Pregnancy Diet in Hindi – Garbhavastha mai Chune Sahi Aahar

Garbhavastha ka wakt har mahila ke liye bahut dhyan dene wala hota hai. Iss wakt wo na keval khud ka balki apne sath apne bacche ka bhi khayal rakh rahi hoti hai. Wo jo kuch bhi khati hai uska asar uske andar pal rahe bacche par bhi padhta hai.

Andar pal rahe bacche ko bhi poshan usi chiz se milta hai, jo uski maa aahar mai leti hai. Ek sath do sharir ke liye sevan karna hai, yeh baat sochkar hi nayi maa ko dar lagta hai. Uske man mai kai khayal aate hai ki jo wo kha rahi hai wo uske bacche ke liye sahi hai ya nahi?

Doctors hamesha garbhavati ko yahi salah dete hai ki, wo apne aahar mai alag alag tarah ke swasthprad aahar le. Kyoki yeh bacche ke vikas ke liye bahut jyada jaruri hai.

Iska matlab yeh nahi hai ki ham aapko bahut sara khane ke liye keh rahe hai, lekin isse hamara yeh tatparya ki aapko santulit aahar lena hai jisme phal, sabji, sabut anaj sab kuch shamil ho. Aaiye lekh mai vistar se jante hai Pregnancy Diet in Hindi.

Pregnancy Diet in Hindi: Garbhavati Ke Liye Jaruri Aahar

Phal aur Sabjiya

  • Phal aur sabjiyo mai bahut sare jaruri nutrients hote hai. Isliye garbhavati stri ko yeh dono chize apne aahar mai jarur shamil karna chahiye.
  • Phal jaise ki santre, angur aur sabjiya jaise ki tamatar, ankurit moat aadi mai vitamin c aur folic acid hota hai. Aur garbhavati stri ko rojana 70 mg, vitamin c ki jarurat hoti hai.
  • Palak aur hari sabjiyo mai vitamin A, C aur K hota hai aur sath hi mahatvapurn folate hota hai. Isse aapke aankho ka swasthya sudharta hai.

 

Sabut Anaj

  • Aahar mai yadi aap sabut anaj lete hai to isse aapko na keval urja milti hai balki yeh iron, fiber aur vitamin B ka bhi accha strot hai.
  • Har mahila apne Pregnancy Diet Plan mai carbohydrate ki purti ke liye sabut anaj jaise ki pasta, brown rice, aadi shamil kare.

 

Akhroth

  • Akhroth, omega 3 ka sabse accha strot hai. Ek mutthi bhar akhroth khana garbhavati ke liye faydemand hai.
  • Akhroth mai acchi matra mai protein aur fiber hota hai jo aap aur aapke bacche ke liye accha hai.

 

Dudh

  • Jab bhi aap garbhavati hoti hai to aapka sharir, aapke sevan kiye gaye khadya padarth ka keval 2 pratishat leta hai. Isliye aapko calcium ke bare mai itna sochne ki jarurat nahi hai.
  • Aap jitna calcium roj lete hai utna hi kafi hai. Lekin kuch log apni dainik jarurat ke hisab se bhi calcium nahi lete hai. Yadi aapke sath bhi aesi hi kuch stithi hai to aap dhyan rakhe.
  • Rojana, non fatty dudh peena aapke liye ek accha kadam sabit ho sakta hai. Iska 8 ounce ka galss, aapke 1000 miligram ka 30 pratishat pura kar deta hai.

 

Taral Padarth

  • Garbhavastha ke douran aapko bahut sare taral padarth lena chahiye. Pani aur taje phalo ka ras aapke liye bahut faydemand hai.
  • Nariyal pani bhi garbhavati stri ke liye bahut faydemand hota hai. Isliye apne Pregnancy Diet Menu mai iska naam jarur shamil kar le.
  • Hamesha uble huye pani ka istemal kare. Aur, jab bhi aap bahar jaye to apne sath ek pani ki bottle jarur carry kare.
  • Bahut sari bimariya pani ki wajah se hoti hai, isliye iss douran bahar ka pani nap aye.
  • Bahar ke packed juice mai shakkar ki matra bahut jyada hoti hai, isliye ghar par bane juice piye.

 

Gharbhavastha mai Jaruri Nutrients


Nutrients Matra
Iron 0.25 mg
Zinc 0.05 mg
Sodium 1 mg
Magnesium 6 mg
Calcium 10 mg

 

Quick View: Garbhavastha mai Inhe Jarur Kare

  • Garbhavastha mai halka fulka khana khane se baccha hashtpusht paida hota hai.
  • Garbhavastha ke pachve mahine ke bad se 2 santre ka sevan jarur kare, isse bachha gora aur sundar hoga.
  • Iss avashta se gujar rahi mahila ko adhik matra mai angur ka sevan karna chahiye kyoki isse sharir mai pani ki kami nahi hoti hai.
  • Yadi garbhavati mahila ko unke sharir se badbu aa rahi hai to dahi mai besan milakar lagaye, badbu bhag jayegi.
  • Garmiyo ke din mai aam adhik matra mai milte hai, garbhavati mahila ko iska sevan karna chahiye. Kyoki yeh potassium ka accha strot hai.
  • Nashte mai oats ka sevan karna accha hota hai yeh fiber yukt hote hai.

Upar aapne jana Pregnancy Diet in Hindi. Maye dhyan de ki garbhavastha ka samay unke liye bahut mahatvapurn rehta hai. Isliye apne khanpan par khas dhyan de. Yadi aapko nahi samajh aa raha hai ki aapko kya khana chahiye, kya nahi to iske liye aap apne doctor se bhi salah le sakti hai.

Loading...

This website uses cookies.