Garbhavastha yani maa banana shayad kisi bhi mahila ke liye vardan jesa hai, lekin garbhavastha ke douran mahilao ko kai tarah ke hormonal aur sharirik badlavo ke dour se gujarna hota hai aur inse aane wali pareshaniyo se samna karna padta hai. Aaiye jante hai Pregnancy Tips in Hindi, jo aapko aur aapke bacche ko rakhe swasth.
Garbhavastha ke douran mahila ko apna aur apne hone wale bacche dono ka kaas khayal rakhna chaiye. Use nayi jankariyo ke prati sachet rahna cahiye taki aap aaur aapka shishu dono swasth reh sake.
Iss samay agar mahila khush rehti hai to uska swasth bhi accha rehta hai aur uska hone wala baccha bhi tandaroost rehta hai. Aaj hum aapko kuch aise tips batane ja rahe hai jo aapko garbhavastha ya pregnancy ke douran khush rehne me madad karege. Apnaiye ye tips aur jindagi ko khushaal banaiye.
Video that might interest you: Tips for Normal Delivery in Hindi
Pregnancy Tips in Hindi: Janiye Sahi Jankari Taki Aap Rahe Swasth
Agar aap pregnant hai aur janana chahte hai ki kya sahi hai aur kya galat hai to dekhe pregnancy se related kuch khas tips jisse aap ek swasth bacche ko janm dene me safal ho sakti hai.
- Thyroid Check Karwaye – Pregnant hone se pahle apna thyroid checkup karwaye kyuki aajkal Hypothyroid ki samasya kafi tezi se bad rahi hai aur yadi Pregnancy ke samay iss bimari ka pata na lagaya gaya to miscarriage ho sakta hai.
- Adhik Pani ka Sevan Kare – Pregnancy ke samay dher sara pani aur juice pijiye jisse miscarriage, pachan tantra samasya aur urine infection na ho. Iss baat ka khayal rakhe ki aap dinbhar me 12 gilaas pani piye.
- Vyayam Kare – Apne doctor se kuch aisdi aasan bhi exercise puche jise aap pregnancy ke shuruaat me kar sakti ho. Vyayam karne se aapki delivery bilkul safe hogi aur stress bhi gayab ho jayga.
- Smoking, Alcohal ka Sevan na Kare –Inke sevan se aapko tatha aapke bacche ko khatra paida ho sakta hai. Cigarette me moujud nicotine se bacche ko nuksaan pahuchta hai aur najan ko lekar bhi samasya paida ho sakti hai.
- Pholic Acid Aahar Khaye – Pregnancy Care Tips in Hindi ki baat kare to ye sabse acchi tip hai. Isse khana bacche ki growth ke liye bahut Jaruri hota hai aur yeh baccha paida hone ke samay ki samasya ko dur karta hai. Har din aapko 400-800 micro gram pholic acid jarur lena chaiye. Iske liye aap hari pattedar sabjiya kha sakta hai.
- Puri Neend Le – Dhyan rakhe ki aap pure 8 hours ki neend le jisse sharir relax ho jaye aur aap pura din urja se bhari rahe. Ek accha swasth aap ko aapke bacche ki growth ke liye bahut accha hai.
- Aaramdayak Shoes Pahne – Humesha fit wale jute aur chappal pahane jisse pairo me thakan aur sujan na aaye. Hill wale shoes to bilkul bhi na pahane.
- Jo Accha Lage Wo Kare – Ye dekeh ki aapko aur aapke hone wale bacche ko kon si baate acchi lagti hai. Jo avashyak hai vah kare, iske alawa soche ki aap aur kya kar sakti hai aur baki ka kaam chod de.
- Special Moment ko Enjoy Kare – Garbhavati hone ka anand sirf ek pregnant women hi samjh sakti hai. Aise bahut se kaam hote hoge jo aap pehle bhi karte hoge but iss special moment ko acche se enjoy kare aur khush rahe.
- Khush Rahe – Iss samay aap khush rahe aur apne mann ko bhi khush reakhe, jisse aapke hone wale bacche par accha asar padega. Upar aapne jane Pregnancy Care ke behatrin tips. Tho apnaiye ye tips aur dijiye ek swasth shishu ko janm.