Mirchi se Hone Wali Jalan ko Dur Karne ke Liye Upay

Chatpata khana banate samay kai baar logo se mirchi jyada ho jati hai. Jyada mirchi ka sevan sehat ko nuksaandayak hai par turant to halat jaan chali jane jesi ho jati hai. Agar aapke saath bhi kabhi aisa ho jaye to aap dudh, shahad ya shakkar aadi ke sevan se aaram paa sakte hai. Lekin kahi galti se mirchi aankho mai chali jaye to use savdhani se inn tarike se dhule.

Mirchi bahut tez lagti hai phir chahe wo khane mai ho ya phir galti se aankho mai chali gayi ho. Mirchi lagte hi pehla khayal sirf yeh hota hai ki kese isse nijat paye, yaha hum aapko kuch aise tarike bata rahe hai jo iski jalan turant kam kar dege.

You may also like:- Green Chilli Benefits, Hari Mirch Ke Swasthvardhak Laabh
 

Aankho mai Mirchi ya Dusri Chizo se Hone Wali Jalan ko Aise Dur Kare

 
Mirchi Home Remedies
 
Aaiye jante hai mirchi ya kisi aur masale ke aankh me jane ke baad hone wali jalan ko dur karne ke liye asardar gharelu nuskhe:

Dairy Product:-

Masalo aur mirchi mai capsaicin namak tatva paya jata hai jo aapke andar jalan paida karta hai. Dudh, dahi aur ice cream jese dairy product ke sevan se aapko aaram milega. Inn dairy utpado caiscin namak protein paya jata hai jo capsaicin ko todkar aapki jalan mai aaram deta hai. Anya dairy product jese makkhan, paneer, cheese aadi ke sevan se bhi aapko aaram milega.
 

Shakkar ya Shahad:-

Agar kabhi khana khate samay mirchi tej lag jaye to aap ek chammach shakkar ya shahad le sakte hai, yeh aapki jalti jibh ko aaram degi. Yeh aapke saliva se tikhapan ko nikalne mai madad karegi.
 

Dudh:-

Dudh, mirch se hone wali jalan ko beasar karne mai madad karta hai. Jyadatar mirch mai tel hota hai aur dudh tel ko bahar nikalne mai madad karta hai. Jabki pani se aao aankh ko sirf dho sakte hai. Isse aapko koi rahat nahi milti. Isliye behtar mahsoos hone tak apni aankh ko baar-baar dudh se dhoye.
 

Saline Solution:-

Aap apne sharir ki prakritik raksha pranali ki sahayata karne ki koshish ke liye aankho ko saline aur lens solution ke saath dhoye. Aur baad mai kuch samay ke liye vaikalpik roop se aankh ko jhapkane ka prayas kare. Saath hi aankh ko chune ke liye sakhti se mana kiya jata hai kyuki aisa karna koshikao ke punah sakriya hone aur dard ko aur badhane ka kaam karti hai.

Upar aapne jane mirchi tej lag jane par asardar gharelu nuskhe. Inn nuskhe se aap khud ko swasth rakh sakte hai.

Loading...

You may also like...