Pacemaker Se Judi Khas Baato ki Jankariya

Pacemaker 25 se 23 gram ka chota sa upkaran hota hai. Jo ki heart ki mashpeshiyo ko sanket bhejane ke kaam aata hai. Jisse unnatural dharkano ka nirmand hota hai.Yeh un logo ke liye faydemand hota hai, jinke heart ki gati bahut dheemi ho jati hai. Aamtor par insaan ke heart ki gati 60 se 100 times per minute ke beech hoti hoti hai.

Yadi vyakti ki heart ki gati kam ho matlab khaskar tab jab 40 prati minutes se bhi kam ho, to vyakti ko chakkar aa sakte hai. Uski aankho ke samne andhera chha sakta hai. Saath hi yeh bhi ho sakta hai ki vo kuch der ke liye behosh bhi ho jaye.

“Asian Heart Institute” ke bade cardiologist Doctor Santosh Kumar kahte hai ki, agar aise lakshan jyada ho jaye, to Pacemakers ka use karna chahiye.

Pacemaker Upkaran Jo Dil ke Marij ki Dawa Hai

Agar pacemaker ko yeh ahsaas ho ki aapke dil ki dharkan samaye hai, tab ye dil par bevajah jor nahi dalata hai. Yeh battery bachata hai. Matlab hum bol sakte hai ki, yeh aapke dil ki dharkano ke hisav se adjust ho jata hai.

Pacemaker right and left collor bone ke niche aur fate tissue ke beech me laya jata hai. Iske sanket naso ke jariye heart ki mashpeshiyo tak pahuch jate hai. Vahi iska dusra sira Pacemaker se juda rahata hai.

Aamtor par Pacemaker 10 se 12 saal tak kaam karta hai. Asian Heart Institute ke doctor ka kehana hai ki, is ke kaam ka samay us par padne wale dawab par nibhar karata hai.

You may also like:- Pneumonia Symptoms: Nimoniya ke Lakshan aur Upay

Pacemaker ka use karne vale vyakti samanya roop se jee sakte hai. Usko rojmarha ki life me iska koi asar nahi padta hai. Bas is upkaran ka use karne vale insaan ko kuch khaas baato ka dhyan rakhna hota hai. To chaliye hum aapko batate hai Pacemaker Surgery hone ke baad kya-kya savdhaniya baratni chahiye.

Pacemaker Insertion: Is Upkaran ke Use ke Liye Savdhani

Cell Phone Dusri Tarf se Use Kare

Yadi aapko daye collar bone me pacemaker laga hai to, phone apne baye kan par laga kar baat karna chahiye. Vahi agar aapko baye collar bone par yeh upkaran laga hai to daye kan par phone rakh kar baat karna chahiye.

Higher Tension Electric Wire se Dur Rahe

Agar aap is pacemaker ka use kar rahe hai to, higher tension electric wire se hamesha dur rahe. Is upkaran ka use karne vale marij ghar me use hone vale samanya electric device ka use kar sakte hai. Bas bijli ki badi-badi taro se dur rahna hai.

MRI Na Karvaye

Pacemaker Insertion ka yeh sabse bada part hai ki, iska use karne vale marij aasani se ultrasound, X-ray, CT-Scan aadi karva sakte hai. Iske liye unhe ghabrane ki jarurat nahi hai. Ha lekin is upakarn ka use karne vale marijo ko MRI nahi karvna chahiye.

Radiation Therapy

Kuch cancer marijo ko radiation therapy se gujrna padata hai. Lekin agar Pacemaker radiation ke dayre me aati hai to, isse vah kharab ho jata hai, isliye is upkaran ko sidhe radiation ke sampark me nahi aana chahiye.

Pacemaker Insertion ka matlab se khushi aur samanye dincharye ka aant nahi hota hai. Is upkaran ka use karne ka lakshay bas marijo ko swasth aur sukhi rakhna hai.

Loading...

This website uses cookies.