Makeup Tips in HIndi – Khubsurti nikharne ke liye jaruri hai ki aap apne chehre ka khaas khayal rakhe. Yah jaruri nhi ki aap khubsoorat dikhne ke liye makeup mai professional bane, bas kuch aasan makeup tips se minto mai khubsurti paaye. Beauty parlour mai ghanto baithne se accha hai aap aasan tips ka prayog kar apni twacha ki khubsurti ko rozana nikhar sakti hai.
Makeup Tips ke prayog se aap apni twacha ko chamakdar aur sundar ban sakti hai vo bhi bas kuch hi minto mai. Saath hi saath yeh Beauty Tips mehange utpad se kahi jyada kifayati aur gharelu bhi hai.
Makeup karna har ladki ko pasand hota hai, lekin uske saath hi jaruri hai makeup ka barkarar rehna aur usse bhi jyada jaruri hai mousam ke saath makeup ho aur aapke yeh pata ho ki kiss jagah aapko makeup karna chahiye. Isko karne se baad aap kesi lagegi, final touch kesa ho isi tarah ke Beauty Tips janane ke liye dekhe.
Makeup Tips in Hindi: Jaldi Aapki Khubsurti Nikhare
Jhurriyo ke liye:
Ek chamacch shahad mai nimbu ke ras ko milakar chehre par lagane se chehre par jhurriya nahi padti hai.
Chamak Rakhe Barkarar:
Ek chamacch gulab jal aur ek chamacch dudh ke mishran mai 2-3 bund nimbu ka ras milakar lagane se twacha ki komalta aur chamak bani rehti hai.
Scrubing ke Liye:
Tamatar ka tukda lekar chehre par halke hatho se massage kare, chehre ki gandagi saaf ho jayegi. Twacha ko nikharne ke liye scrubing bahut jaruri hai.
Darkcircle se Bache:
Aakhon ke niche darkcircle se bachne ke liye badam ke tel mai shahad milakar lagaye, isse halke hatho se massage kar dho lewe.
Cleansing ke Liye:
Chehre se makeup ko hatane aur dhul mitti se chutkara pane ke liye cleansing bahut jaruri hai. Iske liye chawal ke aate mai dahi milakar paste banaye aur isse chehre par acchi tarah se massage karke, dho lijiye.
Makeup Ke Liye Konse Product Ka Kare Chunav
Product | College | Office | Party |
---|---|---|---|
Face | Lotus Herbals Safe Sun Block Cream SPF | Lakme Invisible Finish Foundation | Lakme Absolute White Intense Skin Cover Foundation |
Eyes | Lakme Kajal – Black | Lakme Eyeconic Kajal – Black | Lakme Absolute Kohl Ultimate Kajal |
Lips | Maybelline Baby Lips | Lakme Absolute Illuminating Lip Shimmer | Lakme Absolute Gloss Addict – Pink Passion |
Eye Shadow | ROSELEAF 8848 NEW 48 COLOUR | Lakme Absolute Color Illusion Pearl | Technic Mega Matte Nudes 12 Colour |
Alag-Alag Jagah Par Sundar Dikhne ke Aasan Makeup Tips in Hindi
You may also like:- Beauty Tips in Hindi: Daag Rahit Chehre ka Raaz
1) Office Makeup:-
- Office mai tarotaaza dikhna bahut jaruri hai aisi mai aap fresh dikhne ke liye foundation ke saath black eye pencil aur mascara ka prayog kare. Aap rose color ki eye shadow ka prayog karege to bhi behtar dikhege.
- Hontho par pich aur orange color ki lipstick lagaye. Shimmer lipstick aapke hontho ko ek naya look de sakti hai.
- Gaalo par halke haath se halke rang ka touch up de.
- Halaki office ke liye makeup kam se kam karna chahiye jisse aap simple aur sobar lag sake. Makeup karte samay ek baat ka khaas tour par laagu hoti hai ki wah aapki personality ko banaye na ki bigade.
- Garmiyo mai cosmetic ka istamal kam se kam karna chahiye. Iske saath hi sukha makeup yani powder yukt makeup garmiyo mai badiya rehta hai.
- Baalo ke saath bahut jyada experiment na kare. Stylish baal office mai acche nahi lagte hai.
2) Party Makeup:-
- Face:- Garmi ke dino mai sham ke waqt party mai jate samay face par liquid ya water proof foundation lagaye. Face par compack lagakar powder blusher lagaye. Jab face ka makeup pura ho jaye to bleaching paper ka istemaal karna na bhule kyuki yeh saara extra makeup sokh leta hai. Dhyan rahe heavy foundation ka istemaal na kare, yeh pasine mai aasani se bah jata hai. Aap baalo ko koi stylish look bhi de sakti hai.
- Honth:- Hontho par cleanser lagate huye thoda sa foundation lagaye. Phir lip line banate huye lipstick ka ek cote lagaye. Agar aap apne hontho par chamak lana chahti hai to shimmer lagakar ek cote lipstick ka laga sakti hai. Hontho par aap pich ya orange color ka istemaal kar sakti hai. Evening party ke liye aap halki pink lipstick se hontho ko akarshak look de sakti hai.
- Aankhe:- Garmiyo mai eyeliner na lagakar eye shadow lagana chahiye wo bhi cream based. Palko ko chamkane ke liye castor oil laga sakti hai. Kajal lagane se pehle jaruri hai ki aankho ke niche compact lagaye, isse kajal acchi tarah lagega aur aapki aankhe bhi khubsoorat dikhai degi.Makeup lambe samay tak fresh rahe isliye aapko face, lipstick, aankho ityadi ke makeup par alag-alag dhyan dena jaruri hai.
3) College Makeup:-
- Sunscreen Lagaye: Jab bhi aap college jaye sunscreen ko lagaye, chahe mosam koi bhi ho. Sunscreen lagane mai laparwahi na barte. Kyonki sunscreen ka istemal karne se yeh twacha ko suraj se nikalne wali ultraviolet kirno se bachata hai.
- Kajal Lagaye: Aap mascara ya eyeliner ke bajay sirf aankho mai kajal bhi lagayegi to yeh aapko bahut suit karega. Kajal se aapki aankhe badi aur khubsurat dikhti hai.
- Hontho Par Kare Natural Makeup: College jane wali ladkiyo ko hontho par heavy makeup nahi karna chahiye, balki hontho par lipstick lagane ke bajay halke rang ka lip bam ya Vaseline ka istemal kar sakti hai. Isse aapke honth khubsurat aur chamakdar dikhenge.
- Concealer lagaye: Garmiyo mai foundation based makeup jyada der tak nahi tik pata hai, aur foundation lagane ki salah 35 ki umra ke bad di jati hai. Isliye college jane wali ladkiyo ko foundation ki bajay concealer lagana jyada sahi rehta hai. Isse muhase aasani se chup jate hai.
Makeup lambe samay tak fresh rahe isliye aapko face, lipstick, aankho ityadi ke makeup par
Apnaiye aasan Makeup Tips in Hindi, jo dega aapke chehre mai khoi hui rangat wapas. To apply kijiye aur hume bataiye ki aapko humari ye tips kesi lagi.
Get more details about Makeup Tips in Hindi from here.