Janiye Treatment, Causes aur Symptoms of Prediabetes (Madhumeha)

Duniya bhar mai adhunik jivan shaily aur mithyahar ke karan madhumeha ke rogiyo ki sankhya tezi se badh rahi hai. Aisa anuman hai ki 2020 tak bharat, madhumeha pidit desho mai pratham isthan prapt kar chukka hai.

Bharat mai aaj aisi kai log hai jinhe madhumeha to nahi hai par madhumeha hone ki ashanka sabse jyada hai. Aise hi logo ke liye aaj hum laye hai Treatment, Causes aur Symptoms of Prediabetes.

Aise crore prediabetes pidit vyakti agar uchit kadam utahye to madhumeha jesi bimari se unhe bachaya ja sakta hai. To aaiye aaj se sankalp lete hai aisi log jo iss rog se pidit hai unhone bachaya jaye aur unhe upchar diya jaye.

Prediabetes yeh ek sharirik avastha hai jisme humari rakt glucose level samanya se jyada rehti hai. Yeh matra itni jyada bhi nahi rehti hai ki hum ise madhumeha kah sakte hai. Iss stithi ko hum madhuemha ka dwar bhi keh sakte hai. Iss avastha mai agar hum thoda bhi aahar-cihar mai chuk karte hai to hume madhumeha/ Type 2 Diabetes Mellitus ho jata hai.

Samanya tour par blood glucose level ki matra mai niyantan karne ke liye sharir mai insulin hormone ka strawan hota rehta hai. Kisi karanwash iss insulin ki karyakshamta kam hone ke karan sharir mai cells rakt glucose ka thik se upyog nahi kar pate hai aur glucose ki matra badhne lagti hai.

Samay ke saath vajan badhne, atyadhik mitha aahar, hormonal badlav, nischkriya jivanshaily aur vyayam ke abhav ke karan insulin ki karyakshamta aur praman mai kami aa jati hai aur vyakti ko madhumeha ko jata hai.

Treatment-Causes-Symptoms-of-Prediabetes

Symptoms of Prediabetes: Aaiye Iske Lakshan ko Pahchane

Kai logo mai Prediabetes ka koi bhi lakshan nazar nahi aata hai. Kuch log bina lakshan anek varsho tak isse pidit reh sakte hai. Niche diye huye lakshan nazar aane ka aapko iss rog ki shanka honi chahiye.

  • Bina wajah jyada pyaas lagna.
  • Baar-baar peshab hona.
  • Bina wajah kamjori mahsoos hona.
  • Aankho se dhundala dikhai dena.
  • Bina wajah vajan kam hona.

Prediabetes Hone Ka Adhik Khatra Kise Rehta Hai?

Niche diye huye vyaktiyo ko prediabetes hone ka khatra adhik rehta hai. Aaiye jante hai iski puri janakri:

You may also like:- Home Remedies for Diabetes: Madhumeha ka Ilaj Ab Ghar Par hi

  • Samanya se jyada vajan.
  • 45 varsh se adhik aayu.
  • Parivar mai kisi sadasya ko madhumeha hona.
  • Garbhavastha mai madhumeha ka itihaas.
  • Ucch rakt chap.
  • PCOD rog.
  • Rakt test mai triglycerides ya HDL ki matra samanya se adhik hona.
  • Nischkriya jivanshaily.
  • Rozana 6 ghante se kam neend.

Prediabetes ka Diagnosis Kese Kiya Jata Hai?

Prediabetes ka nidan niche diye huye janch kar liya jata hai:

1) Khali Pet Blood Sugar Test:

Isme vyakti ko 8 ghante tak khali pet rakh kar blood sugar test karwaye. Iski matra kuch iss prakar honi chahiye:

  • Samanya khali pet blood sugar matra – 100 mg/dl se kam
  • Prediabetes – 100 mg/dl se 125 mg/dl ke bich
  • Madhumeha – 126 mg/dl ya usse jyada
2) Khane ke Baad Blood Sugar Test:

Isme vyakti ko khana khane ke samapti ke samay ke thik 2 ghante baad yeh test karwana chahiye. Iski matra niche di gayi hai:

