Aapke sharir ko swasth rahe ne ke liye aapke metabolism ka swasth rahna bahut jaruri hota hai. Jiske liye aiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Metabolism Boosting Foods. Jisse aap swasth jivan aaram se jee sakte hai.
Metabolism jivo mai jivanyapan ke liye hone vali jaruri rasaynik pratikriya ko kaha jata hai. Yeh prakriya jivo ko badhne, prajnan prakriya karne, Apni rachan ko banaye rakhne aur unke vatavarn ke prati sajag rahne mai sahayta karte hai.
Samanaye tor par metabolism ko do prakaar mai banta gaya hai. Catabolism organic padartho ka dissolution karat hai. Kisi jivo ka metabolism nishchit karta hai ki uske liye kon sa padarth poshtik ho gaya aur konsa nahi.
Saath hi dhyan rahe ki aapke jivan ko aache s chalane ke liye aapka metabolism ka strong hona bahut jaruri hona chahiye. Saath hi agar aapke yeh majbut hoga to aapka vajan kabhi bhi nahi badhega.
To fir aaiye aur janiye kuch aise aahra jo aapke metabolism ko bahut strong banate hai. Saath hi aapko ek swasth life dekar bimariyo se dur rakhta hai. Isliye aaj se hi inn khadya padarth ko apne aahr mai shamil kar lijiye.
Foods That Increase Metabolism Ke Dwara rahiye Hamesha Rahiye Rogmukt
Vese sach mai kuch aise khadye padarth hote hai, jinka santulit aur niyamit sevan se aap apne metabolism ko badhne ke saath-saath fats ko kam aur hormone ko balance kar sakte hai. Inn khadya padarth ke sevan se aap apne sharir ke vishele padarth ko bhi bahar nikal sakte hai. Lekin iss padarth se pura laabh prapt karne ke liye swach aahar ke bahg ke roop mai liya jana chahiye.
Oats
Metabolism Boosting Foods ki baate kare to oats ka naam sabse pahle aata hai. Oats hamare metabolism ko badhane ke liye kamal ka hota hai. Kyoki oats mai mojud vasa mai ghulnshil fiber ko todne mai lamba samay lagat hai. Yeh bhojan sharir ke insulin ke level ko kam karta hai, jiske prinaam aapka metabolism ki gati tez hoti jati hai. Oats protein aur vasa ka yukt sabse aacha aahar hai. Agar aap subah mai isko khayenge to aapko bahut fayda milega.
You may also like:- Oatmeal Health Benefits: Oats Swasth ke Liye Laabhdayak
Palak
Palak ek antioxidant yukt hota hai, jo damaged maspeshiyo ki marmat karta hai. Saath hi palak mai iron, vitamin C, potassium aur magnesium bhi ucch matar mai hota hai. Red meat ki tulna mai palak mai jyada iron paya jata hai.
Badam
Badam mai swasth vasa, fiber aur incomplete protein ki acchi khasi matar hoti hai. Jab incomplete protein ko Complete protein jese dahi ke saath lete hai, To aapke sharir ko sabhi 9 avshayak amino acid mil jate hai. Kyoki badam mai avshayk fatty acid hote hai, Yeh metabolism ko badhat hai.
Seb
Seb ka glycemic index kam hota hai, jo ek aahar ko pund aur poshtik banaye rakhne ke liye roz khaya ja sakta hai. Seb mai fiber ki ucch matra hoti hai, jo aapke pet ko bhi bhara rakhta hai. Vese “apple a day keeps the doctor away” yeh kahavat sahi hai. Saath hi ise weight loss food bhi kaha jata hai.
Turkey
Turkeyka protein yukt mans dubli maspeshiyo ke tissue ka nirmand karne mai madad karta hai, jisse aapke sharir ki atirik calorie burn ho jati hai aur aapka metabolism badta hai. Turkey mai chicken ki tulan mai kam saturated fat aur adhik protein hota hai.
Dahi
Dahi mai bahut sare probiotic hota hai, jo ki swasth pachan tantra ke liye avshayak hote hai. Isliye aapko niyamit roop se dahi khana chahiye.
Beans
Beans fiber mai ucch hone ke alawa kai anye guno ke karan bhi kamal ka bhojan hota hai. Yeh low glycemic khadya padarth hote hai. Iska matlkab hai ki inke sevan se rakt mai sugar ki vradhi nahi hoti hai. Saath hi inme ucch fiber hone ke karan inka sevan dil ke liye accha hota hai. Inme potassium hota hai, jo stroke aur ucch raktchap ke khatre ko kam karta hai. Beans bhi green tea ki tarah hi blood cholesterol ko kam karti hai aur antioxidant yukt hoti hai.
Metabolism Boosting Foods mai Chupe Hai Sehatmand Rhane Ke Raaz
Grapefruit
Grapefruit vastav mai kamal ke hote hai. Yeh katte phal aapke sharir mai vasa ko badhane vale insulin ke istar ko kam karte hai. Inme fiber bhi prachur matra mai hote hai. Grapefruit ko gulabi aur laal rang lycopene ki vajah se hota hai. Lycopene tumor cell ka nash kar deta hai aur koshikao nuksaan pahuchate vale oxygen mukt kando se ladne ke liye kshamta pradaan karta hai.
Fish
Keval machali ke tel mai omega 3, fatty acid paye jata hai, jo natkiye roop se partidin lagbhag 400 calorie ke dwara aapke metabolism ko badhate hai. Machali ka tel sharir mai vasa ko jalane vale enzymes ka istar ko badhata hai aur vasa badhane vale enzymes ke istar ko bhi kam karta hai.
Pani
Pani peene se vastav mai vajan ghatane mai madda milti hai. 17 ousat tak pani pene ke baad metabolism ki dar mai 30% ki vradhi hoti hai. Pani prakrtik roop se sodium aur anye vishsle padartho ko bahar nikalne ka kaam karta hai. To hum sakte hai ki, pani ek accha Foods That Increase Metabolism hai.
Green Tea
Green tea bahut faydemand hoti hai. Iske sevan se aapka metabolism ki gati badhti hai aur saath hi aapka weight loss bhi hota hai. Isliye aapko rozana 2 cup green tea ka sevan jarur karan chahiye. Taki aapko iska bahut fayad mila aur saath hi aap swasth rahenge.
You may also like :- Health Benefits of Green Tea Which you Should Know!!
Seafood aur Salad
Apne salad mai seafood ko add kro. Iss salad ko apne lunch aur dinner se pahle lena chahiye. Isse aapko omega 3 aur fatty acid milta hai. Isliye aap rozana iss salad ka sevan kijiye. Jisse aapko bemisaal fayda milega.
Coffee ka Ek Cup Kadha
Caffeine mai itna gunkari hota hai, jo aapke nervous system ko majbut banata hai. Saath hi isme antioxidant bhi paya jata hai, jo aapke sharir ke liye faydemand hota hai. Saath hi aapke sharir ki extra calories ko khatam karta hai.
Upar aapne jane Metabolism Boosting Foods. To bas aaj se hi inn foods ka sevan start kar do. Aur hamesha ke liye ek swasth jivan bitaiye.