Pimple Medicine Cream – Har koi khubsoorat twacha pana chahta hai. Twacha khubsoorat tabhi lagti hai jab naa to iss par muhase ho aur naa hi muhaso ke nishan. Yadi twacha par muhase ho jaye to gori twacha bhi acchi nahi dikhti. Muhanso se bachne ke liye uska swasth rehna jaruri hai.
Yuva pidhi ke liye to muhaso ki samasya bahut aam hai. Yeh samasya jyadatar yuva avastha mai sex hormones ke vikas se sambandhit hoti hai. Muhaso ke karan twacha par khujli aur anya samasya bhi hoti hai. Aur yeh muhase chehre par har jagah failne lagte hai aur acne ka roop le lete hai.
Yeh muhase sabhi ko ek na ek bar to hote hi hai. Yahi nahi thik hone ke baad bhi yeh nishan piche chhod jate hai. Aur twacha ka aakarshan kam kar dete hai. Darahsal muhase hone par ham iss par haldi, multani mitti aadi chize lagate hai. Aur jab koi farak nahi padhta hai tab doctor ko dikhate hai.
Lekin tab tak stithi gambhir ho jati hai. Aap gharelu tariko se upchar kar to sakte ho lekin usme kaafi samay lagta hai. Natijan aaapke chehre par daag chut jate hai. Isliye iska jaldi upchar karna hi behtar hai. Aaiye aaj ke lekh mai jante hai kuch behtar Pimple Treatment Products ke baare mai.
Pimple Medicine Cream: Dur Kare Muhase aur Unke Daag
Ham muhase se bachne ke liye bajar mai uplabddha creams ke bare mai to jaan lenge. Lekin isse pehle kyu na muhase hone ke piche ke mukhya karano ko jaan liya jaye. Taki ham ise aane se rok paye. Ya fir yadi muhase ho bhi gaye to uska behtar upchar kar paye.
Darahsal hamari twacha ke pratyek romkup ke sath ek tel granthi rehti hai. Jo tel ka strav karti hai. Vastav mai yeh ek prakratik fat hota hai. Aur yeh fat kitanuo ke vikas mai bhumika nibhata hai. Jab twacha ki satah par fat ke adhik bahav hota hai tab twacha mai upasthit chhidra bade ho jate hai aur kathor fat ke karan band ho jate hai.
Iss wajah se twacha ka mail aur pasina bahar nahi nikal pata hai aur yeh romkup ke niche ektrit hokar muhaso ka roop le lete hai. Isliye muhaso ko kabhi bhi najarandaj nahi karna chahiye. Yeh naa keval aapki sundarta ko kam karte hai balki kale daag bhi twacha par chhod jate hai. Muhaso ki samasya utpanna naa ho iske liye twacha ki achi safai karna jaruri hai.
You may also like:- Ayurvedic Treatment for Pimples in Hindi: Muhaso Se Paye Nijad
Topical Jel – Muhase Roke
Muhaso ko rokne ke liye erythromycin antibiotic dawai ka istemal kiya jata hai. Yeh backteria ki vraddhi ko rokta hai. Iss creams se muhase thikh to nahi hote lekin haa yeh naye muhase nahi aane deta hai. Isse twacha ko kisi prakar ka nukasan bhi nahi hota hai.
Himalaya Acne-N-Pimple Cream
Yeh himalaya dwara offer kiya gaya ek prachalit aur sasta cream hai. Iski styptic property muhaso ko thik bhi karti hai aur twacha ko smooth bhi banati hai. Rukhi twacha se muhase dur karne ke liye yeh ek behtarin cream hai.
Shahnaz Husain Sha Derm
Shahnaz Husain ke naam ko ham sabhi jante hai. Beauty ke field mai inka naam bahut vikhyat hai. Inke dwara di gayi Shahnaz Hussain Sha Derm bhi muhaso ke upcharo ke liye faydemand hai. Iss cream ke anticeptic gun muhaso ko theek karta hai aur kharab hui twacha ko heel karne mai bhi madad karte hai. Twacha ki puri tarah thik karne ke liye yeh cream behtar hai.
