Natural Beauty Tips in Hindi: Prakratik Tariko Se Dikhe Sundar

Jab bhi ham kisi se pehli bar milne jate hai chahe fir wo shadi ke liye ladki ya ladka dekhne jana, apne boyfriend se milne ki bat ho ya fir koi interview ho. Sabse pehle logo ki najar hamare chehre par padti hai. Yadi chehra sundar aur bedaag ho to har koi ek hi najar mai impress ho jata hai.

Aajkal ke dor mai to har mahila ho ya purursh apne aap ko sundar dikhane ke liye bahut tarike apnate hai. Lekin kuch log aese bhi hote hai jo din bhar ke kam aur office ki bhagdor ke chalte apne sharir aur sundarta ko samay nahi de pate hai. Aese log apni twacha ki dekhbhal aur chehre ko sundar banane ke liye bajar mai uplabdh kai prakar ki creams aur products ka istemal karte hai. Lekin inn products ke side effects bhi hote hai, jinke chalte ham inn par aankh band karke vishvas ni kar sakte.

Bajar mai uplabdh products ki madad se twacha kuch samay ke liye to acchi ho jati hai lekin jab ham inn products ka istemal karna band karte hai to twacha fir se purani jaisi ho jati hai. Iske alava kuch log aese bhi hote hai jinki twacha bahut najuk hoti hai aur bahar ke products aur creams mai uplabdh kai prakar ke chemicals ki wajeh se unki twacha par bura asar bhi padta hai.

Hamesha ke liye aur prakratik sundarta pane ke liye kuch aese aahar aur face pack bhi hote hai jinka prayog karke twacha ki prakratik rangat nikhari ja sakti hai. Aur inse kisi ki twacha par bura asar bhi nahi padta hai. To aaiye jane aese hi kuch Natural Beauty Tips in Hindi.

Natural Beauty Tips in Hindi: Inn Prakratik Tariko Se Dikhe Sundar

Strawberries

Strawberries ek rasbhara phal hai jisme mojud salicylic acid twacha ke liye bahut hi faydemand hota hai. Iska prayog karne se twacha ke daag-dhabbe aur kale nishan se sambandhit pareshaniyo dur ho jati hai.

Iska prayog face pack banane mai bhi kiya jata hai jisse twacha aur bhi khubsoorat dikhayi dene lagti hai. Face pack banane ke liye ½ cup strawberries ko masal le, uske bad isme ek chhota nimbu ka ras, 2 chammach shahad aur ½ cup dahi ko milakar paste bana le. Iss prakar bane paste ko apne chehre par lagaye fir chehra sukhne ke bad thande pani se face ko dho le.

Ande(Egg)

Ande ka prayog log khane mai aur apne balo ko silky aur chamakdar banane mai karte hai. Lekin kya aap jante hai iska prayog chehre ki twacha ko prakratik nikhar lane mai bhi kiya jata hai? Ande ke istemal se twacha komal aur chamakdar banne ke sath-sath gori bhi banti hai.

Iska istemal karne ke liye sabse pehle ande ko fodkar use tab tak fete jab tak isme se jhag hat na jaye. Yadi aapko ande ki badbu se allergy hai to isme tea tree oil ka prayog kar le. Fir iss mishran ko apne chehre par laga le aur sukhne ke bad chehre ko dho le. Aapke chehre par nikhar aa jayega.

Haldi Ka Prayog Kare

Twacha ke liye kai Turmeric Benefits bhi hai. Haldi ka prayog bhojan ke rang aur swad ko badhane ke sath sath sharir ke swasth aur twacha ki kai pareshaniyo ko dur karne mai bhi kiya jata hai. Isme antiseptic gun hota hai jisse iska prayog chot lagne, sardi ko dur karne aadi mai bhi kiya jata hai. Iske alava iske prayog se twacha mai bhi nikhar aata hai. Twacha ki rangat badhane ke liye iska kai tarike se istemal kiya jata hai.

  1. 1 chammach haldi powder mai 2-3 chammach nimbu ke ras ko milaye aur chehre par laga le. Fir 15 minute bad chehre ko dho le. Aesa karne se chehre ke daag, dhabbe dur hote hai aur prakartik nikhar aata hai.
  2. Dhup mai rehne ki wajeh se chehre ka rang kala pad jata hai aur twacha jhulas jati hai. Aese mai haldi, dahi aur besan ko milakar bane paste ko chehre aur pure sharir par lagaye fir thoda samay bad naha le. Isse pure sharir ki twacha mai nikhar aa jata hai.

You May Also Like:- Anti Aging Foods: Inn Aaharo Ki Madad Se Chupaye Apni Umra

Dudh Bhi Hai Faydemand

Dudh ka prayog karne se bhi twacha mai prakratik nikhar aata hai. Iska istemal karne ke liye 1 chammach dudh aur saman matra mai shahad ko milaye aur chehre par laga le. Fir thoda samay pashchat chehre ko dho le.

Coffee

Coffee ka prayog sharir ki thakan ko dur karne ke sath-sath twacha ke dead cells ko hatane aur use komal banane mai bhi kiya jata hai. Isme upasthit antioxidant gun twacha ke chhidra ko dhul aur mitti se bharne se rokane mai madad karte hai.

Iska istemal karne ke liye halke garm pani mai coffee ko milaye aur isme Epsom salt ko dale. Fir iss mishran se apne chehre ki twacha ko kuch samay tak ragde. Thoda der bad chehre ko saaf pani se dho le.

Angur (Grapes)

Angur mai ek prakar ka acid hota hai jo ki prakratik exfoliators hota hai. Yeh aapki twacha ko fir se naturally rejuvenates karne mai madad karta hai aur chehre ko sundar banata hai.

Natural Beauty Tips in Hindi: Anya Upay Inhe Bhi Jane

  1. Aloe-Vera ka prayog karne se chehra komal aur chamakdar banta hai. Iske liye tree tea oil ke sath aloe-vera ke jel ko milaye aur rojana ise apni twacha par lagaye.
  2. Dahi mai mojud prayobetic tatva twacha ko andar se gora karne mai madad karte hai. Iske liye rojana dahi se apne chehre aur sharir ki twacha ki massage kare.
  3. Scrub,mrit twacha ko dur kar twacha ko saaf karne mai madad karta hai. Iske liye aap kisi bhi phal se bane scrub ka istemal kar sakte hai.
  4. Iske alava kela, papita, avocado aadi phal bhi hai jo ki twacha ko saaf kar unhe gora banane mai madad karte hai. Aese phalo ke bare mai janne ke liye padhe Beauty Tips in Hindi for Glowing Skin.

Upar aapne padha Natural Beauty Tips in Hindi. Yadi aap bhi apni twacha mai prakratik nikhar lana chahte hai to diye gaye tariko ko apnaye aur dikhe sundar.

Loading...

This website uses cookies.