  • Samanya khan eke baad ki blood glucose matra – 140 mg/dl se kam
  • Prediabetes – 140 mg/dl se 199 mg’dl ke bich
  • Madhumeha – 200 mg/dl ya usse jyada
3) Ausat HbA1C Test:

Iss test mai vyakti ki pichle 2 se 3 mahine ki ausat blood glucose ka pata chalta hai. Iss test ke liye hum kabhi bhi rakt test karne ke liye de sakte hai. Iski matra niche di gayi hai:

  • Samanya ausat rakt glucose matra – 5.6% ya usse kam
  • Prediabetes – 5.7% se 6.4% ke bich
  • Madhumeha – 6.5% ya usse jyada
4) Oral Glucose Tolerance Test:

Yeh test samanyatah garbhavastha mai madhumeha hone ki ashanka dekhne ke liye ki jati hai. Iss test mai vyakti ko 8 ghante tak khali pet rakhkar rakt glucose test ki jati hai. Iske bad ek nirdharit matra mai mitha paiy pine ke liye diya jata hai aur 2 ghante ke baad dobara blood test karwaya jata hai. Iski matra niche di gayi hai:

  • Samanya OGTT rakt glucose matra – 140 mg/dl se kam
  • Prediabetes – 140 mg/dl se 199 mg/dl ke bich
  • Madhumeha – 200 mg/dl ya usse jyada

Prediabetes se Pidit Vyaktiyo ne Madhumeha se Bachne ke Liye Yeh Savdhaniya Baratni Chaiye

Prediabetes

Har varsh lagbhag 11% prediabetes vyaktiyo ko madhumeha ho jata hai. Isse pidit vyaktiyo ne iss bimari se bachne ke liye kuch savdhaniya baratne ko kaha hai:

  • Diet:-

    Alp-aahar lene ki jagah paryapt poshtik aahar lena chahiye. Aahar mai Low Glycemic Index wale khadya padarth ka samavesh karne chahiye. Kam calorie, kam fat aur jyada fiber yukt aahar lena chahiye. Iske liye aap aahar dietitian ki salah bhi le sakte hai.

  • Exercise:-

    Week mai kam se kam 5 din rozana 30 minutes tak koi vyayam kare. Aap apni kshamta anusar tez chalna, doudna, cycle chalana, swimming karna ya aerobic vyayam kar sakte hai. Rozana vyayam karne se aapko madhumeha hone ka khatra 30 se 40% tak kam ho sakta hai.

  • Weight Loss:-

    Samanya se jyada vajan hona ya motapa yeh aapke liye sabse bada khatra hai. Agar aapka vajan jyada hai to aapko Prediabetes ke baad madhumeha hone ka khatra lagbhag 80% se upar ho jata hai. Agar aap aapke badhe huye vajan ko sirf 10% bhi kam kar dete hai to bhi aap madhumeha hone ke khatre ko aadha kar sakte hai. Aapne koshish karni chahiye ki aapka B.M.I 18 se 25 ke bich hona chahiye. Vajan badhne ke karan aur vajan kam karne ke vibhinn aasan upay ke liye dekhiye:- Weight Loss Tips in Hindi.

  • Yoga:-

    Madhumeha ke khatre se bachne ke liye aap yoga ka sahara le sakte hai, Madhumeha se bachne ke liye aap ardha matsyasana, dhanurasana, vakrasana, halasana aur purna shalabhasana jese yogasana ke saath kapal bhati pranayam bhi kar sakte hai.

  • Medicine:-

    Aapki blood glucose matra aur parivarik itihaas dekhkar doctor isko kam karne ke liye kuch dawa de sakte hai. Apne doctor ki salahanusar samay par dawa lena chahiye. Rakt chap aur cholesterol ki matra ko niyantran mai rakhna chahiye.

Upar aapne jane Treatment, Causes aur Symptoms of Prediabetes. To agar aap aisi kisi samasya se pareshan hai to inn tariko se iss bimari se bachiye aur swasth rahiye.

Get more about Prediabetes from Diet And Fitness.

Loading...

You may also like...