Lotus Seeds ko hindi me Makhana bhi kaha jata hai. Ye poshak tatvo se bharpur ek aquatic product hai. Makhana swasth ke liye kafi faydemand hote hai. Aaiye jane Makhana Benefits, jo aapki sehat ke liye kitne gunkari hai.
Makhane ke beej kidney aur heart ke liye bahut hi laabhprad hai. Makhane me 9.7% aasani se pachne wala protein, 76 % carbohydrate, 12.8% moisture, 0.1% fat, 0.5% mineral salt, 0.9% phosphorus aur 1.4 miligram iron mojud hota hai. Isme bahut se aushadhiya gun bhi hote hai.
Makhana premature ejaculation (shigrapatan) se bachata hai, virya ki gunvatta aur matra ko badane me madad karta hai jisse aapki sex karne ki iccha bad jati hai. Iske alawa yeh mahilao me Infertility ko bhi dur karne me madad karta hai.
You may also like:- Jaiphal Benefits in Hindi: Nutmeg ke Anmol Fayde
Lotus Seeds Health Benefits: Khaiye Makhana aur Rahiye Swasth
• Lotus Seeds me dher sara anti-oxidants hote hai jisse jhurriyo ka asar kam ho jata hai.
• Isse blood pressure par bhi niyantran paya ja sakta hai. Yeh sharir ke parts stilled hone se bachata hai tatha ghutno aur kamar dard hone se rokta hai.
• Pregnant mahilaye aur pregnancy ke baad kamjori mahsoos karne wali mahilaye ko makhana khana chahiye.
• Makhano ka sevan karne se sharir ke kisi bhi part me ho rahe dard se rahat milta hai.
• Lotus Seeds ko desi ghee me bhunkar khane se loose motion jesi problem nahi hoti hai.
• Makhane ke sevan sharir me ho rahi jalan se bhi rahat dilate hai.
• Isko khane se aapke sex karne ki iccha badti hai aur ye aapke shukranu (Sperm Count) ko bhi badata hai.
• Iske sevan se durbalta mit jati hai tatha sharir prasth hota hai.
• Daily makhano ka sevan karne se sharir ki kamjori dur hoti hai aur hamara sharir sehatmand rehta hai.
Upar aapne jane Makhana Benefits, jo aapko rakhe swasth aur shaktishali. To aaj se hi roz makhane ka sevan kare aur paiye apne aap me ek naya change.
Get more update about Makhana Benefits from Food.