Panic Attack Symptoms in Hindi: Mansik Vyakulta Ke Lakshan

Panic attack ek mansik rog hai jo kisi bhi vyakti mai ho sakti hai. Ise anxiety attack ke naam se bhi jana jata hai. Iss rog mai vyakti ko achanak se bhavishya ki chinta satane lagti hai, unhe lagta hai aage kya hoga kya nahi.

Jab vyakti ko chinta, dar jaisi baate satane lagti hai to uski dil ki dhadkan badne lagti hai aur saans lene mai pareshani aati hai. Iss rog se pidit vyakti ko kai baar aisa lagta hai ki wo pagal ho raha hai.

Yeh bimari kai anya bimariyo ko bhi bulava deti hai. Kai baar isse hone wali pareshani vyakti ki niyamit dincharya par bhi prabhav dalti hai. Yadi aap iske lakshno ko jaldi samjh le to iska illaj kiya ja sakta hai. Aaiye jane Panic Attack Symptoms in Hindi.
 

Panic Attack Symptoms in Hindi: Janiye Iske Lakshan

 
Panic Attack Symptoms in Hindi Mansik Vyakulta Ke Lakshan
 

Raat Ko Nind Na Aana

  • Raat ko achanak se nind na aana ya sote samay kai vicharo ka dimag par havi hona bhi iska lakshan hai.
  • Kai logo ko panic attack achanak se aa jata hai, iska koi sanket nahi hota hai, na hi koi karan hota hai. Aur aesa tab hota hai jab vyakti akele mai jakar aaram karte hai ya sote hai.

 

Sine mai Dard Hona

  • Kai bar sine mai ashaj mehsus hota hai.
  • Kuch logo mai iss attack ke aane par sine mai dard hone lagta hai.

 

Agrim Chinta

  • Aesi baato ko sochna jo hakikat mai hai hi nahi.
  • Aap aaram kar rahe ho aur achanak se aapko chinta-tanav mehsus hone lagta hai.
  • Kai bar bhavishya ko lekar dar bhi agrim chinta ka karan ban jata hai aur iss wajah se panic attack ho sakta hai.

 

Bhaygrast Hona

  • Kai vyakti aaspas ho rahi ghatna tatha vatavaran ko apne aap se jod lete hai aur unhe lagne lagta hai ki yeh ghatna unke sath bhi hone wali hai.
  • Unn jagah par fir se jana jaha aapke sath koi durghatna ghati ho yeh dekh kar bhi aapko panic attack aa sakta hai.

 

Achanak Pasina Aana

  • Kai bar kisi chij ko leakar aap saham jaye aur pasina aane lage to panic attack aa sakta hai.
  • Yadi aapne koi daravani chij dekh li hai aur bar bar uske vichar aapke dimag mai chale tatha iss dar ke karan aapko pasina aane lage.

 

Samajikta Ka Vikar

  • Dusre se baat karte samay sharam aana aur pasina pasina ho jana aur panic attack ho sakta hai.
  • Pareshaniyo mai uljhe logo ko logo se milne julne ka dar laga rehta hai. Use lagta hai har koi use dekh raha hai ya uski bat kar raha hai jiske chalte wo akela pad jata hai.

 

Kisi Se Judaai Ka Dar

  • Baccho mai yeh samasya sabse jyada dekhi jati hai aur kai bar yeh pareshani bahut adhik bad jati hai.
  • Jab koi vyakti kisi se bahut pyar karta hai aur use dur hone ka dard use satane lagta hai to yeh avastha ban jati hai.

 

Paristithi Ka Samna Na Kar Pana

  • Naye rishte ke judne par bhi ghabrahat mehsus hoti hai.
  • Kai bar paristhitiyo ke badalne par panic attack aa sakta hai jaise vyakti ek shahar se dusre shahar jane par ya nokri badalne par vyakti ghabra jata hai.

 

Jane Kuch aur Lakshano Ke Bare mai:-  

  1. Man mai asurksha ka bhav hona tatha apne sathi par shak karna.
  2. Achanak se behoshi hona ya mitli aana panic attack ka lakshan ho sakta hai.
  3. Kahi bheed mai fas gaye ho aur kahi koi rasta najar nahi aaye to vyakti ghabra jata hai.
  4. Isse pidit vyakti bar bar ghar mai lage tale check karega fir bhi use santosh mehsus nahi hoga. Yeh ek bahut hi dekha gaya Symptoms of Panic Attack
  5. Jab panic attack aata hai to vyakti ki saans chhoti chhoti aane lagti hai aur saans lene mai taklif hoti hai.
  6. Kuch logo ke hriday ki gati bahut teji se badne lagti hai aur dil mai ghabrahat mehsus hone lagti hai.
  7. Kai log jindagi mai ho rahe badlav ko aasani se swikar nahi kar pate aur unke man mai kai vichar aane lagte hai.
  8. Aapko mehsus hona ki aapke sath jo ho raha hai wo astya hai, kai bar aesi bhawna dokha milne ke baad utpanna hoti hai.

 

Upar aapne jana Panic Attack Symptoms in Hindi. Yadi aap ya aapke aaspas koi bhi inn sari samasyao ka samna kar raha hai to use inn pareshaniyo se bahar nikalne mai madad kare .

Loading...

You may also like...