Natural Food Benefits in Hindi: Prakratik Aahar Ke Fayde Janiye

Har koi swasth jeevansheli jeena chahta hai. Ek swasth aur sehatmand jindagi ke liye keval vyayam hi nahi balki santulit aahar ka lena bhi jaruri hai. Lekin aajkal ki lifestyle ki baat kare to logo ko fast food aur bahar ka khana jyada pasand aata hai. Bahar ke khane se na to hame jaruri nutrients mil pate hai aur na hi yeh sehat ki dhrsti se accha hota hai.

Junk food ya bahar milne wale khane mai tel aur ghee ki matra bahut adhik hoti hai jo ki aapke swasthya ke liye sahi nahi hai. Iske atrikt naa hi inme saf safai ka dhyan diya hota hai. Jiske karanwash kai hanikar jeevanu hamare sharir mai jakar unhe nuksan pahuchate hai.

Isliye aese aahar ka sevan karna chahiye jo hamare sharir ko fayda pahuchaye aur sehatmand banaye. Prakratik aahar iske liye sabsa accha udaharan hai. Prakratik aahar wo hote hai jo hame prakrati dwara prapt hote hai.

Prakratik food aapke swasth ko swasth banaye rakhta hai. Natural food ke kai sare gun hote hai. Aajkal ki bhag dhoud bhari jindagi mai shuddh aahar milna bahut mushkil ho gaya hai. Lekin jitna ho sake hamari dincharya mai hume prakratik aahar ka sevan karna chahiye. Yeh aahar hame nirogi, chust, tandurust, jawan aur sehatmand banaye rakhta hai. Rojana prakratik aahar ka sevan karne se humari umra bhi jaise jaldi nahi badhti hai.

Prakratik aahar ke dwara humare sharir ko jitne bhi minerals vitamin chahiye hote hai wo mil jate hai. Inse kisi bhi prakar ke koi side effect nahi hote hai. Prakratik aahar ka sevan karne se aapko cholesterol ka khatra bhi nahi hota hai. Na hi aapke sharir par motapa aata hai. Ye anti oxidant ka kaam bhi karte hai. To aaiye jante hai aese hi kuch sharir ke liye labhdayak Natural Food Benefits in Hindi.
 

Natural Food Benefits in Hindi: Acche Swasth Ke Liye Prakratik Aahar

 

 
Baccho se lekar vriddha logo ko prakratik aahar ka sevan karna chahiye. Inko khane se humara sharir acche swasth ka hakdar banta hai. Aapko ki tarah ke prakratik aahar aasani se bajar mai mil jate hai. Yeh aahar na keval aapke swasth ko sudharte hai balki aapki khubsurati ko banaye rakhne mai bhi madad karte hai. Natural food ke aneko fayde hai. Aaiye jane wo kya hai:-

Soybean – Madhumeh mai Faydemand

Soybean ko khane se aapki umra tham si jati hai. Kaafi lambe samay tak soyabin khane wale logo mai budhapa jaldi nahi aata hai. Yeh cancer se bhi suraksha pradan karta hai. Waise soya dalo mai gina jata hai. Iska kam dam ka hona garibo ke liye bahut faydemand hai. Soybean mai vitamin, dhatu lavan aur kafi sare protein hote hai. Soybean mai 43% protein paya jata hai.

Soybean khun ki kami ko dur karta hai. Sath hi soybean ka rojana sevan karne se yaddasht shakti badti hai. Isliye students ko to iska sevan jarur karna chahiye. Yeh aapke dimag ko shant rakhta hai aur chidchidepan ko dur bhagata hai. Soybean mai iron acchi matra mai paya jata hai. Soya ke dhudh mai lactose nahi hota hai. Isliye iska dudh madhumeh ke marijo ke liye kisi vardan se kam nahi hai.
 

You may also like: Anti Aging Foods: Inn Aaharo Ki Madad Se Chupaye Apni Umra

 

Gunkari Tamatar – Cancer Ko Badhne Se Roke

Tamatar ek aisa prakratik aahar hai jisse aap kaccha ya pakka kaisa bhi kha sakte hai. Iska sevan aapko har tarah se fayda hi pahuchayega. Yadi kisi ko cancer ho gaya hai to uske aahar mai 60% bhag tamatar ka dena chahiye. Tamatar ki wajah se cancer ki koshikaye nasht hoti hai aur wapis nahi badhti hai. Jisse cancer niyantrit rehta hai. natural cure for cancer ke liye iska sevan jarur kare.

Tamatar lever aur kidney ko bhi uttejit karta hai. Jisse sharir sahi tarike se karya karta hai. Aajkal bahut sare log lever aur kidney ki bimari se grasit hai. Aese mai tamatar ka sevan unke liye faydemand hai.

Kacche tamatar ki chatni aapki aanto ke liye bahut faydemand hai. Kacche tamatar mai protein, vasa, carbohydrate, calcium, phosphorus, riboflavin, thiamin, carotene paya jate hai. Aur yadi tamatar paka hua ho to pehle wale tatv zinc cobalt magnesium, potassium, amino acid, iron, sulfur, aluminum fructose, glucose mai badal jate hai. Dusri sabjiyo ki tarah tamatar ko pakane mai iske tatv nasht nahi hote hai. Balki tamater ko pakne par lycopene ko acche se sokh lete hai. Isme fiber jyada tatha calories kam hoti hai. Isse aapko weight ghatane mai madad milti hai.
 

