Parkinson Disease in Hindi – Janiye Karan, Lakshan Aur Upchar

Parkinson Disease 1817 mai James Parkinsons dwara batlaya gaya tha. Isliye isse parkinsons disease kaha jata hai. Parkinsons disease ek purana rog hai, Ise pragatishil aksham rog bhi kahte hai. Yeh ek dimagi rog hai, Jisme dimag ke ek vishesh samuh ka nyoron nasht hona shuru ho jate hai. Ye nyoron dimag ki koshikao ko ek dusre se jodte hai aur inse badi matra mai dimag ko kaam karne ke rasanik sanket dene wala dopamine nikalta hai.

Inn nyorano ke nasht hone se, rogi ka sharir ke vibhinn ango par niyantran kam ho jata hai. Dopamin ka nimn sttar hi parkinsons disease ka mukhya karan hai. Parkisons rog ki wajah se sharir ki kriyashilta aur gatishilta par asar padta hai, jiske karan pahle jaisi chusti-furti se kaam nahi ho pata hai. Sharir mai kapkaphat, snayu kathor tatha adh-patan hone lagta hai.

Mashtishk ke ek hisse basal ganglia par iska asar hota hai. Isse mashtishk ki pakad kamjoor hone lagti hai aur narv sales nasht hone lagte hai. Iss bimari ka asar sabse pahle hatho ke kampan ke roop mai dikhai deta hai. Phir chehre ya sharir ke anya ango mai kadakpan mahsoos hone lagta hai. Yeh rog prurusho aur mahilao dono ko hi ho sakta hai. Parkinsons ka rog purvajo dwara (genetically) bhi pariwar ke kisi bhi sadasya ko ho sakta hai. Iske karan aur upchar janne ke liye padhe Parkinson Disease in Hindi.

 

Parkinson Disease in Hindi – Pehchaniye Iske Samanya Laksano Ko

 

 

Parkisons Disease Factors: Parkinsons Rog Ke Karak

  1. Pariwar ke kisi sadsya ko ek baar yeh bimari ho jane par yeh aane wali pidhi mai bhi ho sakti hai.
  2. Vishele rasayanik padartho jaise kitnashak, carbonic monoxide ke sampark mai aane se bhi yeh bimari hoti hai.
  3. Kuch bimario ki sharir mai upasthiti jaise polio, mylinoma, dimagi tumor, stroke, maninjaitis, Gidrocefalia, encephalitis, HIV aadi bhi iska karan ho sakte hai.
  4. Naso mai nashili dawao ka istemal karne se.

 

Parkinson Disease Symptoms: Parkinsons Rog Ke Lakshan

Jante hai Parkinson Disease Symptoms

  1. Hatho aur Sharir mai kampan aana.
  2. Sharir ka santulan na bana pana.
  3. Chalne mai pareshani aana, nind mai jhatke lagna
  4. Manspeshiyo mai kathorta, aamtor par yeh sharir ke aadhe bhag se shuru hota hai.
  5. Khade hone par nimn raktchap mai girawat.
  6. Aksar jhuke hue aasan mai rahna.
  7. Sharir ko sust aur thaka mahsoos karna.
  8. Nigalne mai pareshani aana.
  9. Kabj hona, muh se laar tapkna, khane mai kathinai
  10. Adhik Pasina Aana aur sharir ke tapmaan ka niyantrit na hona.
  11. Aankho ki palko ka dhire jhapkana.
  12. Dhire, shant aur niras aawaz mai bolna.
  13. Chehre par koi abhivyakti na dikhai dena, twacha par lal aur safed dane ho jana
  14. Smarti kho dena, behoshi aana, Tanaw, chinta aur bhram hona

Yadi apko inme se kisi bhi tarah ki samsya apne sharir mai dikhai de rhi hai to samay rahte chikitsako se sampark kare. Yeh sabhi Parkinson Symptoms hai.

 

Parkinson Disease Treatment: Parkinsons Rog Ke Upchar

Parkinsons bimari par research se behtar upchar viksit hone ki sambhavnaye bad rahi hai. Ab iss bimari par bharosemand ilaj ke liye pet ki scanning yani tomography ka upyog hone laga hai. Pet ki scanning se pata chal jata hai ki, mashtishk ke nyoron nasht huye hai ya nahi aur unme sharir ke anya bhago tak rasaynik sanket pahunchane ki shamta bachi hai ya nahi. Pet scanning ke jariye yeh bhi pata laga sakte hai ki nyoron kis had tak nasht huye hai aur kya iski wajah parkinsons hai. Bimari ka sahi karan pata lagne par hi sahi ilaj kiya ja sakta hai.

Parkinson Disease Treatment ka chikitsiy roop abhi asambhav hai. Allopathic dawao se parkinsons ki roktham ki ja sakti hai lakin isse rok pana abhi mushkil hai. Ayurvedic dawao ke sath-sath yog aur prayanam ke jariye aap iski rokdham kar sakte hai. Brainon ek ayurvedic dawa hai jiske dwara mansik sthiti mai sudhar, smriti avadhi aur ekagrata ki shamta badai ja sakti hai. Yeh dawa mashtishk sambandhit bimario ka ilaj karti hai. Brainon dawa mirgi, lakwa, parkinsons rog aur speech defects ke ilaj mai bahut prabhavi hai.

Shodhkartao aur research ke anusar yoga aur vyayam parkinsons rogiyo ke liye bahut labhdayak hai. Unke anusar aisa dekha gaya hai ki vyayam karne se mashtishk mai dopamine ka sttar badne lagta hai, jisse parkinsons rogiyo ko fayda milta hai.

Upar aapne jana Parkinson Disease in Hindi.  Ek Adhyayan ke anusar kavak, jiwanu aur shewal (Kai) dwara nirmit kratrim mithas parkinsons rogiyo ke liye madadgar sabit ho sakti hai.

Loading...

This website uses cookies.