Present samay mai parivesh badal chuka hai, ab ladkiya apni padai aur career ko jyada samay deti hai aur baki ke saare kaam baad mai hote hai. 30 ki umra hote-hote unki shadi ho pati hai aur iske baad wo dampatya jivan ko set karti hai, ghar aadi kharidne ke baad hi baby plan karti hai.
Aise mao unki umra 40 ke lagbhag ho jati hai. Lekin swasth drashtikon se 40 ki umra ke baad maa banana ghatak sabit ho sakta hai. IVF, In virto fertility, upchar inn dino iss mamle mai kafi saral hai. Lekin phir bhi isme kafi samasya aati hai.
You may also like:- Pregnancy Tips in Hindi: Banaye Maa aur Bacche ko Swasth
40 Ke Baad Mahilao ko Pregnant Hone ki Dikkat
Aaiye jante hai ki 40 ki umra ke baad maa banane mai kya-kya dikkate hoti hai:
Prasav Stithi:
40 ki umra ke baad samanya prasav hona thoda mushkil pad jata hai, aise mai doctor ko operation karna pad sakta hai. Iss bare mai doctor se pehle hi salah le le taki baad mai aapko koi pareshani nahi ho aur aap aur aapka hone wala baccha swasth rahe.
Bhurna ka Aakar:
40 ki umra ke baad garbhvati hone ka asar bhurna ke aakar par padta hai, wah bahut chhota ya bahut bada ho sakta hai jiski wajah se bacche ke sharir mai vikaar ho sakta hai ya maa ko samasya ho sakti hai.
Ucch Raktchap:
40 ki umra ke baad garbhdharan karne mai ucch raktchap ki samasya hone ki sambhavna badh jati hai. Aise mai mahila ko apne doctor se sampark karna chahiye.
Garbhavadhi Madhumeha:
Ek umra ke baad maa banane par garbhavadhi madhumeha ki samasya hone ke chance bahut jyada hote hai.
Garbhpaat:
40 ke baad garbhdharan karne par Garbhpaat hone ki sambhavna hoti hai aise mai maa ko vishesh dhyan rakhna padta hai.
Janmjaat Vikaar:
Ek umra paar karn ke baad maa banane ka prabhav, bacche par padta hai. Usme kai syndrome hone ka bhay rehta hai. Usme mansik bimari ho sakti hai ya wah otism se pidit ho sakta hai. Aise mai garbhvati hone ke baad lagatar parikshan karwate rahe.
Pre-Eclampsia aur Placenta Previa:
Uccha raktchap aur peshab mai protein (Pre-Eclampsia) aur placenta ka kam hona (Placenta Previa) ki samasya iss umra mai maa banane par hoti hai. Aise mai doctor se salah lena avashyak hoti hai.
Prasav Samasyaye:
40 ke baad maa banane par prasav mai bahut samasyaye aati hai. Aise mai khatra bahut rehta hai.
Prasav ke Baad ki Samasyaye:
Mature mother ke samne prasav ke uprant kafi samasyaye aati hai jese-cardyopathy aadi.
40 Ke Baad Aise Barkarar Rakhe Apni Prajann Kshamta
30 ki umra paar pahuchne ke baad tak jab god suni reh jati hai, tab mann mai ek ajib sa darr satane lagta hai, ki kya mai 40 ke baad garbhvati ho paugi ya nahi?
Iss bare mai aapne internet par jitna bhi search kiya hoga, aapne kewal yahi paya hoga ki umra dhalte-dhalte mahilao aur purusho ki prajann kshamta mai giravat aa hi jati hai.
Aapki jankari ke liye bata de ki mahilao ki prajann kshamta 35 ki umra aate-aate kam hona shuru ho jati hai. Lekin iss baar ko humesha ke liye sach maan baithna aapki bhul ho sakti hai. Har vyakti ki prajann kshamta alag-alag hoti hai. Kai mahilaye aaram se 40 ke baad bhi pregnant ho jati hai, to kai 30 ki umra par bhi maa nahi ban pati hai.
Aaiye jante hai ki 40 ki umra ki baad bhi prajann kshamta ko kese barkarar rakha ja sakta hai.
- Swasth Rahe
- Fertility Test Karaye
- Safe Sex Kare
- Vitamin ka Sevan Kare
- Vajan Par Niyantrit Rakhiye