Garibo ka freeze ghade ka pani swasth ke lihaj se amrat hota hai, lekin ise aise hi amrat nahi bolte, balki vastav mai ghade ka pani sehat ke lihaj se bahut faydemand hai, iske faydo ko jankar ghade ka pani pina shuru kar de.
Pidhiyo se, bhartiya gharo mai pani store karne keliye mitti ke bartan yani ghade ka istemaal kiye jata hai. Aaj bhi kuch log aise hai jo inhi mitti se bane bartano mai pani pite hai. Aise logo ka manana hai ki mitti ki bhini-bhini khushboo ke karan ghade ka pani pine ka anand aur iska laabh alag hai.
Darasal, mitti mai kai prakar ke rogo se ladne ki kshamta payi jati hai. Visheshagyo ke anusar mitti ke bartano mai pani rakha jaye, to usme mitti ke gun aa jate hai. Isliye ghade mai rakha pani hume swasth banaye rakhne mai aham bhumika nibhata hai.
You may also like:- Importance of Drinking Water – Kyu hai Pani Itna Important
Matke ka Pani Pine se Banaiye Apni Sehat ko Swasth
Metabolism ko Badhawa Deta Hai:
Niyamit roop se ghade ka pani pine se pratiraksha pranali ko badhawa dene mai madad milti hai. Plastic ki bottle mai pani store karne se, usme plastic se ashuddhiya ikkathi ho jati hai aur wah pani ko ashuddh kar deta hai. Saath hi yeh bhi paya gaya hai ki ghade mai pani store karne se sharir mai testosterone ka level badh jata hai.
Pani Mai PH ka Santulan:
Ghade mai pani pine ka ek aur laabh yeh bhi hai ki isme mitti mai kshariya gun vidhyaman hote hai. Kshariya pani ki amalta ke saath prabhavit hokar, uchit PH santulan pradan karta hai. Iss pani ko pine se acidity par ankush lagane aur pet ke dard se rahat pradan pane mai madad milti hai.
Gale ko Thik Rakhe:
Aamtour par hume garmiyo mai thanda pani pine ki talab hoti hai aur hum freeze se thanda pani le kar pite hai. Thanda pani hum pi to lete hai lekin bahut jyada thanda hone ke karan yeh gale aur sharir ke ango ko ek dam se thanda kar sharir par bura prabhavit karta hai. Gale ki koshikao ka taap achanak gir jata hai, jiss karan vyadhiya utpann hoti hai. Gale ka pakne aur granthiyo mai sujan aane lagti hai aur shuru hota hai sharir ki kriyao ka bigadna. Jabki ghade ko pani gale par soothing prabhav deta hai.
Garbhvati Mahilao ke Liye Faydemand:
Garbhvati (Pregnancy) ko freeze mai rakhe, behad thande pani ko pine ki salah nahi di jati hai. Unse kaha jata hai ki wah ghade ya surahi ka pani hi piye. Inme rakha pani na sirf unki sehat ke liye accha hota hai, balki pani mai mitti ka sondhapan bas jane ke karan garbhvati ko bahut accha lagta hai.
Vaat ko Niyantrit Kare:
Garmiyo mai log freeze ka ye barf ka pani pite hai, iski tasir garm hoti hai. Yeh vaat bhi badhata hai. Barfila pani pine se kabj ho jati hai tatha aksar gala kharab ho jata hai. Matke ka pani bahut adhik thanda na hone se vaat nahi badhta, iska pani santushti deta hai. Matke ko rangne ke liye geru ka istemaal hota hai jo garmi mai shitalta pradan karta hai. Matke ke pani se kabj, gala kharab hona aadu rig nahi hote hai.
Vishele Padarth Sokhne Ki Shakti:
Mitti mai shuddhi karne ka gun hota hai. Yeh sabhi vishele padarth sokh leti hai tatha pani mai sabhi jaruri sukshm poshak tatva milti hai. Isme pani sahi tapman par rehta hai, na bilkul adhik thanda na garm.
Kese Thanda Rehta Hai Pani:-
Mitti ke bane matke mai sukshm chhidra hote hai. Yeh chhidra itne sukshm hote hai ki inhe nangi aankhon se nahi dekha ja sakta hai. Pani ka thanda hona vashpikaran ki kriya par nirbhar karta hai. Jitna jyada vashpikaran hoga, utna hi jyada pani bhi thanda hoga. Inn sukshm chhidro dwara matke ka pani bahar nikalta rehta hai. Garmi ke karan pani vashp ban kar ud jata hai. Vashp banane ke liye garmi yeh matke ke pani se leta hai. Iss puri prakriya mai matke ka tapman kam ho jata hai aur pani thanda rehta hai.