Muh mai hone wale cancer ko Mouth Cancer aur oral cancer ke naam se jana jata hai. Yeh bahut hi bhayanak bimari hai agar iss bimari ka sahi samay par pata aur ilaj nhi karaya jaye toh ye bimari jaanleva bhi ho sakti hai.
Iss bimari mai na kewal muh hi prabhavit hota hai jabki iske sath hoth aur zuban par bhi iska kafi assar padta hai. Waise yeh bimari gaal,muh ke talu, masudo aur muh ke upperi hiso mai hoti hai.
Mouth Cancer yani muh ka cancer bhari smoking karne wale, gutka khane wale aur jyada sharab pine wale logo mai hone ka jyada khatra rehta hai. Aaiye yha haum jante hai Mouth Cancer Symptoms taki agar aise lakshan apme ya apke karibi logo mai paye jaye to aap iska sahi samay par ilaj kara sake. Toh aaiye jante hai Mouth Cancer Symptoms in Hindi.
Oral aur Mouth Cancer Symptoms in Hindi: Chetavani Muh Ke Cancer Ke Liye
- Muh Mai Cancer ki Shuruaat
Muh mai cancer ki shruaat ek chhaale se hoti hai, par yeh chhaala aam chhaale se alag hota hai. Yeh chhaala jald thik nhi hota hai. Iss chhaale ke saath-saath gaal aur masudhe mai sujan aur dard bana rehta hai. Muh kholna bahut mushkil hota hai. Saath hi saath gardan mai gath banjati hai aur gale mai kharash bani rehti hai. Aawaj bhi saaf nhi aati hai.
Mouth Cancer Symptoms mai ye bhi dekha jata hai ke rogiyo ke dant kafi kamjor ho jate hai aur hilne lagte hai. Paheli stage mai fibrosis ka shikar ho jate hai, jo ki Pre-Cancer ki stage hai. Iss isthti mai marij ka ilaj sambhav hai.
- Fibrosis yani Pre-Cancer ke Lakshan
Fibrosis ka lakshan yeh hai ke isme muh ke andar kuch safed spot aajata hai aur muh mai jalan hone lagti hai. Aam taur par ye dekha gya hai ke ise muh ka chota mota ulcer man kar isse andekha kar diya jata hai, yeh hi wajah hai ke 70-80% Mouth Cancer se pidit rogiyo ka ilaj last stage me pahuch kar hota hai. Jaha se marij ko bacha pana asambhav hota hai.
Tambaku our pan masala mai bhut hani karak chemical mile hote hai, jo muh ke andar bahut nuksan pahuchate hai. Iss liye jaruri hai ke sabse pahle marij inn chijo ka sevan band kar de. Jaruri nahi hai kai Mouth Cancer sirf tambaku khane wale aur sharab pine wale logo mai hi hota hai, yeh aam admi mai bhi ho sakta hai. Aam taur par research mai yeh dekha gya hai ki tambaku khane walo mai yeh cancer hone ki sambhavna jyada payi jati hai.
Iske bad bhi agar ab tambaku aur sharab ka sevan jari rakhte hai toh samay-samay par doctor ki salah aur paramarsh avashya le.
Umra | Marijo ki Sankhya | Percentage |
---|---|---|
20 se 30 | 18 | 6.10 |
31 se 40 | 63 | 21.36 |
51 se 60 | 51 | 27.8 e |
61 se 70 | 44 | 14.91 |
70 se Jyada Umra | 12 | 4.07 |
Jane kuch anya lakshan
- Ek ya ek se adhik ghavo ka muh mai hona tatha inka 3 hafto tak thik nahi hona bhi muh ke cancer ka lakshan ho sakta hai. Kai bar muh mai alsar bhi ho jate hai.
- Muh ke cancer mai dard bana rehta hai tatha kai logo ke muh se to khun bhi nikalne lagta hai.
- Iss bimari ke hone par gale ke swar beth jate hai aur vyakti ko bolne mai samasya hone lagti hai.
- Pidit vyakti ko muh ke swaad mai anatar hone lag jata hai jaise wah khatta khata hai to use khatte se aruchi hone lagti hai.
- Vyakti ke gale mai sujan ya fir ganth ban jati hai, sath hi inke karan vyakti ke gale mai dard bhi bana rehta hai.
- Iss cancer se pidit vyakti ko muh kholne tatha chabane mai pareshani hoti hai aur vyakti khana nahi kha pata hai.
Kuch Mahatvpurna Sujhav Jo Aapko Mouth Cancer Se Bacha Sakta Hai
- Har din apne daanto ko komalta se saaf kare.
- Khane ke baad aur sone se phle mouth wash ka istemal kare.
- Aise mouth wash kharide jinme alcohol na ho yaa fir 1 cup garam pani mai ¼ chammach baking soda aur 1/8 chammach namak mila kar iska upyog kare.
- Iske baad sade pani se kulla kare.
- Apne muh ko humesha num rakhe.
- Daily 8-12 glass kuch liquid le.
- Haunto ko fatne se bachane ke liye lip balm lagaye.
- Baraf ke tukde chuse.
- Yadi apka muh bahut sukha hai to doctor ki salah le.
- Har bar brush karte samay nakli dant nikal ke brush kare aur unhe humesha saaf rakhe.
- Khatti, amliye bhojan ka sevan na kare jaise orange, tomato, grapes
- Garam khana jaise soup, coffee ke sevan se bache.
Agar muh me koyi chhaala lamebe samay se hai or koyi ghav ho gya hai to isko andekha nhi kare, turant hi doctor ke pass jaye our sahi samay par ilaje karaye. Aur humesha apne danto, jibh aur haunto ko saaf rakhe, aur upar bataye gaye Mouth Cancer Symptoms in Hindi ka acche se dhyan rakhe.