Popular Beauty Myths in Hindi: Sondarya Se Jude Mithak

Ladkiya khubsurat dikhne ki chahat mai kai tarah ke tairke aajmati hai jinme se kuch to mithak bhi hote hai. Ek shodh ke anusar pata chala hai ko 10 mai se 8 mahilaye sundar dikhne ke liye jo tarike apnati hai, unse unhe koi fayda nahi milta hai.

Waise to kai log aapko khubsurat dikhne ke liye kai sare tips dete hai aur kai baar aap khud hi internet ya kitabo mai padh ke naye naye tarike talash leti hai. Lekin yeh sare tarike kitne sahi hai aapne kabhi bhi kisi sondarya visheshgya se milkar salah nahi li hogi.

Jiske karan aapko iss bat ka pata hi nahi chal pata ki jin tarike ka aap istemal kar rahi hai wo sach ha ya mithak hai. Kya aap jante hai sondrya se jude aise kai sare mithak hai jinke bare mai aapne kabhi nahi suna hoga. Lekin aapko ab aur pareshan hone ki jarurat nahi hai aaj ke lekh mai aap jan payegi Popular Beauty Myths in Hindi.
 

Popular Beauty Myths in Hindi: Jo Aapko Malum Hona Chahiye

 
Popular Beauty Myths in Hindi
 

Myth 1: Rojana Baalo Ko Dhona Unhe Khubsurat Banata Hai

Kai logo ka manna hai baalo ko rojana dhone se baal saaf aur khile huye rehte hai. Jabki  yeh dharna bahut galat hai baalo ko niymit dhone se aap baalo ko prakratik tel se vanchit kar deti hai. Jabki yeh prakrtik tel baalo ke liye bahut jaruri hai. Isliye acchi Hair Care ke liye jan le:-

  • Baalo ko rojana dhone se baalo ko nuksaan Pahuchta hai.
  • Prakratik tel na hone ke karan baal jadi rukhe aur bejan ho jate hai.

 

Myth 2: Jaitun Tel Se Stretch Marks Khatam Hote Hai

Grabhavati mahila ke bacche ko janm dene ke bad pet par strech mark aa jate hai jo dikhne mai bahut gande dikhte hai. Aur inhe thik karne ke liye wo kai prayog karti hai jisme se jaitun ke tel ka upachar bhi shamil hai. Lekin kya aap janti hai ki jaitun ka tel aur cocoa butter ko strech marks par lagane se yeh thik nahi hote hai.

  • Stretch mark par jaitun ka tel aur cocoa butter se aapki twacha glow karti ha na ki aapke starch mark hatate hai.
  • Iss prayog se jab twacha glow karne lagti hai to aapko lagta hai ki stretch marks hat gaye hai.

 

Myth 3: Baalo Ko Badane Ke Liye Unhe Trim Karna Chahiye

Kai logo ko manna hai ki baalo ko badane ke liye har mahine baalo ko thoda thoda sa trim karna chahiye parantu isme koi sacchai nahi hai. Yeh ek bahut bada Hair Myth hai. Baalo ko niche se trim karne par baalo ki vraddhi mai koi fark nahi padta hai. Lekin ha trim karne se domuhe baalo se chutkara jarur mil jayega.

  • Agar baal badane ke liye trim kar rahe hai to isse aapke baalo mai koi vraddhi nahi dikhegi.
  • Yadi aap baal badana chahte hai to healthy diet le aur baalo mai tel lagaye.

 

Myth 4: Makeup Brush Ko Saaf Karne Ki Jarurat Nahi Hoti

Kai log makeup karne ke baad makeup brush ko saaf nahi karte hai tatha har baar usi makeup brush ka istemal karte hai.  Kai logo ko inhe saaf karna yad rehta hai parantu kisi aur kaam ke chalte inn chhoti chhoti baato ko andekha kar dete hai. Apni twacha ki acchi dekhbhal ke liye aapko Makeup Myths and Facts pata hona chahiye.

  • Makeup brush ko saaf naa karne se inme kai rang mix ho jate hai to aapke makeup ko khrab kar dete hai.
  • Iske alawa makeup brush na dhone se unme bacteria bhi paida ho jate jo aapke twacha ke sampark mai aane par samasya paida kar dete hai.

 

Myth 5: Daag Dhabbe Dur Karne Ki Cream Se Bedag Sundar Chehra Milta Hai

Daag dhabbe dur karne ke liye mahilaye kisi bhi tarah ka cream chehre par laga leti hai aur yeh cream chehre par kai samay tak rehte hai jisse chehre ki twacha saans nahi le pati hai, isliye chehra aur murjhaya dikhne lagta hai.

  • Jab bhi aap daag dhabbe hatane wali cream ko chehre par lagate usse pehle uss par diye gaye instruction ko jarur padhe.
  • Yeh aapki twacha ke romchiddro ko band kar deti hai jisse aapki twacha saans nahi le pati.

 

Myth 6: Mansoon mai Sunscreen Nahi Lagana Chahiye

Yeh bahut galat dharna hai ki sunscreen ko sirf garmi mai lagaya jata hai thandi aur barish mai nahi. Suraj se nikalne wali UV kirne twacha ko har mousam mai nuksaan pahuchati hai. Isliye jab bhi aap dhup mai bahar nikle sunscreen lagakar nikale.

  • Manusn mai sunscreen na lagane par aapki twacha bejan ho jayegi.
  • Sardiyo mai twacha rukhi ho jati hai to aap moisturize yukt sunscreen ka istemal kare.

 

Myth 7: Shave Karne Se Baal Teji Se Badhte Hai

Sharir ke anchahe baalo ko hatane ke liye kuch log shave karte hai aur unhe lagta hai ki shave karne par baalo mai jyada vraddhi hoti hai balki yeh mithak hai.

  • Shave karne se pehle aapke baal jaise the wese hi rehte hai.
  • Lekin haa inhe jad se shave karna jaruri hai.

 
Upar aapne jana Popular Beauty Myths in Hindi. Ab aap jaan chuki hai ki hame kitne sari baate galat pata hoti hai. Isliye har chiz par aankhe mund kar bharosa naa kare, pehle iske bare mai acche se jakari hasil kare.

Loading...

You may also like...