Natural Acne Treatment in Hindi: Muhanso Ka Prakratik Upchar

Aaj ke wakt mai har vyakti swasth twacha pana chahta hai. Lekin acne ki samasya ke karan yeh sab sapne jaisa ho jata hai. Acne ek prakar ka twacha vikar hai jo har kisi ko ek na ek bar hota hi hai. Bahut hi gine chune log hai jise iss pareshani ka samna naa karna padhta ho. Yeh sabko pareshan karta hai aur iski samasya kisi bhi umra mai ho sakti hai.

Lekin iski jyadatar samasya teenager baccho mai payi jati hai. Chehre par jab gandagi jama hone lagti hai aur agar aapki twacha jyada oily hai to acne ki samasya jarur hi hoti hai. Iss samasya ka illaj karne ke liye log bahut se tariko ko apnate hai, lekin sahi jankari naa hone ke karan wo apni twacha ko ulta kharab kar lete hai.

Isliye isse nipatne ke liye vyakti ko sahi jankari hona jaruri hai. Kyoki ek baar yadi yeh samasya badh jati hai to itni aasani se nahi jati hai. Aur upar se isse chehre par padne wale daag dhabbe itne jiddi hote hai ki lakh koshish karlo par nahi jate. Lekin aapko jyada pareshan hone ki jarurat nahi hai. Yeh ek aam samasya hai. Yadi ham iska sahi samay par illaj kar lenge to iske nishan ko sharir par padne se bacha lenge. To aaiye aaj ke iss lekh mai ham jane Natural Acne Treatment in Hindi.

 

Natural Acne Treatment in Hindi: Muhanso Se Paye Chutkara

 

Natural Acne Treatment in Hindi

 

Aap shayad iss baat se parichit naa ho to ham aapko bata de ki twacha rog chikitsak ke paas lagbhag 70 fisadi mamle isi ke hote hai. Darahsal iski samasya hone ka mukhya karan hormones mai asantulan hona hota hai. Kuch log kehte hai ki pet kharab ho jane ke karan acne hote hai lekin yeh galat hai. Jab sharir mai mel hormones jyada viksit hone lagte hai aur yeh sebaceous gland se jyada teliya padharth chodne lagte hai.

Iss teliya padharth ke karan iss par bacteria jamne lagte hai aur iska parinaam hota hai ki twacha par laal aur bhure chakte ho jate hai. Vaise to bajar mai isse chutkara pane ke liye kai tarah ke products moujud hote hai. Lekin kai baar yeh utpad hamare chehre par suit karte hai aur kai baar nahi bhi karte hai. Isliye behtar yahi hoga ki ham prakratik tariko se iska illaj shuru kar de. Aaiye jante hai How to Cure Acne.

 

Neem Sabse Behtar

Purane samay se neem ka prayog twacha sambandhi kai pareshaniyo ko thik karne ke liye kiya jata hai. Darahsal neem mai jivanrodhi kshamta hoti hai aur isse rakt ki shuddhi hoti hai. Neem se acne ki samasya se nijad pane ke liye sabse pehle to neem ke patto ko pani mai ubalkar us pani ko thanda kar uss pani se muh dho le.

Yeh apne pradushan rodhi guno se apne chehre ko muhanso se dur rakhta hai. Aur yadi aap jald hi samasya se chutkara pana chahte hai to narm mulyam neem ki kacchi pattiyo mai ek glass pani dalkar ise aadha glass pani hone tak ukal le. Fir iss pani ko chhan ke pile isse aapko aur bhi jaldi fayda milega.

 

Aloe vera

Bahut kam logo ko iss bare mai jakari hogi isliye ham aapse yeh baat share karna chate hai. Aloe vera se twacha ki samasya dur karne ke liye medical creams banaye jate hai. Iss bat se hi aap samajh sakte hai ki yeh aapke chehre ke liye kitna adhik faydemand hoga. Iska poudha bhi aapko behad aasani se mil jata hai.

Bus aapko karna yeh hoga ki taze aloe vera se jel alag nikal le. Fir saaf chehre par is jel ko lagaye. Acne par yeh lagane se aapko turant hi rahat milti hai. Yeh chehre ki lalima tatha sujan ko dur karne ke liye prakratik roop se kaam karta hai.

 

Masale Wale Aahar Se Parhej

Yadi aap acne ki samasya se pareshan hai aur chahte hai ki yeh samasya aur na badhe. To bina der kiye bajar mai milne wale masaledar aur tale padhartho ko khana chhod de aur ghar par sada bhojan banakar khaye. Kakdi, tamatar, gajar aur Vitamins aur Beta Carotene yukt aahar lene se twacha swasth aur sundar hoti hai.