Daliya Rakhe Dil Ki Sehat Ka Khayal

Rojana nashte mai daliya khana aapke swasth ke liye bahut accha hota hai. Weight Loss ki chahat rakhne walo ke liye yeh ek accha nashta hai. Ek sodh se pata chala hai ki daliya khane se dil ko swasth rakhne mai madad milti hai. Kyuki daliya ucch raktchaap ko niyantrit rakhne mai madad karta hai. Yadi aap apne aahar mai rojana daliya ka sevan karenge to dil ki bimariyo mai 15 fisdi aur stroke mai 25 fisdi ki kami aayegi.
 

Dahi Rakhe Aapko Durust

Dahi ko roj apne bhojan mai shamil karne se aapka pachan accha hota hai. Dahi mai phosphorus aur vitamin D hota hai. Jo sharir ke liye bahut faydemand hai. Dahi mai calcium hota hai jo aapki haddiyo ko majbut banata hai. Rojana 300 ml dahi ka sevan karne se yeh pet ka cancer aur pet ke rogo se bachata hai.

Jab kabhi pet mai acche bacteria ka abhav ho jata hai. Tab bhukh nahi lagne ki bimari ho jati hai. Aese mai dahi bhukh lagne mai sahayak hota hai. Dahi khane se pachan kriya sahi rehti hai aur aapko bhukh acche se lagti hai. Dahi ke sevan se acchi diet bani rehti hai. Aur chehare par glow bana rehta hai. Dahi khane se blood cells bhi majboot hote hai. Jisse sharir ki rog pratirodhak shamata badti hai.

Jo log kaafi samay se pet ki samasyao se lad rahe hai unhe dahi ka rojana sevan karna chahiye. Dahi dil ke liye bhi accha hota hai tatha cholesterol ko kam karne mai madad karta hai. Isme bahut hi poshtik tatv paye jate hai. Yaha janiye aur bhi kai dahi ke fayde in hindi.
 

 

Mungphali – Haddiya Majboot Banaye

Mugphali mai protein aur vitamin E hota hai. Jo swasth ke liye bahut accha strot mana jata hai. Iska sevan aapko cancer aur dil ki bimariyo se bachata hai. Mungphali mai iron ki bhi acchi matra hoti hai jo lal rakt koshikao ko acche se kaam karne mai madad karta hai. Isme calcium bhi paya jata hai. Jo haddiyo ko majbut banane mai madad karta hai. Mughpahli ke andar ka guda cancer hone ki sambhavana ko kam karta hai. Yeh harmon ke vikas mai bhi sahayak hai. Aur khun mai cholesterol ko kam karta hai.
 

Badam De Dimagi Takat

Badam mai vitamin bahrpur matra mai hota hai. Badam na sirf swad se bharpur hai balki ye dimag ki takat badhane mai bhi madad karta hai. Badam ka roj sevan karne se ye aapke hriday aur mastishk mai acche se rakt sanchaar karta hai. Raat mai badam ko bhigakar rakh de. Aur subah subah uska sevan kare. Garbhvati mahilao ke liye ye bahut faydemand hai. Badam khane se colon cancer ko kaafi had tak kam kiya ja sakta hai.
 

You may also like: Immunity Boosting Foods in Hindi: Pratirodhak shamta Badhaye

 

Chuvare Dilaye Dublepan Se Nijat

Chuvare aapki sehat ke liye bahut faydemand hote hai. Rojana Rat ko ek glass dudh mai chuvare ko dalkar ubale. Fir dudh ko thoda thanda karke piye. Aisa kam se kam 3 se 4 month karne se aapka dublapan kam hota hai. Chehra bhar jata hai. Tatha bal lambe ghane aur majbut hote hai. Sath hi aapki khubsurti bad jati hai.
 

Seb Rakhe Doctor Se Dur

Rojana ek seb khana aapko doctor ke pas kabhi nahi jane dega. Seb mai kai gunkari tatva hote hai. Yeh bhi ek Healthy Natural Food hai. Rojana seb ka sevan karne se dil ki bimari, cancer, madhumeh aur dimagi bimari se bhi bacha ja sakta hai. Seb aapke pachan shakti ko bhi badata hai. Seb mai anti oxidant hote hai, jisse cance dil ki bimariyo se bachav hota hai.

Lal seb mai flavonoide tatv hote hai. Jo antioxidant ka kaam karte hai. Sath hi yeh dimag ki koshikao ko swasth banaye rakhte hai. Isme protein aur vitamin barabar matra mai hota hai. Kintu calorie kam hoti hai. Jisse hriday swasth rehta hai. Jo log ucch raktchaap ki wajah se namak ka sevan nahi kar pate ya fir namak ka sevan kam karte hai. Unke liye seb ek accha strot hai. Kyuki seb mai namak ki matra na ke barabar hoti hai. Seb glucose ki matra ko santulit rakhta hai. Aur madhumeh se pidit vyaktiyo ke liye bahut faydemand hai.
 
Upar aapne jana Natural Food Benefits in Hindi. Yadi aap bhi sehatmand jidagi jina chahte hai. To fatty aur fast food ko chhod ke. Prakratik aur swasthprad aaharo ko chune aur swasth jindagi ke taraf apne kadmo ko badhaye.

Loading...

This website uses cookies.