No Marks Acne Pimple Cream
Acne ki samasya hone par iss pimple cream ko lagane se naa keval acne thik hota hai balki yeh unke jiddi dago ko bhi kuch hi din mai thik kar deti hai. Iske atrikt yeh cream aapki twacha ko andruni chamak bhi deti hai. Yeh cream aapko bahut kam keemat mai mil jayegi. Aap aasani se ise kharid sakte hai. Long, haldi, licorice isme paye jane wale mukhya ingredints hai jo aapke acne ki samasya se deal karte hai.
Lotus Anti Acne Face Wash
Lotus anti acne face wash bhi muhase aur acne par acchi tarah kaam karta hai. Ise mukhya tour par tel wali twacha ke liye hi banaya gaya hai. Isme istemal ki gayi samgri jaise ki dalchini, tee tree aadi twacha se atyadhik tel nikalne mai madad karte hai. Yeh blackheads aur white heads dono ko nikalta hai. Isse twacha ki safai acchi tarah ho jati hai.
Retino A Cream – Daag Dhabbe Dur Kare
Muhaso ke upchar ke liye Retino A cream bahut faydemand hai. Yeh muhaso ko aane se to rokta hi hai sath hi muhaso ke daag dhabbe ko bhi dur karta hai. Yeh dawai aap medical par bina parchi dikhai nahi milegi. Darahsal skin ki condition dekhkar hi twcha rog vishesgya aapko iski salah dete hai.
Benzoyl Peroxide Acne Cream
Benzoyl Peroxide Acne Cream bacteria ko dur karne mai sahayak hai. Yeh bharat mai istemal kiye jane wala sabse lokpriya Pimple Treatment Jel hai. Yeh bade huye muhaso ko kam karne ke liye upyukt hai.
Nature’s Essence Acne Magic Cream
Nature’s Essence Acne Magic Cream bahut sare herbal tatvo jaise ki neem, aloevera aur haldi se bani hai. Isme jivanu rodhi gun paye jate hai. Yeh acne se kharab hui twacha ko smooth banati hai, kitanuo ka nash karti hai aur infection ko thik karti hai. Yeh Best Products for Acne hai.
You may also like:- Home Remedies for Acne: Ab Acne (Muhase) ka Ilaj Ghar Par
Biolife Bio Derm Anti-acne and Pimple Cream
Yeh ek asardari anti acne (Muhase Virodhi) cream hai. Iski khasiyat yeh hai ki yeh naa keval acne ko thik karti hai balki isme moujud herbal twacha ko cooling effet bhi dete hai. Isse aapke muhase to thik hote hi hai sath hi isse aapko daag rahit twacha bhi milti hai.
Glycolic Acid Cream for Acne
Yeh cream ka istemal chikitsak ki salah par hi karna chahiye. Yeh cream twacha se mrit koshikao ko nikal deti hai. Avrudhha chhidra kholne mai aur kaale dane ke nishan ko dur karne mai sahayak hai. Lekin iske karan twacha mai lalima, jalan aur twacha ko nuksan pahuchne ka khatra rehta hai.
Yeh muhase ke illaj mai sahayak hai. Isme neem, long, chandan aur twacha ke liye anya herbal shamil hai. Iss cream ka niyamit roop se istemal karne se aapki twacha ko milta hai saaf aur gora rang.
Dhyan Dene Wali Kuch Bate:-
- Muhase hone par chehre ko jor jor se na ragde.
- Muhaso ko dabaye nahi aur fode nahi.
- Twacha ko hamesha saaf rakhe aur oil free products ka istemal kare.
- Jyada teliya aur masale dar bhojan naa khaye.
- Makeup ka prayog naa kare. Bleach ya steam lene se bache.
- Green tea ka sevan kare, kyoki isse twacha subdar banti hai.
- Rojana kam se kam 10 glass pani jarur piye.
- Dhup mai nikalne se pehle sun screen ka istemal jarur kare.
- Dhrumpan karne se bache aur apni dincharya mai vyayam ko jagah de.
- Din mai do baar kisi acche facewash aur mild soap se chehra dhoye. Aur raat ko koi pimple acne cream lagaye.
- Tanav lene se bache. Isse harmones ka santulan bigad jata hai, jiske karan muhase hote hai.
Upar aapne Pimple Medicine Cream ke bare mai jana. Yadi aapko bhi muhaso ki samasya hai to upar diye gaye creams ka istemal kiya ja sakta hai. Lekin inhe istemal karne se pehle twacha rog chikitsako se salah jarur le.