 

You may also like:- Home Remedies for Blemishes: Daag-Dhabbe Hatane ke Tarike

 

Chehra Hamesha Saaf Rakhe

Yadi aap apne chehre ko saaf nahi rakhenge to aap dunia bhar ke upayo ko apna le acne ki samasya se nijad nahi payenge. Pradhushan aur dhul mitti ke karan aapke chehre ke rom chhidra band ho jate hai. Jisse muhanse aur acne ki samasya hoti hai. Din mai kam se kam 3 se 4 baar gungune pani se chehra saanf kar le.

 

Face Mask Ka Upyog

Baking Soda mask: baking soda se bana mask aapke chehre ki mrit twacha ko saaf karta hai. Isliye iske niyamit istemal se aapko acne ko hatane mai madad milti hai. Iska mask banane ke liye baking soda mai pani mila le. Fir saaf chehre par is mishran ko lagaye. 10-20 minute tak chehre par laga rehne de fir paani se dho le.

Santare Ke Chhilke Ka Mask: Santare ke chhilke mai vitamin c hota hai. Isse bane mask ko lagane ke liye santare ke chhilke ko thode se pani se piskar chehre par mask ke roop mai lagaye. Kuch der aese hi rehne de fir chehra dho le. Yeh ek behtarin Home Remedies for Acne hai.

 

Cosmetic Ke Istemal Se Bache

Acne aur muhanso se sambandhit pareshaniyo se bachne ke liye yadi aap makeup karti hai to band karde. Isse bhale hi aap sochti hai ki aapke acne chup jayenge aur aapka chehra accha lagega lekin sahi baat to yeh hai ki iske istemaal se aapki samasya aur badh sakti hai.

Aur yadi aapko makeup karne ki bahut jyada jarurat hai to pehle pani se chehra dho le aur oil free sondarya prashadhan lagaye.

 

Vyayam Kare

Niyamit vyayam karna to har samasya ka hal hai. Yeh aapke sharir ko swasth rakhta hai aur har tarike ki samasya se bachata hai. Vyayam karne se sharir ke hormones balance rehte hai. Iske atrikt isse chehre ke rope khul jate hai aur pasine ke jariye sari gandagi bahar nikal jati hai.

 

You may also like:- Home Remedies for Skin Tightening: Twacha Mai Laaye Kasav

 

How to Treat Acne: Anya Tarike Inhe Bhi Jane

  1. Aapke chehra pouchne wala toliya hamesha saaf hona chahiye.
  2. Tanav lene se bache, yeh bhi acne hone ke piche ka mukhya karan hai.
  3. Nashile padharth jaise ki paan gutka, tambaku aadi ke sevan se bache.
  4. Raat mai makeup kiye bina naa soye aur ise utarne ke liye kisi acche cleanser ka istemal kare.
  5. Hafte mai keval do baar hi apne balo par tel lagaye. Jyada tel se bhi chehre par muhanse ho jate hai.
  6. Saptah mai do bar chehre par bhaap le, isse rom chhidra khul jate hai aur chehre ki gandagi saaf ho jati hai.
  7. Dalchini aur shahad milkar paste banaye. Ise chehre ke daag dhabbo par lagaye aur 20 minute baad chehra dho le.
  8. Muhanso ko kabhi bhi pin ki sahayata se phode nahi. Isse aapka sankraman aur badh sakta hai.
  9. Suraj ki tej kirno se muhanse badh jate hai. Isliye dhup mai jane se pehle topi ka istemal kare aur behtar hoga yadi aap chehre ko scarf se dhak lenge.
  10. Nimbu se naa keval acne ki samasya dur hogi balki chehre par nikhar bhi aayega. Ek cotton ball le, use nimbu ke ras mai duboye aur chehre par lagaye.
  11. Daadi karte samay savdhani barte. Behtar hoga ki ise karne se pehle aap gungune pani se chehra dho le. Isse aapki dadi ke baal mulayam ho jayenge aur shaving aasani se ho jayegi.
  12. Yadi acne mai sujan aa jati hai to burf ka istemal kare. Aese mai aap burf ke tukdo ki madad se ise kam kar sakte hai. Isse aapke chehre ko koi nuksan nahi hoga. Lekin jyada fayde ke liye bahut der tak burf na lagaye.
  13. Tamatar ka pulp twacha ke liye kisi toner se kam nahi hai. Yeh porse kholne kaa kaam karta hai. Isse acne ki samasya se bhi nijad milti hai. Sabse pehle to khire ke ras aur tamatar ke gude ko miks kare aur chehre par 15-2o minute ke liye lagaye.

 

Upar aapne jana Natural Acne Treatment in Hindi. Acne aapke chehre ki khubsoorti chhin sakte hai. Isliye upar diye gaye tairko ko savdhani se apnaye aur acne ki samasya se nijad paye. Yadi aapke iss samasya ne bahut hi battar roop dharan kar liya ho to bina der kiye chikitsak ko dikhaye.

Loading...

You may also like...