Pain Relief in Labour, Prsav mai Dard se Rahat Pane ke Upay

Maa banana har aurat ka sapna hota hai. Lekin iss sapne ko pura karne ke liye ek mahila ko bahut si kathinai ka samna karna padta hai. Jisme se bacche ke janm ke samay pida ka sabse badha ahsaas hota hai.

Lekin kuch asaan tarike ke dwara aap iss prsav pida se bach sakte hai. To aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Pain Relief in Labour.

Kuch aasan se upay ke dwara prsav pida aur bacche ke janam ki prakriya ko kaam pida dayak banaya ja sakta hai. Saath hi dhyan rakhane vali baat yeh hai ki iss prakiya ko kam dard vali banane ke liye, jo log aap ki dekhbhal kar rahe hai unko iss bare mai sahi jankari hona chahiye. Aapko sabse pahle janana hoga ki dard se kis praakar paya ja skat hai.

Pain Relief in Labour, Prsav Pida mai Dard ka Anubhav

Sabse pahle aapko janana hoga ki iss samay dard ka anubhav kesa hota hai. Kyoki bahut si baar mahilaye simple se dard ko prsav ka dard man leti hai. Kyoki vo iss samay bahut ghabra jati hai.

Iss samay aapko dard ke karan grabhshaye mai sikukand ka anubhav hota hai. Isse Braxton Hicks sikudan kahte hai. Jab aapki prsav prakriya shuru hoti hai, to yeh dard bahut adhik badh jata hai. Kabhi bhi iss sikudan ke karan hone vala dard mahavari jesa lag sakta hai.

Jese jese aap delivery prakiya mai aage badhte hai. Vese vese aapko yeh dard aur bdhta jata hai. Par aap chahe to prsav ke dard ki raftar ko badhane ke liye kisi dawa ka use kar sakte hai.

You may also like:- Janiye Normal Delivery Ke Liye Kuch Raaz

Har mahila ko labour ke dard ka ahsaas aur prakaar alag-alag hota hai. Iska anuhav sabka alag-alag hota hai. Isliye hum bol sakte hai ki, har mahilao Pain Relief in Labour ke liye tarah-tarah upay ko apnana padta hai.

Pain Relief in Labour, Iss Dard se Nipatne ki Taiyari

Kai mahilaye  iss prsav ki pida se itna dar jati hai ki vo log operation karvana jyada aacha samjhti hai. Prasav pida yani labour  pain kam karne ke kai tarike hote. Inme se kuch  iss dard ko iss had tak kam kar dete hai ki, aapko labour pain ka ahsaas hi nahi hota hai. Inn upay mai se kuch mai dawa ki jarurat hoti hai, to kuch mai nahi hoti hai.

Dard ke ahsaas aur dard ki prati kirya kafi had tak hamari mansik isthiti par nibhar karta hai. Inme se Lamaze aur Bradley taknik aati  hai. Yeh dono taknik labour ki smajh ko badati hai. Jisse bina dawao ke aapke mindset mai badlav aata hai aur drad sahne ki aapki kshamta ko badhta hai.To hum bol sakte hai ki, yeh ak accha Pain Relief in Labour ka tarika hai.

Yeh prakirya aapke prsav ke douran saans lene, relax hone aur support staff dwara massage karne aadi par nibhar karta hai. Yeh cheeze prsav pida se aapka dhyan dur karti hai. Baat jab dard sahne ki hoti hai to support staff aur parivaar ki bhumika kafi aham hoti hai. Bradley taknik mai aapka pati athva saathi prsav ke douran aapki kafi sahayta karte hai. Isse aap ko dard ka samane karane mai madad milti hai. Saath hi sari taklif sahne karne mai bhi madad milti hai.

Jo mahilaye niyamit tor par vyayam karti hai. Vah prsav pida ka samna un mahilao ki apeksha me adhik aasani se kar pati hai, jo vyayam nahi karti tal hai. Garbhavati mahilaye  antenatal class ja sakti hai, jisse unko prsav pida ko sahan karne mai bahut madad milti hai.

You may also like:- Ultrasounds during Pregnancy: Garbhavastha ki Jankari

Prsav ke douran, saanso ki gati par dhyan dekar aap iss pida ki anubhuti ko kam kar sakti hai. Saans lene ka koi nishchit tarika nahi hai. Par prsav ke douran, aap jiss bhi praakar saans lene mai sahaj ho, aap use le sakti hai. Isse bhi iss aapko delivery pain se rahat milti hai.

Posture aur position badlne, padal chalne se bhi mahilao kp prsav ke douran kafi aaram milta hai. Gurutvakarshan bhi iss prakriya ko aasan bana deta hai.Yadi fluids athva  dard ko mapne ke liye aapko cables  lagai jaye, to aapke chal-fir pana sambhav nahi hoga.

Pain Relief in Labour, Aasan Tarike  Dwara Paiye Prsav Pida se Aaram

Kuch mahilao ko prsav ke douran pani se kafi aaram milta hai. Iss samay  gram pani se shower lene ya gram pani ke tub mai nahane se pida ko kam karne mai kafi had tak madad milti hai.

Sammohan, yog, dhyan, sangeet sunna aadi kuch anye gair aushadhi tarike hai, jinse iss pida ko kam kiya ja sakta hai.

Yeh gair aushadhi tarike bhi aapko iss pida se ladne mai madad karte hai. Lekin dawao ke mukable yeh kam asardar hote hai. Ta aise mai mahilaye,  jinhe prsav pida ke naam se hi dar lagta hai, vah inn upay ke baare mai vichar kar sakti hai.

Entonox jo nitrous oxide aur oxygen ka mishran hai. Yek ek chanchi-parkhi dawa hai. Isse banane vali gas aapko dard se rahat dene ka kaam karti hai. Prsav ke douran jan bhi aapko utrain sikudan  hone lage aur aapko dard ka ahsaas shuru ho, to aap dawa ka sevan kar sakti hai. Yeh prsav ke douran ajmai jane vali samanye prakriya hai.

Epidural labour ananlgesia, jisse aamtor pat painless kaha jata hai, yeh bhi prsav pida se kafi had tak aaram dilate hai. Iss prakriya mai marshall ko aapki peeth par rakha jata hai. Aur fir iss marshall ke jariye puri prsav prakirya mai dard nivarak dawa ko mahilao ke sharir mai pahuchaya jata hai. Labour pain ko kam karne ka yeh sabse aach tarika hai, iss prakriya ko apnane vali lagbhag har mahilao ko aaram milta hai.

Lekin yeh ptaa lagana behad mushkil hai ki, kis mahilao ko kis upay se prsav pida mai rahat milengi. Iske saath ho dard ki trivta ka andaja bhi prsav se pahle nahi lagaya ja sakat hai. To jese hi aapko prsav pida shuru ho aap iska andaja lagana shuru kar de. Yadi aap ise sah sakti hai to usi method ke saath tiki rahe.

Kai mahilaye Pain Relief in Labour ke liye gair aushadhi tarike ko apnati hai, lekin dard  sahanshkati se bahar hone  par vah dusare tarike apnane se nahi jhijhkati hai. Apne doctor se prsav ke douran dard se rahat dilane vale vibhinn tarike ke baare mai baat kare.  Taki aap dard rahit aur ananddayak prsav ko paa sake.

Pain Relief Labour ke baare mai adhik jankari ke liye dekhe Diet and Fitness.

 

Loading...

This website uses cookies.