Pneumonia Symptoms: Nimoniya ke Lakshan aur Upay

Pneumonia koi choti-moti bimari nahi hai. Sardi me aksar pneumonia hone ka dar rehta hai. Pneumonia hone par lungs me sujan aa jati hai aur pani bhar jata hai. Aamtor par ye kai karano se hota hai jinme pramukh hai bacteria, virus, fungus ya anya kuch parjivi ke karan hota hai. Aaiye iss article ke dwara hum jane Pneumonia Symptoms ke bare me.

Bacteria janit Pneumonia 4 weeks me theek ho sakta hai. Iske viprit viral janit Pneumonia theek hone me adhik samay leta hai. Pneumonia ke marij ko sada bhojan khana chahiye aur khub pani pina chahiye.

WHO (World Health Organization) ke dwara bataya gaya hai ki har 1 ghante me 45 bacche ki death Pneumonia ke karan hoti hai. Iska matlab hai ki har minutes me desh ka ek baccha iss bimari se grasit hokar chala jata hai. Isliye iss bimari ko nazarandaaz na kare aur har tarah se iska ilaaj karwaye.

Pneumonia Symptoms in Hindi: Kuch Samanya Lakshan

Pneumonia ke aam lakshan me khasi, sine me dard, bukhar aur saas lene me mushkil hoti hai.
• Saas tez lena, cough ki aawaz aana bhi Pneumonia Symptoms ho sakte hai.
• Ulti hona, pet ke nichle hisse me dard hona.
• Nakhun aur honth ka rang pila padna.
• Tez bukhar, jo ki 103 se 104 degree tak pahuch jata hai.
• Rogi ke muh se khoon aana.
• Thakan hona aur chamdi ka nila panda.
• Mycoplasma Pneumoniae me Jodo me dard aur Muscles me dard aur kan me infection ho sakta hai.

Jise bhi inme se koi bhi lakshan ho to wo turant doctor se sampark kare taki unhe Pneumonia Treatment ki sahayta se iss bimari se jaldi se chutkara mil sake.

You may also like: Dengue Symptoms in Hindi: Is Bimari ke Lakshan

Pneumonia Treatment: Gharelu Upchar se Bhagiye Iss Bimari ko Dur

1) Rogi ko garam kamre me aaram se sula de. Unhe chai, garam pani pilate rahe.

2) Chati me dard hone par pani ko garam karke usme laung, tulsi ke patte daal dhak kar rakhna chaiye. Iss pani ko pine se sakramak kitanu se bachav hota hai.

3) Neem me 4 chhote patte, papal ke 2 chhote patte piss kar goli bana le aur subah-sham roz iss goli ka sevan kare.

4) Baccho ko Pneumonia me dudh aur thodi kesar mila kar pilaye.

5) 25 gm sarson ke tel me lahasuna ki 5 kaliyo ko garam karke us tel se bacche ki malish kare.

Upar aapne jane Pneumonia Symptoms aur uske treatments. To agar koi bhi inn lakshano se grasit ho to turant doctor se sampark kare aur Pneumonia jesi bimari ko apne aap se dur kare.

Get more details about Pneumonia Symptoms and Treatment from Diet and Fitness.

Loading...

This website uses cookies.