Measles (Khasra): Janiye Iske Lakshan aur Gharelu Nuskhe

Measles Rubeela virus ke sankraman se hota hai. Yeh virus ek vyakti se dusre vyakti tak air (hawa) se failta hai. Aaiye jante hai Measles Symptoms, Causes, home remedies aur bahut kuch taki aap iss bimari se bach sake.

Yeh virus bahut prabal hota hai, jisse ki kisi marij ki phunsi phutne se bhi virus hawa me phail sakta hai, aur dusre ko sankramit karne me saksham hota hai.

Short Description of Measles Virus

  • Type:- Ek tarah ka sankramit bimari.
  • Cause:- Rubeola Virus
  • Prasar:- Chune se aur saans lene se failta hai.
  • Other Name:- Rubeola,  morbilli, or red measles.
  • Symptoms:- Cough, fever, red eyes, light sensitivity, muscle aches, runny nose, sore throat, white spots inside the mouth.
  • Treatment:- Iska lakshan ke anusar, pramukh ilaj ghar par hi hota hai.

Types of Measles: Khasra Bimari ke Prakar

Measles 2 types ke hote hai:-

You may also like:- Home Remedies for Dry Cough: Sukhi Khansi ke Upay

  • Rubeola Virus: Iske dwara ‘Measles’ ya ‘Red Measles’ ya ‘Heard Measles’ hota hai. Yeh adhik gambhir bimari phailata hai.
  • Rubella Virus: Iske dwara ‘Germon Measles’ ya ‘3 Day Measles’ hota hai. Yeh mamuli bimari phailata hai, kintu agar yeh kisi pregnant women ko hua hai to pet me pal rahe bacche ko nuksaan pahuch sakta hai.

Measles Symptoms: Iss Rog ke Mukhya Lakshan

Measles Symptoms kisi bhi age ke vyakti ko ho sakte hai. Khaas kar ye bimari bacche ke andar dekhi jati hai. Janiye iss bimari ke mukhya lakshan kuch iss prakar hai-

Measles Symptoms-Khasra

  • Tez bukhar
  • Bahut adhik khansi, sardi, jukham aur chikna
  • Najala
  • Gale ke kharash
  • Gala dukhna
  • Aankho me lalima ya conjunctivitis
  • Thakan
  • Khane-pine me taklif
  • Dust (Loose Motion)
  • Bhukh nahi lagna
  • Sharir me pani ki kami ya dehydration
  • Sar dard
  • Gale ki lymph gland me sujan

Home Remedies for Measles: Janiye Khasra Bimari ke Gharelu Nuskhe

Home Remedies for Measles

  • Liquorice:

    Liquorice khasra ke liye bahut hi prabhavi prakritik upchar hai. Iska aap powder bhi bana sakte hai aur iss powder ko shahad ke saath lene se aapko fayda hoga.

  • Tamarind Seeds aur Turmeric:

    Imli ke beej aur haldi khasra ke liye bahut hi prakritik upchar hai. Imli ke beej ka powder bana lijiye aur usme haldi ka barabar matra mai mishran tayar kar lijiye. Iss mishran ko Measles (Khasra) se pidit vyakti ko roz dene se bahut fayda hota hai.

  • Margosa Leaves:

    Margosa patte khasra ke ilaj mai bahut hi prabhavi hote hai. Isme antiviral aur anti septic gun hote hai. Margosa ke patte ke satah garam pani se nahane se khujali ke rogi ko rahat milti hai.

  • Garlic:

    Lahasun bhi khasra ke liye bahut hi prabhavi ilaj hai. Iska powder laung aur shahad ke sath lene se bahut hi fayda hota hai.

  • Lemon Juice:

    Roz 15-25 ml nimbu ke ras ko pani ke saath lene se ek prabhavit ilaj ho sakta hai. Ye ek bahut hi accha upay hai.

  • Bitter Gourd aur Turmeric Root:

    Haldi ke patto ke saath kadwi lauki ka ras lene se khasra jesi bimari se nijat milta hai.

  • Coconut Water aur Flesh:

    Nariyal pani ek bahut hi prabhavi paiy padarth hai jo sharir ke jaharile tatvo ki safai karne mai madad karta hai. Iske niyamit roop se sevan karne ser aap shigra hi swasth mahsoos karne lagege.

  • Amla:

    Amla Powder ke saath pani ko mila kar lene se khujali aur jalan se chutkara hota hai. Ye ek bahut hi accha upay hai.

Upar aapne jane Measles Symptoms, gharelu nuskhe aur uske prakar. To agar koi bhi iss bimari se grasit hai to wo inn upay ko apnakar swasth rahiye.

Back Pain se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Home Remedies.

 

Loading...

You may also like...