Ombre Hair Colour in Hindi – Apne Baalo Ko Banaye Aakarshak

Baal har ladki ki khubsurati ko bada dete hai, aur aap jab baalo ko alag alag look dete hai to aapki khubsurati kaafi bad jati hai. Yadi aap aapke look ko badalna chahti hai lekin kisi tarah ka koi hair cut ya baalo mai style nahi banana chahti hai to aap baalo ko colour kar sakti hai.

Aajkal ke yuvao mai baalo ko colour karne ka trend kaafi bana hua hai. Kyonki wah natural look ke sath glamorous look mai bhi dikhna chahte hai. Baalo ko colour karke unka look kaafi badla hua lagta hai tatha ise aasani se carry bhi kiya ja sakta hai. Colour na sirf college jane wale yuva balki office mai kaam karne wale yuva bhi kaafi pasand kar rahe hai.

Ombre hai colour mai baalo ko puri tarah naa rangate huye kuch baalo ko highlight kiya jata hai, jisse baal do rang mai dikhai dete hai. Baalo ko rangane ka yeh tarika aapko bahut aakarshit dikhata hai. Yadi aap bhi apne baalo ko khubsurat dikhana chahti hai to yaha janiye Ombre Hair Colour in Hindi.
 

Ombre Hair Colour in Hindi: Jane Ise Karne Ka Tarika

 

 
Yadi aap parlor mai jakar apne baalo ko nahi rangana chahti hai, to ise ghar par rangne ke liye dekhiye Ombre Hair at Home ke tarike:-
 

Step1: Sahi Colour Ka Chunav Kare

Jab bhi aap ombre colour karne ka soche, hamesha natural colour ka chunav kare, kyonki baalo mai prakratik rang jyada khubsurat lagte hai. Prakratik rang jaise halke bhure, sunhara rang logo ko jyada aakarshit karta hai.

  • Aapke baalo ke rang se milta julta colour lagayenge to baal kaafi natural lagenge.
  • Aese rang ka chunav kare jo aapke baalo ke rang se jyada halka na ho warna baalo ka naya rang acche se dikhai nahi dega.

 

Step2: Baalo Ko Sire Se Range

Baalo ko jab bhi rang lagate hai jado se shuruwaat karte hai parantu aap ombre colour ko baalo mai ranagne ke liye niche ke sire se aadhe baal tak gehra rang kare aur aadhe se jad tak ke baal halke rang ke karenge to aapke baal shade mai dikhai denge.

  • Halka aur ghehra dono rang gardan ke yaha milna chahiye.
  • Baalo ko colour karte samay dhyan de baalo ka colour ek line mai lage, aage piche na ho warna wo gande dikhne lagte hai.

 

Step3: Baalo mai Rang Lagane Ke Pehle Ki Taiyari

Baalo mai acche se kanghi kare taaki baalo mai koi uljhan na ho, kyonki suljhe huye baalo mai bleach aasani se ho jata hai. Isi ke sath aapke baal mai rang bahi sahi tarike se lagega. Iski ke sath koi purana t-shirt ya kurta pehnne le taaki bleach aapke naye kapdo ko ganda na kare.

  • Rang karte samay kisi purane kapde ko pehan le.
  • Hatho mai gloves pehne taaki aapke hath kharab na ho.
  • Baalo mai colour karne ke liye brush ki sahyata se colour ko ghol le.

 

Step4: Baalo mai Bleach Lagaye

Jab bhi aap baalo mai bleach karne wale ho baalo ko char hisse mai alag alag kar ke baante. Ab jaha se aapko ombre colour ko lagana hai to iske liye jaha aapko bleach karna hai waha baalo ko acche se suljha le.

  • Yadi aapke baal ghane ya lambe hai to jyada bhag mai baant le.
  • Jaha se bhi aapko colour lagana hai waha baalo mai pin ya rubber laga le.
  • Ab baalo mai brush ki sahyata se bleach lagaye.
  • jaha bhi bleach laga rahe ho waha acche se bleach lagaye taaki koi baal chute na.

 

Step5: Bleach Kiye Baalo Ko Dhoye

Bleach lagane ke bad ise karib 45 minute tak baalo mai laga rehne de, taaki bleach sukh jaye aur baalo mai acche se rang chad jaye. Ab dastane pehan kar baalo ko pani se dho le aur baalo se bleach ko puri tarah nikal le.

  • Baalo se bleach nikalne ke liye mild shampoo ka istemal kare.
  • Baalo se bleach ko puri tarah nikal de nahi to aapke baalo par rang nahi chad payega.
  • Shampoo karne ke bad conditioner ka istemal baalo mai na kare, ek din bad mai iska istemal kar sakte hai.

 

Step6: Baalo mai Colour Kare

Bleach kiye huye baal acche se sukh jane ke bad mai jitney bhi hisse mai aapne bleach kiya hai waha rang lagane ke liye baalo ke fir se unn par rabad laga le.

  • Jaha jaha bhi aapne bleach kiya hai waha par colour lagaye.
  • Bleach kiye huye ek ek baal ko acche se rangana chahiye.
  • Colour kiye huye baalo ko 10 se 15 minute tak sukhne de.
  • Ab mild shampoo ki sahayata se baalo ko acche se wash kar le.

 
Upar apne jana Ombre Hair Colour in Hindi. Uprokat di hui jankari mai bataya gaya hai ki aap ko kis tarah ka colour lagana chahiye aur unhe lagane ka sahi tarika kya hai, taaki aapke baalo mai colour khubsurat aur aakarshak lage.
 

Loading...

This website uses cookies.