Aajkal ki jeevansheli vyastata se bhari hui hai, jiske chalte vyakti ki lifestyle bahut kharab ho gayi. Isme na samay par khanpan ke liye jagah hai aur na hi vyayam ke liye. Galat jeevansheli ke chalte logo ko sehat se judi kai pareshaniya ho rahi hai jaise kam umra mai hi motapa, madhumeh aadi.
Yadi dainik jeevan mai yog ka samavesh kar liya jaye to inn dikkato ka samana nahi karna padhta hai. Swasth aur sehatmand jindagi ke liye yog bahut jaruri hai. Par jaisa ki ham jante hai sharir mai hone wali atyadhik samasyao ki wajah pet hai.
Yadi aapka pet sahi nahi rahega to kai pareshaniya rahegi. Wahi yadi aapka pet accha rahega to aap kai bimariyo se bache rahenge. Isliye aaj ham aapko Mayurasana ke bare mai bata rahe hai. Yeh asana aapke pachan tantra ko sahi rakhne mai madadgar hai. Aaiye jante hai Mayurasana in Hindi.
Mayurasana in Hindi – Pet Ke Ango Ko Majboot Banaye
Mayurasana ko Peacock Pose ke naam se bhi jana jata hai. Jo log yog ke liye naye hai unhe iss asana ka ko karne mai dikkat aa sakti hai. Isliye iss yog ka abhyas yog guru ke nirdesho mai hi kare.
Mayurasana do shabdo ke mail se bana hai. Pehla Mayur jiska arth hota hai mor aur Dusra Asana jiska arth hota hai baithak. Mayurasana mai sharir ki aakati mor ki tarah hoti hai isliye iss asana ka naam Mayurasana rakha gaya hai.
Mayurasana Steps – Janiye Iski Vidhi
- Mayurasana Yoga ko karne ke liye kisi saaf aur samtal jagah ka chunav kare aur waha dari bicchakar baith jaye.
- Ab apne guthno ko mod le, taki aapke sharir ka bhaar aapke ghutno par aa jaye.
- Ab apne hatho ko hatheliyo ke bal jameen par rakhe.
- Iske bad aapke pure sharir ka bhar aapke ghutno tatha hatheliyo par hoga.
- Apne hatho ko apne ghutno ke najdeek kare tatha apni kohniyo ko pet ke niche kare.
- Dhire dhire apne pairo ko piche ki aur khichkar sidha kar le.
- Apni saanso ko bahar chodte huye dono pair upar ki aur utha le tatha sir ko niche ki aur jukha le.
- Iss wakt aapka sharir ekdum sidha rahega aur aapke sharir ka bhar aapki hatheliyo par rahega.
- Aapko apni kshamta ke anusar iss mudra mai rehna hai. Fir samanya mudra mai aa jaye.
- Teen se char bar iss asana ka abhyas kare. Yadi aap ek sath nahi kar paa rahe hai to bich mai vishram kar sakte hai.
Tip:- Shuruwat mai iss asana ko karna thoda mushkil hai. Yadi aap iss asana ko nahi kar paa rahe hai to aap apne sir aur takhno ke niche sahara le sakte hai.
Mayurasana Benefits – Janiye Iske Fayde
- Striyo ke liye yeh aasan bahut faydemand hai. Yeh banjhpan se bachata hai.
- Yeh ridh ki haddiyo ko sidha banata hai aur usse judi samasyao ko dur karta hai.
- Jin logo ko kabj ki samasya rehti hai unhe iss asana ka abhyas jarur karna chahiye.
- Jin logo ko bhukh na lagna jaisi samasya rehti hai, ise karne se unki bhukh badh jati hai.
- Yeh pet mai cholesterol ke sanchay ko kam karne mai madadgar hai.
- Isse aapke sharir ki mudra mai sudhar hota hai.
- Isse sharir ke ang jaise hath, pair aur kandhe majboot bante hai. Sath hi yeh gardan ki haddiyo ko bhi majboot banata hai.
- Mayurasana yoga aapke sharir se vishakt padartho ko nikalta hai aur bukhar tatha tumor jaisi chizo se chhutkara pane mai bhi madad karta hai.
- Yeh aapka pachan tantra sudharta hai tatha pet ke ango ko majboot banaane mai bhi sahayak hai.
- Iska niyamit abhyas madhumeh ki bimari aur bavaseer se ladne mai madad karta hai.
- Isse masik dharm aur menopause sambandhi rog dur hote hai. Yeh youn gatividhi mai bhi sudhar laata hai.
- Yeh aapke tanav aur chinta ko dur karta hai tatha mansik shanti pradan karta hai.
- Yeh aapke dimag tatha sharir ke bich santulan banata hai.
Mayurasana Ke Pehle aur Badd mai Kiye Jane Wale Asana
Preparatory Poses | Follow Up Poses |
---|---|
Chaturanga Dandasana | Adho Mukha Svanasana |
Eka Pada Sirasana | Eka Hasta Bhujanasana |
Bhujapidasana | |
Eka Pada Sirasana | |
Chaturanga Dandasana |
Mayurasana Precautions – Yeh Samasya Hone Par Naa Kare
- Dil Ke Rog
- Uccha Raktchaap Ki Samasya
- Garbhavastha
- Aant mai samasyae
- Aankh, Kaan ya Naak mai Sankraman
Upar aapne jana Mayurasana in Hindi. Aap bhi uprokt asana ko karke iske labh pa sakte hai. Ise karne mai thoda samay lagta hai, aapko thoda sanyam rakhna hoga, dhire dhire aap ise sikh jayenge. Yadi aapko kandho, kamar ya sharir mai kisi tarah ki chot ho to iss asana ka abhyas naa kare.