Muscle Building Ke Liye Jaruri Hai Ye Vitamin

Purusho ke liye muscle kafi mayne rakhta hai. Dekha jaye to muscle humare sharir ka sabse matavapurna aur aham hissa hai. Muscle Building har purush ke liye Jaruri hai. Aaiye jante hai kon se vitamins ki madad se aap healthy reh sakte hai.

Muscles Building: Har Purush Ke Jivan Ka Important Part

Ek pen uthane se lekar computer typing karne, dodne, tahalne aadi me muscles ki jarurat hoti hai. Isse aapka Cardiovascular System aachi sithi me rehta hai. Agar aap dodne aur dusri gatividhiyo me apne muscles ka istemal nahi karege to aapka dil majboot aur swasth nahi reh sakega.

Agar aap paryapt exercise karege to isse overweight ki samasya nahi aaegi. Yeh puri tarah se aapke mehnat par nirbhar karta hai ki aap muscles ko kitna aacha bana sakte hai. Jab aap apne body ke Muscle ka thik se istemal nahi karte hai to isse unhe nuksaan hota hai. Apne Muscle Building ke liye aapko Jaruri matra me protein aur vitamin lene ki jarurat padti hai.

Santulit aahar ke saath physical activity aur niyamit exercise bhi bahut Jaruri hai. Physical Fitness ke kisi bhi roop me nazarandaaz karne par iska sidha asar muscles par padta hai aur sharir kamjor ho jata hai.

You may also like: Vitamin E se Banaye Apni Sehat ko Faydemand

Muscles Building ke Liye Kuch Jaruri Vitamin

Khanpan ki baat ki jaye to protein aur vitamin muscles banane me behad mahatvapurna hote hai. Vitamin ki baat kare to Vitamin B1, B2, B3 aur Vitamin C ka vishesh mahatva hai. Muscles banane ke liye sharir ko protein ko todne ki jarurat hoti hai. Wahi vitamin muscle ko grow karne me badava deta hai. Jyadatar vitamin hume phal, sabji aur non-veg se milta hai. Isliye aise aahar lena behad Jaruri hai, jo inn vitamins se bhare ho.

Aaiye hum aapko batate hai Muscles Building ke liye Kuch Khas Vitamins ke bare me:

Vitamin B1

Muscles banane ke liye Vitamin B1 ka bahut bada sahyog hai. Ye aapke dwara liye gaye carbohydrate aur dusre posthik tatvo ko energy me badalta hai. Sunflower ka beej Vitamin B1 se prachur hota hai.
Nature’s Way, Vitamin B-1, 100 mg Thiamin HCl, 100 Capsules

Vitamin B2

Yeh ek aur mahatvapurna Vitamin hai. Isse Riboflavin ke naam se bhi jana jata hai. Yeh teen micronutrient protein, carb aur fat ko todne me sharir ki madad karta hai. Muscles banane me inn teen ka vishesh mahatva hota hai. Milk me Riboflavin badi matra me paya jata hai.
Zenith Nutrition Vitamin B2 – 100 Capsules

Vitamin B3

Energy production aur nervous system ko banaye rakhne me Vitamin B3 ka khas mahatva hota hai. Iske alawa yeh pachan prakriya ko behtar banata hai. Chicken breast meat Vitamin B3 ka ek behatrin source hai.
Jarrow Formulas, Niacinamide (Vitamin B3), 250 mg, 100 Capsules

Vitamin C

Vitamin C sharir me connective tissue ki dekhbhaal karta hai. Yeh anti-oxidant guno se bhi bharpur hota hai, Jisse humara immune system bhi surakshit rehta hai. Cabbage, Broccoli, Lal Shimla Mirch aur Papita Vitamin C ka sabse accha source hai.
HealthAid Vitamin C 1000mg (Orange) – 20 Effervescent Tablets

Biotin (Vitamin H)

Biotin se humara sharir liye gaye poshtik tatvo ke jyada se jyada istemal me saksham hota hai. Saath hi red blood cells ko bhi badata hai. Yeh unke liye faydemand hai jo niyamit roop se physical activity karte hai, kyu ki pure sharir me oxygen pahuchane ke liye RBC ki bahut jarurat hoti hai.
HealthAid Biotin 800µg – 60 Tablets

Folic Acid (Vitamin M)

Folic Acid sharir me new cells ka nirmann karta hai aur anemia se bachata hai. Ek cup masur ki daal se hume har din ke liye Jaruri folic acid ka karib 90% hissa mil jata hai, aur isse Muscle Building ka kaam bhi aasan ho jata hai.
Zenith Nutrition Folic Acid 2 mg – 200 Capsules

Retinal (Vitamin A)

Vitamin A ko retinal ke naam se bhi jana jata hai. Iska pramuk kaam eyes ki roshani ko swasth rakhna hai. Saath hi yeh immune system ko majboot banana ka kaam karta hai. Gajar, Palak, Mitha Aalu, Turnip Vitamin A ka behatrin source hai.

Vitamin D

Vitamin D ko Sunshine Vitamin bhi kehte hai. Jab sharir ko paryapt Suraj ki roshani milti hai to sharir me yeh khud se hi ban jata hai. Milk, Salmon, Shrimp aur Eggs me Vitamin D prachur matra mai paya jata hai.
Zenith Nutrition Vitamin D and Calcium – 180 Capsules

Uppar aapne dekha ki kese aap apne Muscles ko bulid kar sakte hai wo bhi aasan Vitamin ke dwara. Khaiye ye foods aur rahiye swasth aur fit.

Get more update about Vitamin from Food.

Loading...

This website uses cookies.