Acchi Sehat Chahiye to Roj Le Poshtik Aahar (Nutritious Food)

Aajkal ki bhagdod bhari life mai naa hi kisi ke paas thik tarike se khane ka samay hai aur naa hi sone ka. Aur iss tarah ki jivan sheli se sharir par to asar padega hi. Isliye adhiktar log apni bimari ka illaj karwane ke liye roj doctaro ke clinic ke chakkar katate najar aate rehte hai.

Bimari aur sehat dono ka rasta hamare khanpan se hokar gujarta hai. Agar aap yeh bhi jaan le ki kon se aese aahar hai jinhe khakar ham bimariyo se bach sakte hai to fir aapko pareshan hone ki jarurat hi nahi padegi. Saahi aahar aur poshan sharir ke liye bahut jaruri hota hai. Yaha tak ki doctor bhi kehte hai yadi aap apna aahar sahi kar le to aap dawao par kam kharch kar sakte hai.

Isliye santulit aahar ko apni rojmara jindagi mai shamil kare aur sehatmand rahe. To aaiye jante hai kuch Nutritious Food ke bare mai, jinka sevan karke aap swasth jivan ji sakte hai.

Poshtik Aahar (Nutritious Food) Ke Sevan se Rahiye Swasth



Jis aahar mai sabhi tarah ke poshak tatva jaise carbohydrate, protein, vasa, vitamins, minerals aur fiber samuchit anupat mai ho, use santulit poshtik aahar kaha jata hai. Yeh baat to spast hai ki ye poshak tatva kisi ek ya do khadya padharto mai nahi balki, vibhinna khadya padharto mai paye jate hai. Poshak tatvo ki ye matra pratyek vyakti ki umra, sharirik sarachna aur shararik-mansik sakriyata par nirbhar karti hai.

Palak (Spinach)

Palak aur hari pattedar sabjiyo mai Vitamin aur protein paryapt matra mai paya jata hai. Hari pattedar sabjiyo mai mojud poshak tatva aapko sehatmand banaye rakhte hai. Inme Iron, Calcium, Vitamin K, vitamin A aur Selenium jaise jaruri poshak tatva paye jate hai. Palak ko mashpesiyo ke nirman ke liye behad upyogi mana jata hai. Palak Alzheimer se bhi dur karne mai madad karta hai. Palak ko sabji, salad, aamlet aur yaha tak ki pizza mai bhi shamil kiya ja sakta hai.

Nuts

Roj ek mutthi bhar nuts khane se aap din bhar tarotaza aur active mehsus karenge. Nuts mai baadam(Almond) aur akhroth jyada mahtva rakhte hai. Baadam khane se dimaag tej hota hai aur khoon badta hai. Baadam ke andar accha cholesterol aur accha vasa paya jata hai. Jo sharir ke liye bilkul bhi kharab nahi hota hai. Isme resa hota hai. Jo sharir se vasa ko jala kar use swasth aur active banata hai. Agar aap rojana badam khate hai to aapki tond nahi niklegi.

Ankurit Anaj (Sprouts)

Ankurit anaj sehat ke liye behad upyukt mana jata hai. Yeh poshak aur jivant aahar mana jata hai. Yeh turant sharir ko takat aur urja deta hai. Ankurit karne se anajo ki poshtikta badh jati hai. Masalan sukhe bijo mai vitamin C ki matra lagbhag 10 guna hoti hai. Fiber se bharpur ankurit anaj ko aasani se pachaya ja sakta hai. Ise khane se pet sambhabdi samsya bhi dur hoti hai aur pachan tantra majbut banta hai. Aur sabse majedar baat to yeh hai ki ise kisi bhi mousam mai khaya jaa sakta hai.

Dahi (Curd)

Dahi aasani se pach jati hai. Aur yeh pet ko Probiotic pradan karti hai. Yeh ek accha bacteria hota hai. Jo jaundice se ladne mai sahayak hota hai. Roj khane ke sath thodi dahi le. Isse aapka pet bhi thik rehta hai.

Aavla (Amla)

Aavala mai bahut sara vitamin C paya jata hai. Aap aamle ko kaccha ya fir sujha kar kha sakte hai. Iske alawa ise livar ko saaf karne ke liye juice mai bhi prayog kar sakte hai.

Shahad (Honey)

Agar vajan jald gayab karna hai. To garm pani mai shahad milakar roj subah khali pet piye. Isme carbohydrate hota hai. Jo khane ko aasani se hajam karta hai aur sugar level ko bhi balance karta hai. Kosis kare ki chini ki jagah iska prayog kare. Aap shahad ko nimbu pani ke sath bhi pee sakte hai.

You may also like:- Foods with Medicinal Properties Se Rakhe Sehat Ka Khayal

Brokali

Ek cup brokali mai ek santre ke barbar Vitamin C hota hai. Iske saath hi usme protein bhi hota hai. Yeh ek urja ka strot ka ek bada strot hai. Gobhi jaise dikhne wali yeh sabji behad poshtik aur gunkari hoti hai.

Dudh(Milk)

Dudh ek sampurn aahar hai jisme mineral, protein, vasa, carbohydrate, aur vitamin uccha matra mai paya jata hai. Ise ya to dahi ya panir ke rup mai khaya ja sakta hai. Ya fir keval dudh hi piya ja sakta hai.Yeh aapko dono hi prakar se labh pahuchayega.

Loading...

This website uses cookies.