पपाया फेस पैक की मदद से निखारे अपने चेहरे की खूबसूरती

Hamare sharir mai pani ki kami ke karan twacha rukhi padh jati hai. Iss wajeh se chehre par jhurriya aur bhi jyada najar aane lagti hai. Aese mai papita hamare chehre ki ronak ko wapis lane mai bahut faydemand sabit hota hai.

Papita ek aesa phal hai jiska prayog sabji aur phal dono ke rup mai kiya jata hai. Iska sevan karne se hamari pachan shakti majbut hoti hai iske sath-sath yeh hamari aankho ke liye bhi faydemand hota hai. Iske alava papite ka prayog face pack banane mai bhi kiya jata hai jisse hamare chehre ko aur adhik khubsoorat banaya ja sake.

Papite mai vitamin C aur vitamin A ki bharpur matra payi jati hai jo ki twacha ke liye faydemand hoti hai. Isme upasthit enzymes aur poshak tatva skin healing agent ki tarah kam karte hai. Papite ka face pack tamatar, aloe-vera, shahad aur santare aadi  ke sath milakar banaya jata hai. Inn sabhi se bane face pack se twacha ko we sabhi vitamins aur poshak tatv milte rehte hai jo ki twacha ke liye faydemand hote hai.

Chehre ki sundarta ko badhane ke liye aaiye padhe Papaya Face Pack in Hindi aur dikhe sundar.
 

Papaya Face Pack in Hindi: Papite Ka Iss Tarah Se Istemal Kare

 

 

Papite Ke Sath Nimbu Ka Ras

Nimbu mai kai tarah ke anti bacterial gun ke sath-sath citric acid bhi paya jata hai jo ki twacha ke liye faydemand hota hai. Nimbu ke sath papite ko milakar bane face pack ko nimn tarah se banaya jata hai.

  1. Papite ki kuch pieces ko le aur use acchi tarah se mesh kar le.
  2. Iske bad mesh kiye huye papite mai nimbu ke ras ki 10 se 12 bund dale aur acchi tarah se milaye.
  3. Iss prakar bane paste ko apne chehre par laga le.
  4. 10 se 12 minute lagane ke pashchat ise thande pani se dho le.
  5. Ise lagane se chehre ki jhurriya aur daag-dhabbe kam ho jate hai sath hi yeh face pack teliya twacha ke liye bahut hi faydemand hota hai.

 

Pipita aur Shahad

Shahad aur papita se bane face pack ko nimn prakar se banaya jata hai.

  1. Papite ke kuch tukado ko lekar acchi tarah se mesh kar le.
  2. Ab isme 1 chammach shahd ko dalkar kante ki sahayta se acchi tarah se milaye.
  3. Sbhi mishran ko 15 se 20 minute tak ke liye apne chehre par lagakar rakhe.
  4. Fir thande pani se chehre ko dhe lo. Aap dekhenge ki aapki twacha glow kar rahi hai.
  5. Yeh face pack rukhi twacha ke liye bahut hi faydemand hota hai.

 

You May Also Like:- Orange Peel Face Pack in Hindi – Rakhe Aapki Twacha Ka Khayal

 

Papita aur Tamatar Se Bana Pack

Tamatar ke sath papita ko milakar banaya gaya face pack chehre ki twacha ko komal banane mai bhi madad karta hai. Ise nimn tarike se banaya jata hai.

  1. Sabse pehle papite ke kuch tukdo ko mesh karke paste bana le.
  2. Ab Isme tamatar ke gude ko milakar achhi tarah se mila le.
  3. Iss prakar bane mishran ko aankho ko chhodkar apne chehre par lagaye.
  4. Ab 15 minute ke bad thande pani se chehre ko dho le.
  5. Iss face pack ka prayog damakti aur chehre ki chamak ke liye kiya jata hai.

 

Papita aur Santre Ka Ras

Santare mai bhi vitamin C paya jata hai jo ki twacha ke liye bahut hi faydemand hota hai. Santare ke ras aur papita ko milakar nimn prakar se face pack banaya jata hai.

  1. Sabse pehle papite ke kuch tukado ko lekar use acchi tarah se mesh kar le.
  2. Ab isme taja santare ke 1 chammach ras ko milaye aur acchi tarah se mesh kare.
  3. Ab iss mishran ko apne chehre aur gale mai lagaye aur sukha hone tak ruke.
  4. Sukhne ke bad chehre ko thande pani se dho le.
  5. Yeh face pack kisi bhi prakar ki twacha mai glow lane ke liye kiya jata hai.

 

Avocado aur Papita

Avocado aur papite ko nimn prakar se milakar face pack banaya jata hai.

  1. Papite ke kuch tukado ko lekar use acchi tarah se mesh kar le.
  2. Ab mesh kiye huye papite mai kuch pieces avocado ko le aur acchi tarah se milaye.
  3. Iss prakar se bane mishran ko apne chehre par smoothly lagaye aur 20 se 30 minute tak ke liye rehne de.
  4. Fir thande pani se apne chehre ko dho le.
  5. Iss prakar bana face pack chehre par glow aur chamak lane ke liye upyog kiya jata hai.

 

Heavy Cream Ke Sath Bana Face Pack

Papite ke sath kisi bhi prakar ki heavy cream ko milakar bhi face pack banaya jata hai. Ise nimn prakar se banaya jata hai.

  1. Sabse pehle papite ko chote-chote tukdo mai kaat le.
  2. Ab Isme 2 chammach heavy cream ko milaye aur acchi tarah se milakar paste taiyar kare.
  3. Ab iss paste ko apne chehre aur gale par acchi tarah se lagaye.
  4. Fir 15 minutes rakhne ke bad pani se dho le.
  5. Iss prakar se bane face fack ka upyog chehre ko mulayam banane ke liye kiya jata hai.

 
Upar aapne jana Papaya Face Pack in Hindi. Yadi aap bhi apne chehre ko komal, mulayam aur chamakdar banana chahte hai to diye gaye face pack ka istemal kare aur dikhe sundar.
 

Loading...

This website uses cookies.