Kudrat ne hume kai aisi jadi butiya di hai, jinke istemaal se hum apni energy ko praktitk roop se badha sakta hai. Jisske liye aaiye hum aapko Natural Energy Boosters ke baare mai batate hai. Jiss aapke sharir ki kshamta badh jayegi saath hi aap hamesha swasth rahenge.
Hum apni urja ko badhne ke liye kya-kya nahi karte hai. Energy drink ka istemaal, gym aur kasrat aur bhi na jane kya kya. Lekin fir bhi hume koi fayda nahi hota hai, balki hume nuksaan hi milta hai.
Kabhi bhi kisi ke bas mai kasrat karna nahi hota aur energy drinks ke side effect ke chalet vah kai bimariyo se ghir jate hai. Kyoki inn drinks ka aapki sehat par bahut bura prabhav padta hai.
Kudrat nai hume aise kai herb diye hai, jinke istemaal se hume apni urja ko praktik roop se badh sakte hai. Lekin dekha gaya hai ki , logo ko aisi herb ke baare mai taheek tarike se jankari nahi hoti hai.
Isliye aaiye aaj iss article mai hum aapko aise hi kuch praktik herb ke baare mai baat karenge. Jo ki aapki energy level ko bandhane ke saath-saath aapko kai bimariyo se bhi bachata hai.
Natural Energy Boosters, Aise Herb Jo Prakatik Roop Se Badhaye Urja
Ashwagandha
Herbs for Energy ki baate kare to Ashwagandha ka naam sabse pahle aata hai. Praktik roop se energy badhane ke liye yeh bahut fayemand hota hai. Isse mastisk bhi tez hota hai. Yeh ek jhadidar podha hai. Kahne ko to ashwagandha ek podha hai, lekin yeh podha poshtik jado se yukt hai. Na keval iski jade balki iske beez, phal tatha chhal bhi vibhin rogo ke upchar mai prayog ki jati hai. Tarotaza rahne aur urjavan bane rahne ke liye ashwagandha ka chund ko pratidin dudh ke saath lene chahiye.
Ginseng
Natural Energy Boosters Ginseng ek sugandhit jadi buti hai, jiski shahaytase aap kai bimariyo se bach sakte hai. Iski jad manav sharir ka representation karti hai aur pure sharir ke liye raamban oushadhi hoti hai. Yeh sharir mai bahri tatavo ke khilaf pratirodhak shakti ka nirman karta hai. Yeh herb rakt pet, kidni aur pancreatic cancer ko kabhi kafi had tak theek karta hai.
Dandelion
Dandelion pattiya protein se bahpur hota hai. Isme vitamin C aur E, Carotene, potassium, iron and phosphorus bharpur matra mai mojud rahte hai. Iske sevan se sharir mai urja bhi badti hai. Ayurveda ke guno se paripun hone karan yeh liver ko majbut aur swsath banane aur hepatitis, jaundice, cirrhosis, fatty liver ke roop mai liver ki bimariyo ka ilaj mai faydemand hota hai.
Korean Ginseng
Korean Ginseng yeh ek shaktishali herb hai, jo sharir mai urja ka istar badha deta hai, jisse tanav kam hota hai. Jab aap smoking chhod rahe hote hai, to aapka sharir tanav aur alasya ko chepet mai aa jata hai. Ginseng iss pareshani se bachne ka ek bahut aacha tarika hai.
Ginkgo Biloba
Ginkgo oxygen ka upyog karke mastishak ko behtar banana mai madad karta hai, jisse man ko shanti milati hai. Saath hi blood ka flow bhi bahut acche se hota hai. Yeh ek antioxidants and kidney ke liye tonic ki tarah kaam karta hai.
Hawthorn leaves (Nagfani Patte)
Nagfani ke Patte ek gunkari aushadhi hai. Kato se bahri yeh nagfani aapke swasth ke liye raamban hai. Sukhe mai pai jane vali yeh nagfani aapke pet ke liye bahut faydemand hoti hai. Iske ka dudh kabj ko khatam karta hai. Saath hi yeh twacha ke rogo mai bhi laabhdayak hai. Nagfani peripheral circulation aur sharir ki kshamta mai sudhar karta hai, oxygen ka upyog karne ke liye.
Licorice Herb
Licorice Herb ek ashacharyejank jadibuti hai, jo swabhavik roop se meethi hoti hai. Yeh blood sugar level ko samanye karne mai madad karta hai. Isse Adrenal Glands ka poshan hota hai. Licorice root endocrine paranali ke liye bahut accha tonic hai aur prajann pranali ke liye vishesh hota hai. Yeh vishesh roop se gangrene se grast logo ke liye faydemand hota hai. To hum bol sakte hai ki, yeh ek aacha Natural Energy Boosters hai.
Herbs for Energy, Praktik Tarike se Uraja Paana Huya Aasan
Green Tea
Green tea antioxidant se bharpur hoti hai. Yeh sharir se vishele tatavo ko bahar nikalne aur vajan ghatne mai madda karta hai. Iska prayog sharir mai metabolism ya fat oxidation ko badhta hai. Green tea ke niyamit sevan se aapki energy ka level bhi bahut adhik badhta hai.
Muleti
Muleti ek perennial jhadi hai. Iska istemaal lagbhag 4000 se adhik varsho se kiya ja raha hai. Perennial kidney tonic ke roop mai labhdayak hota hai. Yeh sharir mai energy level ko bhi badhata hai aur chronic thakan ka mukabla karne ke liye iska prayog kiya jata hai.
Alfalfa
Alfalfa vitamin mineral aur anye poshan tatvao se bharpur hota hai. Iron se samradh hone ke karan isme refreshing capabilities hoti hai. Saath hi iske alawa isme mojud calcium, B vitamins, potassium, carotene aur zinc aapki energy level ko bahut adhik badha dete hai.
Upar aapne jana Natural Energy Boosters. To bas der kis baat ki upar batatye gaye praktik herb ko apna kar apne sharir ki shakti badhaye aur hamesha swasth rahe.
Herbs for Energy se sambhandhit jankari ke liye yaha jaye Food.