Munchausen syndrome ek iss tarah ki bimari hai jisme vyakti janbujhkar rogi ki tarah vyavhar karta hai. Iss se pidit vyakti kai bar khud ko chot bhi pahucha leta hai. Wo chahta hai ki logo ka ravaiya uske taraf ek rogi ki tarah rahe.
Iss bimari ko katrim vikar (factitious disorder) bhi keh sakte hai. Factitious disorder ek iss tarah ki bimari hai jisme rogi sabka attention khud ki taraf chahta hai. Iske liye vyakti khud ko bimar samajhne bhi lagta hai aur khud ko bimar dikhata bhi hai.
Iss bimari se pidit aspatal mai bharti hone ke liye jaanbujhkar bimari ya chot ke lakshan paida karte hai. Chikitsiya illaj pane ke liye bahut bar yeh log khud par aakramak bhi ho jate hai. Aese log apne bare mai kai bar zuthi bate bhi karte hai. Jaise we man se khud ke bare mai uplabddhiya batane lagte hai aur prasiddha vyakti ke sath apna rishta bhi jodne lagte hai.
Munchausen Syndrome Symptoms in Hindi: Kya Hai Yeh Manorog
Munchausen Syndrome Disease ka naam, ek German ke military man, Baron von Munchausen par rakha gaya tha. Wo hamesha ghumte huye logo ko kalpanik kahaniya batate rehta tha. Isliye varsh 1951 mai Richard Asher ne yeh shabd unn logo ko lekar sambodhit kiya jo hospital se hospital ghumte rehte hai.
- Isme vyakti batata hai ki use pichle samay mai koi gambheeer bimari thi. Lekin uske baas iski koi jankari nahi hoti hai.
- Kisi chiz ke lakshan naa dikhne par bhi, pidhit kehta hai use koi samasya hai. Udaharan ke liye pidit kehta hai ki use dehydration ki samasya hai jabki usme iske koi lakshan nahi dikhai dete hai jaise ulti ya dast ki shikayat.
- Aese log bar bar alag alag hospitals jate hai, alag alag doctor’s se milte rehte hai.
- Inn logo ko apna health checkup karwane ko lekar bahut utsukta hoti hai.
- Isme vyakti ko chikitsa ka bahut accha gyan hota hai.
- Isme pidit vyakti ke bataye gaye lakshan aur test mai aane wale result mai koi samanta nahi hoti hai.
- Munchausen Syndrome se grasit vyakti ekant jeevan sheli apnate hai. Yeh apne dosto aur pariwar walo se bahut kam sampark banate hai.
- Yeh log apne atit ko lekar bahut avishvasniya hote hai, aur atit ko lekar bahut kahaniya batate hai.
- Aese log khud ko kisi yuddha ke hero batate hai aur kehte hai ki unke mata pita bahut amir aur takatwar the.
Internet Bhi Ek Badi Wajah
Aapko shayad jankar aascharya ho lekin internet bhi Munchausen Syndrome se grasit hone ki ek badi wajah hai. Kai bar log apne kisi sage sambandhi ko koi bimari hone par health se related groups join karte hai. Waha unhe jab kai bimariyo ke lakshan milte hai to we log unn bimariyo ko apne andar dekhne lagte hai aur khud se compare karne lagte hai.
Kisi bhi sambandhit bimari ka ek bhi lakshan apne andar dikhne par unhe lagta hai ki yeh bimari unme bhi hai. Iske liye we log doctors ki salah lene ghumte rehte hai. We logo ko bewajah batane lagte hai ki yeh bimari unko bhi hai. Jab unhe sahanubhuti milti hai to unhe kaafi accha lagta hai.
Iss bimari ko lekar bharat mai kai cases dekhne ko mile the:-
Case 1: Isme ek ladki apni aankho se pani ki jagah khun ke aasu nikalne ka dawa karti thi. Wo khud ko band rakhti thi. Dusro ko dhayn apni aur aakarshit karne ke liye usne iss bimari ka dawa kiya. Use aasu pani ke hi nikalte the jisme wo bahar se khun laga leti thi.
Case 2: Dusre case mai ek no mah ki bacchi ke jalne ka case samne aaya tha. Jisme bacchi ku jal gayi iska karan agyat tha. Iss baat ko lekar doctors ko bacchi ki maa par shak tha. Jab iss baat ki jaanch padtal ki gayi tab paya gaya ki bacche ki maa munchausen syndrome jaise rog se pidit hai. Jab bacchi 1o din ki thi tab bhi use pair jalne ki stithi mai laya gaya tha.
Jab bacchi ko aspatal laya jata tha to sabka dhyan uss par kendrit hota tha aur maa ko sahanubhuti milti thi. Yahi wajah thi ki bacchi ko bar bar jalaya ja raha tha.
Upar aapne jana Munchausen Syndrome Symptoms in Hindi. Rogi ke lakshano ko dekhte huye iska upchar kiya jata hai. Isliye yadi aapko apne pariwar mai iss tarah ke lakshan dikhai dete hai to bina der kiye chikitsak ko dikhaye.