Multani Mitti Face Pack, Aapki Khubsoorat Twacha Ke Liye

Multani mitti ko lagbagh har mahila prayog karti hai. Kyoki yeh bahut se guno se bharpur hoti hai. Iske rozana istemaal se aap apni skin ko sundar bna sakti hai. Ise chehre par lagane se aapki twacha saaf ho jati hai saath aapki skin aur glow karne lagti hai. To chaliye aaj is article ke jariye hum aapko batate hai, Multani Mitti Face Pack in Hindi.

Aaj ki busy life me kisi ke paas itna time nahi hota hai ki vo apni skin par dhyan de sake lekin agar aap sirf thoda sa time nikal kar apni twacha par herbal cheezo ka istemaal karenge to aapki skin bahut khubsoort aur chamkdaar ban jayengi.

Bahut se log bas mehnge mehnge product ka use karte hai lekin multani mitti jesi laabhkari cheez ko bhul jate. To chaliye face pack ki baat karne se pahle hum aapko Multani Mitti Benefits For Skin ke bare me batate hai. Ise aap direct apne chehre par laga sakte hai. Sabse acchi baat hai ki iske koi side effect bhi nahi hote hai.

Janiye Multani Mitti Benefits in Hindi

Cleansers

• Multani mitti me bharpur matra me Magnesium chloride hota hai, jo chehre par cleanser ke roop me kaam karta hai, tatha chehre ki gandagi ko saaf karta hai.
• Agar iska niyamit roop se upyog kiya jaye to chehre ke sare bacteria khatam ho jate hai.

Oily Skin Se Chutkara

• Agar aapki twacha oily hai, to chehre par is mitti ka use kare. Isse aapke chehre ke rom chidra band ho jate hai.
• Iske regular use se kil- muhase bhi khatam ho jate hai. Vese bahut si bar dekha gaya hai ki logo ko black heads aur whiteheads ki samasya ho jati hai, aise me iska use karne se aap is problem se bach sakte hai.

You may also like:- Homemade Skin Bleach, Twacha ko Naturally Sundar Banaye

Complexion

• Bahut se logo ka tanning ho jati hai, jiske karan unka rang gehua ho jata hai. Aise me multani mitti ka use bahut faydemand hota hai.
• Lekin ise sirf ek ya do din lagane se araam nahi milta hai, balki iska niyamit roop se upyog karna padta hai.
• Agar aapke chehre par kisi prakaar ke dag-dabbe hai ya rash ho jaye to aap iska use kar sakte hai.

Texture

• Iske upyog se aapki skin ka texture improve hota hai. Agar aapki twacha par safed dag ho ya kisi bhi prakaar ke dark spot pad gaye ho to bhi aap iska use kar sakte hai.
• Iska sabsa bada gun yeh hai ki, jin logo ki skin bahut sensitive hoti hai, vo log bhi iska use araam se kar sakte hai.

To hum bol sakte hai ki yeh bahut aacha face mask hai, Jo ki har type ki skin par suite karta hai. Aaiye ab jante hai, Multani Mitti Face Pack in Hindi.

Multani Mitti Face Packs Lagiye Aur Paiye Sundar Twacha

Multtani Mitti aur Rose Water

• Yeh mask oily skin valo ke liye bahut faydemand hota hai.
• Multtani mitti aur rose water ko mix kijiye. Ab is paste ko apne chehre par lagaiye. Sukhne par thande pani se muh dho lijiye.
• Isse aapke chehre ka PH level balance hoga tatha aapki skin natural tarike se nikhar jayegi.

Badam, Dudh Aur Multani Mitti

• Raat bhar 2 badam dudh me bhigo kar rakhe. Subah uth kar ise pisle phir isme multani mitti mix kar lijiye.
• Ab is paste me thoda sa dudh aur mila lijiye. Taki yeh ek accha paste ban jaye.
• Is paste ko apne pure chehre par lagaye tatha sukhne par muh dho lijiye. Isse apki skin or bhi komal ho jayegi.

Multani Mitti Aur Tomato

• 2 chammach mitti me tomato ka ras aur chandan ka powder mix kare.
• Agar extra glow chahiye to usme thoda sa haldi bhi mix kar lijiye.
• Is pack ko apne chehre par lagaiye tatha 10 mintues tak ise sukhaye phir aur phir garm pani se apne chehre ko dho lijiye . Isse aapka chehra saaf aur chamakdar ban jayega.

Multani Mitti Aur Pudhina Powder

• Yeh face pack unke liye bahut aacha hai jo ki aapne skin se dark spot ko hatana chahte hai.
• Ek chammach multani mitti me pudhina ki patti ka powder aur dahi mix kijiye.
• Ise chehre par 20 minutes tak lagaye aur phir garam pani se chehre ko dho lijiye. Isse apki skin bedag ho jayegi.

Multani Mitti Aur Chandan Powder

• Yah pack skin tonning ke liye aur oil free skin pane ke liye use kiya jata hai.
• Multani mitti ke saath chandan powder aur kuch bunde dudh ki milaye.
• Ise apne chehre par lagaiye tatha 20 minutes ke liye sukhne de phir sade pani se muh dho lijiye.

Multani Mitti, Shahad Aur Papita

• Yah pack khas kar skin ke sare marks ko khatm karne ke liye upyog me aata hai.
• 1 chammach multani mitti me shahad aur papita mix karle. Phir ise apne chehre par lagaiye.
• Sukhne par sade pani se muh dho lijiye isse aapki skin par ek natural glow aayega.

Multani Mitti, Dahi Aur Anda

• Yeh pack unke liye accha hota hai, jo ki khurduri twacha se nijat pana chahte hai.
• Aadha chammach multani mitti, 1 chammach dahi aur ek ande ka safed bhag lijiye.
• Ise mix karke chehre par 20 minutes ke liye lagaiye. Phir garam pani se apne chehre ko dho lijiye.

Multani Mitti Aur Gajar

• Yeh face pack unke liye accha hota hai, jo ki apni skin se wrinkle ko khatam karna chahte hai.
• Mulatni mitti aur ghisi huyi gajar tatha 1 chammach jaitun ka tel ko mix kar lijiye, phir ise apne chehre par lagaiye aur sukhne par muh ko acche se dho lijiye.

Multaani Mitti Aur Nariyal Ka Tel

• Agar kisi ki skin dhup ke karan kali ho jati ha. Tab yeh mask bahut faydemnad hota hai.
• Mutani mitti aur nariyal tel ko mix kijiye aur usme thodi si chini milaiye.
• Phir is mishran ko chehre par lagaiye aur thodi der baad ise halke haatho se ragadke saaf kar lijiye.

Upar aapne jane Multani Mitti Benefits. To bas aaj se hi in face mask ka use karke apni skin ko khubsoorat bnaiye.

Get more details about Multani Mitti Face Pack from Beauty Tips in Hindi.

Loading...

This website uses cookies.