah humesha dry bani rahegi.
Gaalo ko Blush Kare:
Chehre par humesha blusher lagana sahi nahi hota magar kabhi kabhar party aadi mai aap iska prayog karke ek sundar sa look paa sakti hai. Chehre ko blush karne ke liye deep orange, wine ya coral rango ka prayog kare. Isse aapki twacha mai nikhar aayega.
Lipstick ka Prayog:
Sawli twacha wali mahilao ko lipstick ka chunav bhi rang ke hisab se karna chahiye. Jinn mahilao ka rang dark ho unhe, pale color yani halke rango ka prayog nahi karna chahiye. Agar aapko lipstick lagana pasand hai to aap dark color ki hi lipstick lagaye. Jese- wine, red, plane aur brown aadi rang aapki sundarta nikharege.
You may also like:- Lips Makeup Tips in Hindi – Khubsurat Hontho Ke Liye Salah
Eyebrow ke Liye:
Dark rang wali mahilaye makeup ke douran apni eyebrow ko nazar andaaz bilkul bhi na kare. Apni eyebrow ko shape dene ke liye aap pencil aur powder ka prayog karna behtar hoga. Sundar aankhe aapki khubsurti ko badhati hai.
Lip Liner:
Lipstick lagane se pehle apne honto par lip liner ka prayog kijiye. Ek acchi outline aapke pure chehre ki rangat ko nikhar sakti hai.
Sawli mahilayo ko makeup ke douran samay ka bhi dhyan rakhna chahiye. Yadi aap din ke samay makeup kar rahi hai to jyada bhari makeup karne se bache. Yadi inn sabke alawa bhi aapko kuch kami lag rahi ho to aap beautician ki madad le sakti hai.