Aap jante hai ki sahi aahar lene se aapke sharir ko mineral, vitamin, aur poshak tatva uchit matra me milte hai. Kuch padhart aise hai, jo aapki dainik pareshaniya jaise hichki aana, khujali jalan ko kam kar dete hai.
Halaki yah baat dhyan me rakhni chaiye ki gambhir istathi me doctor ka paramarsh avashyak hai. Yadi aapko swasth se sambandhit choti moti kuch samasaya hai to jaruri nahi hai ki aap doctor ke paas jao. Aaj is article ke jaariye hum aapko batate hai ki, Natural Pain Killers, jinko apna kar aap dard me aaram pa sakte hai.
Pain Killers: Kitchen me Majud 10 Prakritik Dard Nivarak
Masik Dharm me Dard ke Liye Adrak
• Paramparik chini aushadhi aur adrak par 2000 se adhik varsho tak se vishvaas kiya ja raha hai.
• Adrak se rakt ka pravah badta hai. Tatha mashpeshiya ki sujan kam hoti hai jisse garbhashay ki ve mashpeshiya bhi shamli hoti hai jaha se cramps utpann hoti hai.
• Mul tatha purak chikitsa paddhati me bhi yah paya gaya ki mahvari ke doran hone wale dard me adark bahut laabhdayak hai .
• Mahvari ke samay ko sahan karne yogya banane ke liye adark yukt chai ka sevan kare.
You may also like: Shoulder Pain Treatment: Ghar Par Kandhe ka Dard Bhagaiye
Mutramarg Se Sambandhit Bimariyo ke Liye Cranberry
• Cranberry ek bahut accha Pain Killers hai. Isme Proanthocyanidins hota hai. Yeh ek compound hota hai. Jo mutramarg me sankraman ( U.T.I ) paida karne wale bacteria ki roktham karne me shayak hota hai.
• E coli bhi mutramarg me hone wale sankraman ko rokane me shayak hai.
• Yah sankraman paida karne wale bacteria ko bladder ki diwar se chipaka deta hai. Yadi aapko pahle se hi UTI hai to shayad Cranberry ise theek kar deta hai.
PMS ke Liye Calcium se Bharpur Aahar
• Kya aapko mahvari aane ke pahle mood badalna aur chidcidahat jaisi smasyao ka samna karna padta hai? Aap akeli aisi nahi hai. Lagbhag 85% mahilaye pratimah kam se kam PMS se grasit hoti hai.
• Acchi baat yeh hai ki aap apne aahar me sudhaar karke aap in lakshano ko kam kar sakte hai. Doctor Roger ke anusaar aisa dekha gaya hai ki PMS se prabhavit logo me rakt me calcium ka istar kam hota hai.
• National Institutes of Health ke anusaar ek vyakti ko pratidin lagbhag 1000 mg calcium ka sevan karna chaiye.
• Shayad aap jante hai ki dairy utpadan me calcium se paripund hote hai parti din iska sevan karna chahiye.Iske alawa badam , broccoli, hari pattedar sabjiya, machli aadi me bhi calcium paya jata hai.
Eczema ke Liye Oatmeal
• Nashte me khaya jane wala khadya padarth twacha par hone vali kujhli ko kam karta hai. Oatmeal raishes ko kam karta hai kyoki isme photo chemicals hote hai jinme jalanrodhi gun paya jata hai.
• New York shahar ke Dermatologist expert kavita Mriwalla batati hai ki 1/3 cup sade oatmeal ko pise tatha iska powder banaye. Is powder ko gungune pani me dale phir use haath se tab tak hilaye jab tak pani dudhiya na ho jaye. Iss mishran ko nahate samay sharir par lagaye.
• Ise use karne ka ek aur tarika hai:-1/4 oatmeal tatha paryapat pani milakar paste banaye thatha ise 10 min tak twacha par lagakar rakhe.
Dry Skin ke Liye Salt
• Aapko apne ghutno, kuhaniyo aur aidiyo ke kurdurepan ko dur karne ke liye mahenge utpado ki avashyakta nahi hai. Sea salt se ghar par banaya hua scrubber bhi bahut upyogi hota hai.
• Sea salt ek acche Exfoliate ki tarah karya karte hai kyoki iske kand kuch mote hote hai jo sukhi twacha ko hatate hai.
• Acha hoga ki is scrubber ko sensitive bhago jaise chehre aur aapke hatao ke piche ke bhag par na lagaye. Yah isi twacha ko nuksaan pahucha sakta hai.
Suji Hui Aakhon ke Liye Khira
• Kheere ke thande tukaro ko aakho par rakhna murkhtapurn dikh sakta hai parntu aakho ki sujan ka yah ek bahut purana upay hai.
• Kheere jisme lagbhag 95% pani hota hai, aakho ko thandak pahuchata hai jiske karan rakt vahikaye sikudti hai thatha sujan kam hoti hai.
• Yahi karan hai ki ice pack ki tulana me kheera adhik upyogi hota hai aankho ko taja dikhane ke liye ise 10 minutes tak apni aakho par rakhe .
Kabj ke Liye Aalu Bukhare
• Natural Pain Killers ki baate kare aalu bhkare ka bahut mahtv hota hai. Sukhe hue plums me prachur matra me Insoluble fiber hote hai jo kabj se ladne me pramukh roop se shayak hai
• Insoluble fiber pani me nahi ghulata tatha yeh adhik matra me solid waste banate hai. Jisse yeh Residual substances ko pachan tantra se nikala ja sake .
• Din me ek baar aalu bukhare se khaye tatha yadi isse koi fark na pade to iski matra badaye.
Hichkiyo ke Liye Sugar
• Jab aapko hichikiya aati hai tab aapke diaphragm me cramps badh jate hai. Lekin aap apni jibh ke niche thodi se shakkar rakhkar ise rok sakte hai.
• Meeta swad bahut adhik tez hota hai jo Vegas nerve ko uttejit kar deta hai. Yeh aapke sharir ki sabse lambi Cranial nerve hai jo aapke brain stem se start hoti hai aur waha tak faili hoti hai jaha diaphragm pet par control karta hai.
• Jab tak hichkiya band na ho jaye tab tak shakkar ko apni jibh ke niche rakhe aur fir ise nigle jisse aapke gale ka pichla bhag bhar jayega .
Heartburn ke Liye Apple
• Reactive substances jisse soda, ucch high fat meat aur tale hue padarth jinse acidity ho, na khaye.
• Aisa khadya padarth apne aahar me shamil kare jese apple kyoki isme me pectin namak Soluble fiber hota hai jo pet me banane wale acid ko hatata hai.
Sankraman ke Liye Haldi
• Haldi ko bharat me paravitra powder mana jata hai jiska upyog sankarman rokne aur ghawo ko theek karne ke liya kiya jata hai.
• Isme curcumin namak compound paya jata hai,aise khadya padarth jinme curcumin paya jata hai unme jalanrodhi aur antioxidant gun hote hai
• Jo cleansing aur healing me shayak hote hai.Yadi aapki medicines ki almari me antibiotics ointment nahi hai to apni kharoch ya ghaw par thodi si haldi lagaye. Lekin yeh keval chhote mote ghawo ke liye hi thik hai.
Upar aapne Natural Pain Killers ke bare me jankari hasil ki. To bas aaj se chhote mote ghav hone par ya koi mamuli sa dard hone par in upay ko apna kar aap aaram pa sakte aur swasth rah sakte hai.
See more details of Pain Killers from Diet and Fitness.