Olive Oil for Skin: Banaye Aapki Twacha Ko Aur Shiny

About 5000 years pehle olive oil ki discovery hui thi, tabhi se iske benefits ko jante hue iska use kai tarah se twacha ki care ke liye karte aa rahe hai.

Olive oil ka chemical structure skin ke natural oil ke lagbhag saman hi hota hai, isiliye ye perfect moisturizer hai especially for dry skin. Kyuki dry skin walo me natural oils ki kami hoti hai, jise olive oil ek dam naturally fulfill kar deta hai.
 
You may also like: Apanaye Kuch Natural Tips for Upper Lip Hair Removal
 
Aaiye aaj hum jante hai kuch Olive Oil for Skin benefits, jo aapki twacha se judi kai samsyao ka samadhan bhi karta hai.
 

Ye Hai Kuch Important Olive Oil in Hindi Benefits

Olive Oil kai countries me beauty enhancement me use hota aa raha hai. Kai tarah ke beauty products me ye main ingredient ki tarah kam karta hai. Skin aur Baalo ke liye iske fayde behad anmol hai. Is tel me kuch aise Vitamins, Minerals aur fatty acids hote hai jo skin care ke liye sabse best banate hai.

Apanaiye ye homemade olive oil packs jo aapki twacha ki rangat aur bhi badhaye:
 

For Dry Skin
  • Ande ka pila bhag shahad me mix kare, ab isme olive oil ki kuch drops milaye. Is paste ko acchi tarah se mix kar le aur apani dry skin par lagaye. Ise 15 se 20 minutes tak sukhne ke liye chod de. Fir kunkune pani se acchi tarah skin ko dho le. Ye pack aapki skin ko hydrated aur smooth rakhega.
  • Olive Oil me sada namak milaye aur isse apani rukhi twacha pe halke hatho se massage kare. Ye aapki dead skin ko remove karane me help karega aur healthy skin layer ko upar lekar aayega. Jisse aapki skin shiny nazar aayegi.
  • Agar aapki skin extreme dry hai to aap apane nahane ke pani me kuch bunde olive oil ki milani start kar dijiye. Isse aapki skin nahane ke bad dry hone se bachegi.

 

For Anti Aging

Anti oxidants aur Vitamin E skin ki aging ko rekane ke liye bahut important hai, jo olive oil se milte hai. Agar aap din me ek bar (sham ya subah) is tel se apane face ki maalish karengi to ye aapki skin ko wrinkles se mukt rakhega aur twacha ko glowing banaye rakhega.
 
Olive Oil for Skin
 

Nutrients Quantity
Saturated fat 13.8 %
Monounsaturated fat 73 %
Calorie 884
Faty acid 0.5 %
Virgins oil 0.8 %

 

For Tanned Skin

Sun Burn ho jane se twacha bejaan ho jati hai, jiske karan kale dhabbe pad jate hai, olive oil ka istemal aapki twacha ko tanned hone se bachata hai. Jab bhi dhup me nikalne thoda olive oil laga le.

Agar twacha pahale se tanned hai, to aap olive oil me kuch tamatar k eras ki bunde milaye aur ise tanned skin par male. Ye aapki twacha ko wapas pahale jesi bana dega.
 

For Scaled Skin

Kai bar sharir ke kai hisso me stretch marks ho jate hai, jo uski sundarta ko kum karte hai. Agar aap apani affected skin par olive oil se massage karenge to dhire-dhire ye aapke nishan ko kam karega aur aapki twacha ko glowing banakar naye marks aane se rokega.
 

Mrit Twacha Ke Liye

Nahane ke bad rojana 20 minute tak olive oil se malish karne se mrit koshikaye nikal jati hai. Iske alawa olive oil sharir ko healthy banane aur bimariyo ko dur karne ke sath glowing twacha bhi pradan karte hai. Olive oil ek natural moisturizer ki tarah kaam karta hai  jise twacha par lagane se twacha mulayam banti hai.
 

Twacha Ke Strech Marks Ko Dur Kare

Jaitun ka tel twacha par aaye stretch marks ko hatane mai bhi madad karta hai. Jab stretch marks ke karan twacha dhili aur bekar dikhne lagti hai. Jab aap olive oil se malish karte hai to twacha mai kasavat aane ke sath twacha ki rangat bhi nikhar aati hai.
 

Rangat Nikharne Ke Liye

Twacha ko nikharne ke liye chehre mai rakt sanchar ka hona bahut jaruri hai. Iske liye log facial aur massage karwate hai. Lekin yadi aap aapki twacha ki rangat nikharna chahte hai to hafte mai ek bar olive oil ke tel se malish kare kuch hi dino mai aapki twacha ki rangat nikhar jayegi.

Ye to the kewal Olive Oil for Skin care benefits, inke sath hi ye tel health se judi kai samsyao ko bhi solve karta hai. To ab se olive oil ko apane daily routine ka hissa banaye aur glowing rahe.

Agar is tel ke istemal se aapki twacha me koi irritation ho ya rash ho jaye, to iska istemal na kare aur kisi skin specialist se consult kare.

Get more details about Olive Oil for Skin from Beauty.

Loading...

You may also like...