Pregnancy Phobia Par Kabu Pane ke Tarike

Maa banane ka ahsaas shayad iss duniya ke sabse khubsurat ahsaso mai se ek hai. Pregnancy ko hum khushi ke saath jodte hai kyuki ghar mai ek naye mehman ke aane khushiya duguni ho jati hai. Ise Tokophobia ke naam se bhi jana jata hai.

Lekin kuch mahilaye prasav aur usse pehle ke dor se gujarne ke baad bahut darr jati hai, isliye dobara se garbhvati hona bhi nahi chahti hai. Halaki pregnancy ka yeh darr kai mahilayo mai aam hota hai aur iss darr ke piche koi aur nahi balki dimagi darr chupa hota hai. Agar aap bhi pregnancy phobia se gujar rahi hai to yeh tips aapke kaam aa sakte hai.

Kyu Hota Hai Tokophobia?

Kai Mahilaye prasav ko lekar itni adhik dari hoti hai ki wah 40 tak ki umra paar hone ke baad bhi garbhvati nahi hona chahti hai. Kuch mahilaye to apni body shape ko lekar hi darr jati hai, ki agar unka wahi sudol shape dubara na mil oaya to kya hoga. Kuch mahilaye isliye darti hai ki maa banane ke baad unke partner unhe pehle jesa pyar nahi karege. Kuch ko lagta hai ki unki jindagi mai ek naya mehman aane se unki dincharya prabhavit ho jayegi. Iske alawa mahila ko prasav ke douran hone wala dard sabse adhik satata hai.

You may also like:- Pregnancy Tips in Hindi: Banaye Maa aur Bacche ko Swasth

Inn Aasan Tariko se Dur Kare Pregnancy Phobia aur Swasth Bacche ko Janm De

Counselor se Baat Kare:-

Garbhvastha baad agar aap ko darr lag raha hai, prasav ke baad hone wale dard se aap ubar nahi paa rahi hai to sabse pehle ek counselor ke paas jaye aur usse salah le. Counseler ke paas iss dard se bahar nikalne ki tarkibe hogi jo aapke liye faydemand ho sakti hai. Unn mahilao se bhi baat karni chahiye jo iss dor se gujar chuki hai.

Partner ke Saath:-

Agar aapki mahila saathi kisi bhi prakar ke sadme se gujar rahi hai to isse bahar nikalne ka kaam uske purush mitra ka sabse adhik hai. Kyuki wah hi uski bhavnao ko samajhkar use isse bahar nikalne mai madad kar sakta hai. To partner ko chahiye ki apni mahila saathi ki har tarah se madad kare.

Sakaratmak Soch Rakhe:-

Har dard ki dawa hai sakaratmak soch, yahi soch aapko har kadam par saath nibhati hai. Aapko iss positive soch ki aur bhi dhyan dena chahiye ki agar iss duniya mai baccha lana khushi ki baat nahi hoti, to bahut se jode yeh kaam na karte. Jab purane jamane mai mahilaye bina kisi medical sahayata ke prasav ke dor se aaram se gujar jati thi, to aapko to itni sari medical suvidhaye uplabdh hai, aise mai darr kiss baat ka.

Jankari Ikkatha Kare:-

Garbhavastha se lekar prasav tak ke baare mai sabhi prakar ki jankari ikkatha kijiye. Baccha hone se sambandhit jankari ke baare mai logo se puchne ki bajay accha hoga ki aap TV ya phir acchi kitabo mai padh kar jankari prapt kare. Aapko to iss baat se khush hona chahiye ki pregnancy ke samay aap aaram se bina kisi chinta ke jitni marji utni calorie ka khana kha sakti hai.

Maa banana ek khubsurat ahsaas hai, aur ghar mai ek naye mehman ke aane se khushiya bhi badh jati hai. Itni medical suvidhayo ne prasav ke dard ko kam kar diya hai. To phir pregnancy phobia kyu. Aaj se hi iss phobia ko dur kare aur swasth bacche ko janm de.

Download our Health Tips in Hindi App to get easy access on Blogs

Loading...

This website uses cookies.