Maa banane ka ehsaas hi ek mahila ko romanchit kar deta hai. Garbhvati hone ke liye halka sa andesha hi mahilao ko iski pushti karvane ke liye utsuk kar deta hai.
Lekin grabhvati hone ke lakshan dikhne ke saath hi aap doctor ke paas ja nahi sakti. To isliye aaiye aaj hum aapko batate hai, Pregnancy Test at Home in Hindi. Jisse ki garbh ka andesha hone par aap ghar par hi apni pehli janch kar sakti hai.
Garbhavastha test ke liye bazar mai kai prakaar ki Pregnancy test kit milti hai. Jiska prayog karke aap apna pregnancy test kar sakti hai.
Agar aap garbhvati hai, aur iss baat ki pushti agar kit ke jariye ho jati hai, to bhi ek bar doctor ke paas jakar anye test karvana jaruri hai. Ab hum aapko batate hai ki, ghar par iss kit ke dwara garbhavastha ka test kese kiya jaye.
Pregnancy Test at Home in Hindi, Ghar Par Kare Pregnancy Test
Test Karne Ka Tarika
- Pregnancy test karne ke liye kit mai urine ka sample liya jaye. Iss test mai urine mai moujud human Chorionic Gonadotropin (HCG) ka pata lgaya jata hai. Yadi aapke urine mai HCG hormone paya jata hai, to iska matlab yeh hai ki aap garbhvati ho chuki ho. Ghar par kiya jane vala pregnancy test hamesha subah uthane ke baad kare.
- Iss result ke parinaam ke galat aane ki sambhavna kam hoti hai. Kyoki subah subah aapke urine mai anye taral padarth moujud nahi hote hai aur subah urine mai HCG ka level jyada bhi hota hai.
Test Negative Ho To
- Pregnancy Test at Home mai yeh baat bahut mukhaye hoti hai ki, kabhi bhi jaldbaji mai pregnancy test kit ka prayog karne ke karan test negative aa jata hai. Aise mai jyada ghabrane ki jarurat nahi hai. Aap doubara karib 72 ghante ke baad fir se test kijiye.
- Samay se pahle test kit ka prayog karne ke karan test ka result negative aata hai. Garbhvati hone ke lagbhag 10 din baad pregnancy test kiya jaye to result ek dam sahi hote hai.
- Par kabhi bhi Garbhavastha ki janch bhi sahi result nahi de pati hai, jiske karan galat result nikal sakte hai.
Positive Result
- Mahilao dwara ghar par hi garbhavastha ki janch kit ke prayog se karne ke baad agar result positive aata hai. To uski pushti ke liye ek baar doctor ke pass test jarur karvaye.
- Halki pregnancy mai samanye lakshan jese mahavari mai deri, peeth mai drad aur kit dwara HCG hormone dundhne ke baad result aata hai.
Parikshan Ke Fayde
- Kisi mahilao ko yeh ahsaas ho jaye ki vah Garbhvati hai to iss baat ki pushti hone tak bahut hi excitement hoti hai. Aise mai Garbhavastha ki janch aapki is mushkil ko bahut aasani se hal kar sakti hai.
- Iss kit ka prayog karke aap ghar par hi garbhavastha ki pushti kar sakti hai. Saath hi iske use se aap doctor ke clinic tak jane vali bhag dod se bhi bach sakti hai.
- Yadi masik dharm nahi huya hai aur uske baujud pregnancy strip mai negative result aate hai, to aap turant stri visheshgaye se salah le sakti hai. Uski salah se aap anye jaruri test bhi krva sakte hai.
Upar aapne jana ki ghar par kit ke dwara kese pregnancy ka test kiya jata hai. Lekin kya aap jante hai ki aap ghar par hi test kit ko bana sakte ha. Aaiye jante hai, Homemade Pregnancy Test in Hindi.
You May Also Like:
Pregnancy in Hindi – जानिए गर्भावस्था के 9 महीने की सम्पूर्ण जानकारी माह के अनुसार
Homemade Pregnancy Test in Hindi, Garbh ki Janch ke liye Gharelu Nuskhe
Aaj ke samay mai kisi bhi prakaar ka pregnancy test bina doctor ke puri nahi hoti hai. Lekin fir bhi pahle ke jamane mai ghar par hi pregnancy ka test kiya jata tha.
Dandelion leave
- Dandelion leave ko ek packet mai bandh kar jameen par rakhe aur dhyan rahe ki, ise sooraj ki kirano se dur rakhe. In par urine ki kuch bunde daliye aur 10 minutes ke baad inn pattiyo ko dekhe.
- Agar inn pattiyo par laal rang ke fafole uth jate hai. Matlab yeh hai ki, aap garbhvati hai.
Tooth Paste
- Tooth paste ke dwara bhi aap pregnancy test kar sakte hai.
- Iske liye tooth paste par kuch bunde urine ki daliye aur agar paste ka color change ho jaye to samjho ki aap pregnant
Bleach
- Pregnancy Test at Home mai sabse mukhaye bhumika bleach ki hoti hai. Urine ki kuch bunde bleach par dalne se jhag ban jate hai, iska arth hai aap garbhvati hai.
- Halaki garbhshaye janch ke liye yeh janch aasani se ghar bethe ki ja sakti hai. Lekin iske baujud aapko raktchap aur dusri chikitsak janch kra leni chahiye. Inke alawa dawaio ki dukan par kai anye prakaar garbhavastha ki janch ke liye utpadan mil rahe hai.
- Dhyan rahe ki, janch ke teen ghante pahle tak urination ke liye nahi jana chahiye.
Vinegar
Iss test ke liye aapko tuna ras aur vinegar ki aavshyakta hoti hai. Iske liye aap ek disposal mai ¼ cup vinegar aur tuna ras ko le, tatha dusre disposal mai urine ko dale. Iske bad urine mai vinegar aur tuna ras ke mishran ko mila de. Yadi aapke urine ka rang hara hota hai to aap pregnant hai aur yadi urine ka rang pila ya narangi hai to aap pregnant nahi hai.
Pyaj
Kaafi purane samay se pyaj ke dwara pregnancy test ko kiya ja raha hai. Purane jamane ke doctor bhi isse mahila ke garbhavati hone ki pushti karte the. Iske liye pyaj ko vagina mai raat bhar ke liye rakh de yadi pyaj ki badbu na aaye to mahila garbhavati hai.
Sabun (Soap)
Iske liye aapko jyada mehnat karne ki jarurat nahi padegi, aapko sirf chhota sa sabun ka tukda lena hai aur uss par thodi si urine ki bunde dalna hai. Yadi sabun mai se jhag nikalne lage to aap garbhavati hai.
Karan | Kitne % Mahilaye Karti hai |
---|---|
Private | 56.7 % |
Jaldi Illaj Ke Liye | 24.7 % |
Suvidha Ke Liye | 9.5 % |
Protect Regular Partner | 1.0% |
Other | 3.6 % |
Homemade Pregnancy Test Ke Samay Dhayan Rakhne wali Baate
- Aap jin samano ka istemaal kar rahe, vo saaf hone chahiye.
- Bleach ka istemaal savdhani se karna chahiye anytha yeh nuksaandayak ho sakta hai.
- Aagr aapki janch ka result positive hai to doctor se milne mai der na kare.
Upar apne jane ghar par hi garbh ki janch karne ke aasan aur saral tarike. To bas der kis baat ki agar aap bhi maa banane ka ahsaas mahsus kar rahi hai. To inn upaye ke jariye pregnancy test kijiye.
Pregnancy Test Video in Hindi Language