Oats ya jayi aasani se pach jane wale fiber ka jabardust source hai. Saath hi yeh complex carbohydrate ka bhi accha source hai. Oats dil sambandhi bimariyo ke khatre ko kam karta hai. Ye LDL ki clearance ko badata hai. Isme folic acid paya jata hai jo ki badti age wale baccho ke liye bahut upyogi hota hai, yeh anti-cancer bhi hota hai.
Oat me calcium, zinc, magnesium, iron, Vitamin B aur E bharpur matra me hote hai. Jo log Dyslipidemia aur Diabetes se pidit hai unhe oats faydemand hota hai. Garbhvati mahilao aur badte baccho ko bhi oats khana chaiye. Aaiye jane kuch Oatmeal Health Benefits, jisko khane ke baad aap rahe swasth.
Oatmeal Health Benefits: Janiye Isko Khane se Fayde
1) Cholestrol
Oat me mojud beta glucone namak ghada chipchipa tatva humari intestine ki safai karte hue kabj ki samasya dur karta hai. Iski vajah se sharir me bure cholesterol jama nahi ho pate hai. Agar 3 months tak niyamit oats ka sevan kiya jaye to isse cholesterol ke level me 5% tak kami layi ja sakti hai.
You may also like: Motapa Kam Karne Ke Liye Nashte Me Khaye Daliya
2) Heart
Oats ka sevan dil ke liye kafi faydemand hota hai. Oats me khoob fiber mojud hota hai isliye ye dil ke liye bahut accha hota hai. Isse sugar level kam rehta hai.
3) Vajan Ghataye
Isme Insoluble aur soluble fiber hota hai, jo fat burning ke liye kafi accha hai, saath hi protein bhi hone se pet bhar jata hai. Jo log gym jane ka ya vyayam karne ka samay nahi nikal pate hai, vo oats kha ke apna vajan jaldi aur aasan tarike se kam kar sakte hai.
4) Blood Sugar Level
Oats me carbohydrate kafi acchi matra me paya jata hai, jo aapko urja deti hai. Fiber ki matra jyada hone ki vajah se yeh dhire dhire pachta hai, jiski vajah se rakt me mojud glucose ka level badta nahi hai.
5) High BP Kam Kare
Aaiye jane Oatmeal Health Benefits jo ki aapke high BP me control laata hai. High BP humare heart ke liye bahut jyada khatarnak hai, ise samay rehte agar roka na gaya to yeh insaan ki jaan bhi le sakta hai. Isse bachne ka sabse accha upay hai oats. Oats khane se High BP ki pareshani kam hoti hai kyuki isme fiber hota hai jo cholesterol ko niyantrit rakhta hai.
6) Breast Cancer se Bachata Hai
Oats me Lignans aur Enterolactone jese Phytochemical paye jate hai jo ki cancer se ladne me sahayak hai. Enterolactone vishesh roop se, breast aur anya hormone se sambandhit cancer ki roktham me sahayak hai.
7) Intsetine ko Swasth Rakhe
Oats me fiber hone ki vajah se yeh intestine aur malashay ke liye kafi faydemand hota hai. Oats unke liye bahut laabhdayak hota hai jo log ulcerative colitis se pidit hai. Roz Oats khane se kabj jesi pareshaniyo se nijaat mil jata hai.
8) Tanav se Bachata Hai
Oats me fiber aur magnesium paya jata hau jo ki dimaag me serotonin ki matra badata hai, jisse mastishk shant rehta hai. Jiski vajah se aapka mood accha rehta hai aur neend bhi acchi aati hai. Aap chahe to isme blue berry bhi daal ke kha sakte hai, jisme anti-oxidants aur Vitamin C paya jata hai aur tanav se ladne me madad milti hai.
9) Boosts Immunity
Sabut anaaj me oats khane se rog pratirodhak kshamta badti hai. Oats me mojud fiber aapke pachan tantra ko majboot karta hai.
10) Twacha ko Chamakdaar Banaye
Oats na sirf humare sharir ko swasth rakhta hai balki yeh humari twacha ke liye bhi bahut laabhdayak hai. Yeh twcah ko name deta hai saath hi jinki twacha bahut jyada rookhi ya usme bahut khujli aur jalan hoti hai to oats bahut upyogi hai.
Upar aapne jane Oatmeal Health Benefits, jo ki aapke swasth ke liye bahut hi laabhkaari hote hai. To aaj se hi Oats ka niyamit roop se sevan kare aur swasth rahe.
Get more update about Oatmeal Benefits from Food.