Aajkal ki badalti jivanshely aur galat khanpan ke chlate logo mai tond ka badhna, motapa, aadi samasya dekhne ko mil rahi hai. Darahsal vyastata ke chalte log sharir ko swasth aur fit rakhne ke liye samay nahi de pate hai. Jiske chalte pachan tantra sahi tarah se kam nahi karta hai aur sharir ko kai prakar ki bimariya bhi jakad leti hai.
Busy life ke chalte logo ke pas bhale hi yoga ke liye samay nahi hai lekin ham aapko bta de ki yadi aap sharir ko swasth rakhna chahte hai to rojana yogabhyas jarur kare. Pet ki bimariyo ko dur rakhne, pachan tatra ko sahi rakhne aur tond yani pet ki badhi hui charbi ko kam karne ke liye yogasano mai naukasana bahut hi faydemand hota hai.
Iss aasan ko karte samay sharir ki sthiti naav ke saman dikhai deti hai isliye ise Naukasana kaha jata hai. Yeh aasan hamari peeth aur merudand ko lachila aur majbut banaye rakhne mai madad karta hai.
Iske alava ise karne se hamare haath ki ungaliyo se lekar pair ke anguthe tak khichav hota hai jisse rakt ka pravah pure sharrir mai teevra gati se hone lagta hai. Jisse hamara sharir kai prakar ki bimariyo se dur rehta hai. Isko karne ki vidhi aur iske aur bhi fayde ke bare mai janne ke liye padhe Naukasana Benefits in Hindi.
Naukasana Benefits in Hindi: Iss Yog Ko Karne Ki Vidhi aur Iske Fayde
Naukasana Karne Se Milne Wale Labh
Shayad aap jante honge ki naukasana ko kam umra se karne se log apne kad ko bhi badha sakte hai. Kuch logo ka manna hai ki lambai ka badhna genetics par nirbhar karta hai. Lekin aesa nahi, jo vyakti apni kam lambai se pareshan rehte hai unke liye naukasana bahut hi accha hota hai. To aaiye padhe Naukasana Yoga Benefits in Hindi.
- Iss aasan ko karne se hamara sharir lachila hota hai aur pachan tantra bhi sahi tarah se kam karna shuru kar deta hai.
- Naukasana ka rojana abhyas karne se hamari reedh ki haddiya majbut aur seedhi hoti hai.
- Yeh aasan sharir ke sabhi ango ka santulan banaye rakhta hai.
- Hernia rog ko dur karne mai yeh aasan bahut hi asardayi hota hai.
- Yeh aasan pachan sambandhi sabhi samasyaye dur karne mai madad karta hai.
- Naukasana ka niymit abhyas karne se bar-bar nind aane ki samasya par niyantran rakha ja sakta hai.
- Jin logo ke pet ki charbi bahut adhik nikli hui hoti hai unko yeh aasan karna chahiye isse pet ki charbi kam karne mai madad milti hai.
- Naukasana karne se upper aur lower abs ki maspeshiya tight hoti hai aur sharir ka fat kam ho jata hai.
- Ise karne se rakt ka strav pure sharir par hone lagta hai jisse sharir nirogi banta hai.
- Naukasana karne se pet ki maspeshiya santulit rehti hai aur kamar aur hipps par bhi fat nahi jama hota hai.
You may also like:- Shirshasana Benefits in Hindi: Sehat aur Sondary ke Liye Yog
Naukasana Karne Ki Vidhi
Iss aasan ko nimn prakar se kiya jata hai.
- Iss aasan ko karne se pehle samtal jagah par chatai bichha le.
- Ab chatai par peeth ke bal seedha let jaye.
- Iske pashchat sar ko pairo ko upar ki or uthane ka prayas kare.
- Pairo ko upar ki aur itna uthaye ki aapke pair 30 degree ka kon banaye.
- Ab apne haatho se apne pairo ko chune ki koshis kare.
- Iss avastha mai apne sharir ko kam se kam 20 se 30 second tak rakhe.
- Sharir ki yeh sthiti naav ke saman dikhayi deti hai ise hi naukasana kaha jata hai.
- Kuchh der iss avastha mai rehne ke pashchat apne haatho aur pairo ko pehle ki sthiti mai wapis le aaye.
- Iss aasan ko kam se kam 30 bar jarur kare.
Inn Savdhaniyo Ka Rakhe Khyal
Yoga swasth ke liye labhdayak hote hai lekin inhe karte samay hame kai prakar ki savdhaniyo ki avashyakta ki jarurat hoti hai. Isi tarah Naukasana karte samay hame nimn bato ka dhyan rakhna chahiye. Yadi aapke sharir ke pichle bhag ya fir pet mai kisi tarah ki pareshani hai to aapko yeh aasan nahi karna chahiye. Iske alava yadi aap hriday ya fir dil se jude kisi bhi prakar ke rog se pidit hai tab bhi aapko yeh abhyas nahi karna chahiye.
- Naukasana ko karte samay apne dono pairo ko ek saman sthiti mai rakhna chahiye.
- Sharir ke pichle hisse aur merudand ko bhi bilkul seedha rakhna chahiye.
- Iss aasan ko karte samay yadi aapki sthiti English ke akshar “V” ke saman dikhayi dene lage to samjho aap sahi sthiti mai aa gaye hai.
Upar aapne jana Naukasana Benefits in Hindi. Yadi aap bhi apne pet ki badhi hui charbi ya fir pet se sambandhit kisi bhi prakar ki bimari se pareshan hai to yog guru ya fir chikitsak se paramarsh lene ke bad iss abhyas ko karna prarambh kare aur rahe fit.