Natural Ways to Improve Memory: Smrti Badhane Ke Liye

Aapne dekha hoga ki aapke aaspas ke kuch log bahut hi aasani se chize yad rakh lete hai. Aapki batai hui baat bhi wo saalo tak nahi bhulte.

Wahi aapke sath sidhe iska ulta ho jata hai jaise aap kisi ka naam nahi yad rakh pate, apna phone kahi bhi bhul jate hai, aapne 2 din pehle kya khaya tha, aapko kuch bhi yad nahi rehta hai.

Yadi aap bahut jyada budhe ho chuke hai to iss baat ko samjha ja sakta hai, lekin yadi aesa nahi hai aur aapki umra itni jyada nahi hai to aapko sochne ki jarurat hai.

Ab apne dimag par jyada jor mat daliye, kyoki aap akele nahi hai. Yeh samasya kai logo ke sath hai. Aaj ke lekh mai ham aapko iske liye Natural Ways to Improve Memory bata rahe hai taki aap bhi har baat ko bhulne ki jagah yad rakhna sikh jaye.
 

Natural Ways to Improve Memory in Hindi: Yaaddasht Badhaye

 

 
Ham aapko batana chahte hai ki aapki memory kam hone ka sabse mukhya karan modern lifestyle hai. Poor diet, nind ki kami, tanav, toxins aur bahut kuch chize aapke dimag ke karya ko prabhavit karti hai. Iske alawa aap technology par bhi itne depend ho chuke hai, ki aapne apne dimag se karya lena to chhod hi diya hai.

Khas baat to yeh hai ki smrti shakti badhane ke liye aapko mehngi dawai ka upchar karne ki jarurat nahi hai, aapko bus yeh simple si tricks ko follow karna hai.
 

Acchi Nind Le

Harvard dwara kiye gay eek shodh ke anusar, acchi nind lene se bhi yad rakhne ki shakti badhti hai. Iska matlab yeh nahi hai ki aapko din raat sote rehna hai, raat ke samay 6 ghante li gayi acchi nind bhi kaafi hai. Isse aapke dimag ko dusre din karya karne ke liye acchi shakti milti hai.

Yahi baat baccho par bhi lagu hoti hai. Sodh ke anusar bacche jo nind ki choti choti jhapkiya lete hai usse unke dimag ko energy milti hai. Jo bacche acchi nind lete hai wo nayi jankari ko acche se samajh pate hai.
 

Vyayam Kare

Agar aap sochte hai ki vyayam keval sharir ko fit rakhne ke liye kiya jata hai to aesa nahi hai. Isse aapki body to fit rehti hi hai sath hi sath aapke dimag ka bhi accha vyayam ho jata hai.

Jab aap vyayam nahi karte hai to aapke mastishk mai oxygen supply karne wali dhamniya kamjor ho jati hai. Darahsal inn dhamniyo mai plaque jama ho jata hai jo oxygen ko thik se supply nahi hone deta hai. Isliye aapko rojana vyayam karna chahiye. Aap chahe to simple si walk bhi kar sakte hai.
 

Accha Aahar

Aap kya khate hai, kya nahi khate hai iss chiz ka aapki yaddast par bhi bahut asar padhta hai. Taji sabjiyo ka sevan bahut jaruri hai kyoki isse aapko healthy fat milta hai wahi sugar aur grain carbohydrate ko jitna ho sake avoid karna chahiye. Jo chaliye jante hai Memory Power badhane ke liye kya khana chahiye:-

  • Antioxidant – Ajwain, Phul-gobhi, Akhroth, Kadhipatta
  • Omega 3/Omega 6 – Machali ka tel
  • Healthy Fat – Nariyal ka tel

Yeh sabhi mastishk mai naye cells ka nirman karte hai, mastishk ke karya mai madad karte hai aur oxidation ki kriya ko sudharte hai.
 

Dark Chocolate

Dark chocolate mai flavonols hota hai jo rakt ki dhamniyo ka karya sudharte hai. Jiske chalte smarati badhti hai. Chocolate se aapka mood bhi sudharta hai. Yeh antioxidant se bharpur hoti  hai isliye isse sar dard jaisi samasyae bhi dur hoti hai.
 

Brain Games Khele

Yadi aap apne mastishk ko nayi jankari se avgat nahi karate, uss par bilkul bhi load nahi dalte to wo dhire dhire thupp hone lagta hai. Yadi aap nahi chahte hai ki aap bilkul hi buddhu ban ke reh jaye to brain games khelna shuru kar de.

Memory Enhancement ke liye aapko din mai iske liye 20 minute tak ka samay hi dena hota hai. Iske liye puzzles solve kare, kuch mobile number yad kare aur dekhe ki 2-3 bad aapko wo yad rehte hai ya nahi. Aur yadi wo yad rehte hai to unhe aur bhi jyada der yad rakhne ki koshish kare.
 

Tanav Se Dur Rehne Ki Koshish Kare

Jin bhi chizo se aapka tanav hota hai unse dur rehne ki koshish kare. Kyoki tanav se avasad ki stithi paida hoti hai aur avsad se aapki yad rakhne ki kshamta dhire dhire kam hone lagti hai. Isse aap kisi bhi chiz mai concentrate nahi kar pate hai. Tanav ko dur rakhne ke liye aap meditation ka sahara bhi le sakte hai.
 
Upar aapne jana Natural Ways to Improve Memory in Hindi. Yadi aap bhi apni smrti shakti ko badhana chahte hai to upar bataye gaye binduo par gaur kare.
 

जानिए मेमोरी पावर बढ़ाने के प्राकृतिक तरीके:- https://goo.gl/K3UhKN
#ImproveMemory #MemoryBooster

Posted by Hrelate on Saturday, 4 February 2017

Loading...

This website uses cookies.