Ham mai se kai log aese hai jo pehle ke tarah dubla patla sharir chahte hai. Kyoki iss badali hui galat lifestyle ke chalte ham motapa, vajan ka badhna jaisi samasyao se pidhit hai. Yahi wajah hai ki kai log lagatar vajan ko ghatane ke tips talashte rehte hai.
Kai bar to samasya jyada badhi nahi hoti hai. Keval 3 se 4 kilo vajan kam karke bhi ham sahi shape mai aa jate hai. Aur yeh jaruri bhi hai. Kyoki sharir par jami atirikt charbi kai samasyao ka karan banti hai jaise madhumeh, uccha raktchaap aadi.
Vaise to vajan kam karne ke kai tarike hai, lekin kai bar choti choti chizo se hame vajan ghatane ke lakshya ko prapt karne mai madad milti hai. Jaise ki yadi ham subah ke nashte se junk food ko hatakar daliya ko apne nashte mai shamil kar le.
Daliya bhi aapke sharir ke kuch kilo kam karne mai madad karta hai. To aaiye jante hai Daliya for Weight Loss ke bare mai.
Daliya for Weight Loss: Isse Kam Hota Hai Motapa
Daliya Kya Hai?
Daliya gehu ke dane ko dardari pees kar banaya jata hai. Ise Broken Wheat ke naam se bhi jana jata hai. Yeh north india ka bahut hi mashur nashta hai. Ise aap do prakar se bana sakte hai. Ya to ise pakakar isme dudh evam chini milakar kha sakte hai. Ya to fir ise khichdi ki tarah sabji aur masala dal kar paka sakte hai. Ise banne mai jyada samay bhi nahi lagta hai. Daliya mai acchi matra mai protein, vitamin aur fiber bhi paya jata hai.
Daliya Benefits for Weight Loss: Iske Vajan Ghatane Ke Liye Fayde
Pet Lambe Samay Tak Bhara Rehta Hai
- Daliya khane se aapka pet lambe samay tak bhara hua rehta hai. Isse aap jyada khane se bachte hai.
- Yadi subah subah aap dudh aur daliya ka nashta lete hai to aapko 218 calories milti hai, jo ki dusre bhatiya nashte se kafi kam hai.
- Isme vasa bahut kam hota hai isliye yeh aapke vajan ko santulit rakhta hai sath hi yeh motape ki samasya ko bhi dur karta hai.
Fiber Se Bharpur
- Yeh fiber se bharpur hota hai, isliye yeh aapke vajan ghatane mai kafi madadgar hai iss baat ko aap nakar nahi sakte hai.
- Yeh pachan tantra ko thik karta hai jisse ki aapka sharir sahi tarah se karya karta hai aur aapko acchi sehat milti hai.
- Aapke aahar mai moujud fiber, sharkara mai parivartit nahi hota hai, isliye vajan ghatane ke liye daliya bahut hi faydemand hai.
Aapko Urja De
- Vajan ghatane mai vyayam bahut aham bhumika nibhata hai yeh baat ham sabhi jante hai. lekin aap acche se vyayam tabhi kar pate hai jab aap energy se bharpur ho.
- Isliye yadi aap vajan ghatane ke liye vyayam kar rahe ho to aapko apni diet mai kuch swasthvardhak shamil karna chahiye.
- Daliya aapke liye ek accha vikalp hai, yeh aapke swasthya ke liye accha hai aur aapke sharir ko urja bhi deta hai. Sath hi yeh acchi Diet To Lose Weight Fast hai.
Dhire Absorb Hota Hai
- Aapko hamesha yahi lagta hai ki jo khana bahut jaldi pach jata hai wo aapka vajan ghatane mai madad karta hoga. Lekin aesa kuch nahi hai balki isse aapko bukh jyada lagti hai.
- Jab aap daliya ka nashta karte hai to sharir mai iske tutne aur avshoshit hone ki prakriya bahut dhimi hoti hai.
- Der se hajam hone ke karan aapko turant bukh nahi lagti hai.
Kam Glycemic Suchank
- Glycemic Suchank iss baat par nirbhar karta hai ki aapka aahar sharkara mai kitni der mai parivartit hota hai.
- Yeh suchank jitna jyada hota hai, sharkara ki matra utni hi adhik hoti hai.
- Isliye job hi log vajan ghatane ki chahat rakhte hai unhe hamesha aesa aahar lene chahiye jinme glycemic suchank kam ho.
- Daliya ko apne nashte mai lene se aapko fayda milega. Yeh bahut dhire avsoshit hota hai jisse rakt mai sharkara ki matra santulit rehti hai.
Ab jab aapko yeh pata chal hi gaya hai ki yeh vajan ghatane mai madadgar hai to kyo na Daliya Recipe for Weight Loss bhi jaan li jaye.
- Daliya ko pjele seke aur fir pani dalkar cooker mai pakane ke liye rakh de.
- Tab tak tamatar, gajar aur pyaj kat le.
- Ek pan mai tel garam kare usme jeera ka takda lagaye.
- Iske bad tel mai gajar, tamatar aur pyaj dalkar ise acche se pakne de.
- Ab thoda si mirchi, haldi dale aur 2 seconds ke liye hilaye.
- Paka hua daliya aur nakam dalkar 3-4 minute ke liye dhak kar rakh de.
- Daliya ko hilaye aur garma garam parose.
Upar aapne jana Daliya for Weight Loss in Hindi. Yadi aap bhi vajan kam karna chahte hai to batai gayi vidhi se ise pakaye aur khaye. Isse dusre nashte ki tarah har 2 ghante mai aapko bhukh bhi nahi lagegi.