Pippali Benefits: Swasthvardhak Guno se Bharpur

Pippali ya Long pepper anek aushdhiya guno se sampann hone ke karan ayurveda ki ek pramukh dawa hai. Bahut se log ise masale ki samagri ke roop mai bhi jante hai aur inse guno ke bare mai nahi jante hai. To aaiye jante hai Pippali Benefits.

Pippali ki komal tano wali talaye 1-2 meter tak jamin par failti hai. Iske gehre rang ke chikne patte 2-3 inch lambe aur 1-3 inch chode, hradhay ke aakar ke hote hai.

Iske pushpdand 1-3 inch aur phal 1 inch se thode kam ya adhik lambe shahtoot ke aakar ke hote hai. To aaiye aur iss guno se bhari aushadhi ka niyamit sevan kare taki aap swasth reh sake.

Kacche phalo ka rang halka pilapan liye aur pakne par gehra hara rang phir kala ho jata hai. Iske phalo ko hi chhoti pippali ya long pepper kaha jata hai.

Pippali Benefits: Janiye Long Pepper ke Aneko Laabh

You may also like:- Sehat ke Liye Faydemand Hai Bathua (Goosefoot)

  • Sar Dard:

    Long Pepper ko pani mai piskar mathe par lep karne se sar dard thik hota hai. Pippali aur vach churna ko barabar matra mai lekar 3 gm ki matra mai niyamit roop se 2 baar dudh ya garm pani ke saath sevan karne se sar ka dard thik hota hai.

  • Jukham:

    Pippali, papal mol, kali mirch aur sounth ke sambhag churna ko 2 gm ki matra mai lekar shahad ke saath chatne se jukham mai laabh hota hai. Aadha chammach pippali churna mai barabar matra mai bhuna jeera tatha thoda sa sendha namak milakar chacch ke saath subah khali pet sevan karne se bavasir mai bhi laabh hota hai.

  • Heart Rog:

    Pippali churna mai shahad milakar pratah sevan karne se cholesterol ki matra niyamit hoti hai tatha heart rogo mai laabh hota hai. Pippali aur chhoti harad ko barabar milakar piskar ek spoon mi matra mai subah-sham gungune pane se sevan karne par pet dard, marod aur durganthyukt atisar thik hota hai.

Pippali Benefits in Hindi

  • Motapa Kam Kare:

    Pippali Benefits ki baat kare to iska fayda motapa kam karne mai sahayak hai. Iska churna lagbhag aadha gram ki matra mai subah-sham shahad ke saath pratidin 1 mahine tak sevan karne se motapa samapt hota hai. Pippali ke 1 se 2 daane dudh mai der tak ubal le aur dudh se isko nikalkar kha le aur uppar se dudh pii le. Isse aapka Weight Loss hota hai.

  • Sankramak Rog:

    Pippali ke 1-2 gm churna mai sendha namak, haldi aur sarson ka tel milakar daant par lagane se daant ka dard thik hota hai. Isme pratirodhak kshamta badhane ke nischit gun hai jinke karan T.B. aur anya sankramak rogo ki chikitsa mai iska upyog laabhdayak hota hai. Iske anek ayurvedic aur adhunik dawai ki karyakshamta ko badha deti hai.

  • Vaatjanik Samasyaye:

    5-6 purani pippali ke podhe ki jad sukhakar kutkar churna bana le. Iss churna ki 1-3 gm ki matra garm pani ya garm dudh ke saath pila dene se sharir ke kisi bhi bhaag ka dard 1-2 ghante mai dur ho jata hai. Vraddha avastha mai sharir ke dard mai yeh laabhdayak hota hai.

  • Saans Fulna ya Dama Rog:

    2 gm pippal ko kutkar 4 cup pani mai ubale aur 2 cup reh jane par utar kar chhan le. Iss pani ko 2-3 ghante ke antar mai thoda-thoda din bhar pine se kuch hi dino mai saans fulne ki taklif kam ho jayegi. Isse aapko bahut aaram milega.

Upar aapne jane Pippali Benefits, jiski madad se aap behtar swasth paa sakte hai aur apne aap ko tandaroost bana sakte hai. To aaj se hi iss ayuvedic aushdhi ka niyamit roop se sevan kare.

Long Pepper se judi jaruri jankari ke liye yaha dekhiye Diet & Fitness.

Loading...

You may also like...