Masoor Dal for Skin: Lentil ke Fayde Aapki Twacha ke Liye

Agar aap kitchen me ek bar najar ghuma kar dekhenge to aapko vaha par rakhi kai cheeze mil jaygi jo ki aapke liye soundayra samagri ke roop me kaam aa sakti hai. Example ke liye haldi, lahasun, namak, chini, sirka, nimbu aur besan aadi khastor par sondarya samagri ke roop me use kiya jata hai. Yaha tak ki daalo me Masoor Dal, bhi glowing skin ke liye use ki jati hai.

Lekin bahut se log iske faydo ke bare me jante nahi hai. To chaliye hum aapko batate hai Masoor Dal for Skin, jisse ki aapki skin bahut sundar aur chamkdaar ho jayegi. Is dal ka scrub ke roop me use kiya jata hai. Jisse ki dead skin puri tarah se khatam ho jati hai.

Lentil Benefits: Masoor ki Daal se Banaye Jane Wala Body Scrub

Masoor Daal-Haldi

Lentil dal ko barik pis kar uska powder bnale. Phir usme haldi aur kuch bunde shahad ki milaiye tatha gada paste abna lijiye.
• Ab is paste ko aapki skin par scrub ki tarah use kijiye. Isse aapki skin bahut sundar aur chamkdaar ho jayegi.

Massoor Daal-Dudh

• Masoor daal ko suraj ki dhoop me 4 din ke liye rakhiye, phir uska powder bana lijiye.
• Phir jab aapko masoor dal ka scrub banana ho tab iska sue kare.
• Is scrub banane ke liye masoor ki dal me thodi sa dudh ya milaiye aur body scrub taiyar. Isse aapki body ki tanning khatam ho jaiygi.

Masoor Dal for Skin

You may also like: Black Salt Benefits: Kala Namak se Nikhare Khubsoorti

Masoor Daal-Ghee

Masoor Dal for Skin ki baat kare to yeh iski bahut important tips hai ki, masoor daal me thodi si matra ghee ki milaiye. Phir isse apni skin par apply kijiye.
• Isse aapki skin dry hone se bachti hai.
• Saath hi aapki skin bahut sundar dikhai deti hai.

Masoor Daal –Mungfali

• Pisi hui masoor ki daal aur mungfali ko ek saath milaiye. Phir usme chutki bhar haldi milaiye saath hi usme dahi bhi daliye. Ise apne chehre aur body par scrub ki tarah lagaiye.
• Aise karne se aapki skin tight hogi aur twacha gori bhi hojayegi.

Aap Masoor Dal me kuch aur samagri ka bhi use kar sakte hai. Jese orange, peela powder, nimbu ras, chandan powder. In sabhi scrub se aapki skin sundar aur saaf dikhai degi.Jo ki aap kabhi bhi aapne ghar par hi bana sakte hai. To bas mahange-mahnage product ka use chord de. Aur is Home Made Scrub ka Use kre.

Upar aapne jane Masoor Dal Benefits. To bas der kis baat ki aaj se hi is dal ka use karke apni skin ko sundar aur glowing banaiye.

Get more details about Masoor Dal for Skin from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

You may also like...