Aajkal Pathri (Gallstones) ki samasya bahut aam ho gayi hai. Saubhagya se pathri ke liye anek gharelu upchar uplabdh hai. Pittaashaya ek chota sa aang hota hai jo lever ke thik piche hota hai.
Pittaashaya yakrat dwara utpann pitt ko sangrahit karta hai. Iska karya pitt ko sangrahit karna tatha bhojan ke baad pitt nali ke madhyam se small intestine me pitt ka strav karna hai.
Gallstones Causes- Pathri Hone Ke Karan
Pitt ras vasa ke absoption me madad karta hai. Kabhi kabhi Pittaashaya me cholesterol bilirubin aur pitt lawno ka jamav ho jata hai. 80% pathri Cholesterol ki bani hoti hai.
Dheere dheere we kathor ho jati hai tatha Pittaashaya ke andar patthar ka roop le leti hai. Gallstone ka aakar ret ke ek kan se lekar golf ki gaind tak ho sakta hai. Patthar ban jane ke baad yeh pitt ke pravah me badha dalta hai.
You may also like: Kidney Failure Symptoms: Gurda Kharab Hone Ke Lakshan
Gallstones Symptoms- Pathri Hone Ke Lakshan
Iske karan bahutt aadik dard tatha lever ya pancreas main sujan ho sakti hai. Achanak pet ke right hisse me jor ka dard, pith dard, ji machlana ya ultiya, pet fulna, apchan tatha mitti ke rang ka mal hona ye sabhi pathri ke lakshan hai.
Pathri ke karan hone wala dard kai minute se kai ghanto tak ho sakta hai. Pathri hone ka mukhya karan jivan shaily ka swasth na hona hai.
Gallstones Treatment- Pathri Se Bachav Ke Upchar
1. Haldi: Pathri ke liye ek uttam gharelu upchar hai. Ye Anti-oxidant anti Inflammatory hoti hai. Haldi pitt yaugiko aur pathri ko asaani se vighatit kar deti hai. Aisa mana jata hai ki ek chammach haldi lene se lagbhag 80 % pathri khatam ho jati hai.
2. Chukandar, Nashpati aur Apple ka Ras: In raso ke dwara pathri ka prakartik tarike se prabhavi upchar kiya ja sakta hai. Vibhinn ras jise Chukandar ka ras, nashpati ka ras aur seb ka ras lever ko swacch karte hai. Pathri banane se rokne ke liye in teeno raso ke mishran ka sevan kare.
3. Pudina: Yeh pitt tatha anya pachak raso ke pravah uttejit karta hai. Isme terpin namak yoogik tatva paya jata hai, jo prabhavi roop se pathri ko vighatit karta hai. Aap pudine ki pattiyo ko ubalakar peppermint tea bhi bana sakte hai. Pathri ke liye yeh ek prabhavi gharelu upchar hai.
4. Vitamin C: Vitamin C sharir ke Cholesterol ko pitt aml me parivartit karti hai jo pathri ko vighatit karta hai. Aap vitamin c sampoorak le sakte hai ya aise khadya padarth kha sakte hai,jinme vitamin c bahot matra me ho jaise santra,tamatar aadi. Pathri ke dard ke liye yeh ek uttam gharelu upchar hai.
Get more details about Gallstones from Diet And Fitness.